Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2692
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Sahib ye frma den k kya nikah k liy gawah ka hona zarori hy ya jst mrd aort ALLAH ko ya Quran ko gwah bna k nikah kr skty hn r 1 dosry ko qbol kr skty hn?

Answer: Nikha pr gawahon hona zaruri nahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 3eidition 4) Orat agar pele se shadi shuda na ho ya phir bewa ho lekin is tarah k(guzishta shohar se is k intercourse na hua ho)to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai bger bap ya dada ki ijazt k nikah sahi nahi hai. Ehtiyat-e-wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me parhai jaye agr khud mard aur aurat arabi me na persakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Masln phele mahar moiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho ya phir bewa ho lekin is tarah k(yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho )to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2694
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera Q he ke jis ka doood piya jae os ki betiyon se nikkah jaiz he ya nai hadees ya quran se hawala den ?

Answer: Jis aurat ne aap ko doodh pilaya hai un ki betiya app ki mehram hai lihaza un se nikah karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2428)(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # before 94eidition 4)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2710
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia shadi sy pehly naak ka cheedna lazim/ya nath k bagher nikah nahi hota

Answer: Jee Nahi, Nikah karnay k liay aisi koe shart nahi hay.or naak main jo baali ya nug pehna jata hay wo na-mehram se chupana wajib hay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2335+A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 531)

Id: 2716
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: saali say shaadi karnay k lyay mujhay kya tariqa apnana paraiga .Quran o hadeed k mutabiq koi tariqa bataiay plz

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). Note: Quran main sorah nisaa ki ayat #23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k “tum per haram kia gaya hay k …………. do behno ko (nikah main) jama karo…” (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2723
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mjy yeh puchna hai k kya kisi chat room my agr koi do frnd ik dusry ko yeh keh day k han kabool hai.i mean mazak my yeh kahy k han yeh rishta kabool hai tou kya nikaah ho jata hai?

Answer: G Nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341).Update on dated 18-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 2729
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mei ak lrkay sa pyar krti hon hum na ak dinbeth k Allah or nabi pak ko apna gahwa bana k nikah kr lia. mene arbi mei pucha k mei tm ko khud py mehram krti hon us na kaha qabolto kia hmra nikah ho gaya?

Answer: G nahi ye nikah sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341).Update on dated 18-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 2731
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera Masla ye hai k main ek Hindu Larke ce peyar karta hun aur us ce shadi karna chahta hun magar mere mumy dady nahi man rahi hai aur me bahot pareshan hun. Khuda ke waste mere madad karo aur muje kuch wazaif batao main us larke ke bena nahi reh sakta

Answer: Jab tak wo larki islam qabool na krle tab tak ap us larki se shadi nahi kar sakte. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362).Update on dated 18-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 2762
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shadi ki pahli raat mai agar shauhar sohbat mai makam ho jata hai to kya uska walima jayez nahi hai

Answer: G nahi aysi koi bat sabit nahi hai Waleema ek mutahab amal hai chahe sobat se pehle ho ya bad men.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 04, Eidition 1417 hij). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 2774
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Syed Larki ka Nikah Gher Syed Larkay se ho sakta hai k nhi plz batain me bohut perashan hoon

Answer: Syed merd ka nikah ghair syedah aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath ho sakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part # 1, maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2793
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ya ali madad mera swal hai k agar shadi shuda larki k sath zinha kiya jaye to keya uski talaq ke bad us k sath nikha jaiz hai

Answer: Ehtiyaat e wajib k tor per wo larki hamesha k liye us zaani per haram hojati hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2367).Update on dated 19-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!