Question: AS SALAM-O-ALYKUM JANAB me apni wife se 2 years se dur hon mujhy. kya itne time alag hone se nikkah tootta hai? aur please sahi explain karke batayega. thanks
Answer: Jee nahi apka nikah nahi toota.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2380) Update on dated 02-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Agr kisi ki agagment(mangni)ho jae to jis larki k sath agagment(mangni) ho gi kya us k sath hum sex ker saktay hain.....Islam me is k liya kya kaha gya hy??????
Answer: Mangni ki koi sharai hesiyat nahi hai, lehaza jab tak nikah nahi hojata tab tak is qism k taluqat haram shumar honge. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2330).Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: ASLAM O ALIKUM KYA NET PAR SKYPE PA NIKAH HO SAKTA HA?
Answer: G han hosakta hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , 2341 , 2342 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Kin cheezon se nikah toot jata hag.
Answer: Talaaq ke zarye ager is main tamaam sharait mojood hon to. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: a.a sir me and my friend want do nikah without permission of our parents.our age is 26 each..plz tell me how can we do nikah with Islamic rules???with out court mer rage...and can we do telephonic nikah?
Answer: Wssalam o alykum, ye nikah jaiz nahi hai(Or Islamic nikah men larki k wali(walid ya dada) ki ijazat zaruri hai). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 1 ladki s mohabbat krta hu.. wo married h or uski 1 ldki b h . me unmarried hu.. wo mjse shadi krna chati h.. pr apne shohar or gharwalo ko nh bta skti..plz suggest me what should i do
Answer: Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se muta,alliq azdawazi zimmedariyaan pori nah karay takeh is terah shohor ose talaq daine per majbor hojaay or wo khud os aurat k saath shadi ker sakay tu talqa or nikah sahi hay.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne).(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2502). Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mairi biwi mere se naraz ho k pakistan se bahir challi gae hay or mere se rabta nahi ker rahi is baray mai islam kya kehta hay ? mai us se bohat bar rabta kerne ki koshish ker chuka hn .
Answer: jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se pahle bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. Magar ye k koi aham zurarat pesh aye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mere age 21 year hai aur mai jis sai nikah krna chahta ho wo mujh sai 24 sal bri han,,hum dano ik dosry ko bhot chahty han,hum gunah nhe krna chahty kia hum nikah kr sakty han?
Answer: Jee han kar sakte hen. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#221,eidition 1430) Update on dated 26-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Nikkah kitni orton k 7 Jaiz ni?
Answer: Jis shaks k nikah e daimi main 4 biwiyaan hoon os k liay paanchwi biwi nikah main lana jaiz nahi hay jab tak k 4 biwiyaan os shaks k nikah main hoon. Layhaza jab in 4 biwiyo main se aik biwi wafaat pa jay ya wo shaks in biwiyo main se kisi ko talaq day day or wo bivi os shaks ki iddat pori ker lay tu os shaks ko ijazat he k wo aik aurat ko nikah main la sakta he.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#200). Quran main sorah nisa ki ayat# 3 main irshad he k […..jo aurtain tumhain pasand hain 2, 3, 4 on se nikah ker lo or agar on main bhi insaaf nah ker sakne ka khatra hay tu sirif 1 ya jo kaneezain tumharay haath ki malkiyat hain, ye baat insaaf se tajawuz nah kerne se qareeb ter hay] (Ref: zeshan haider jawwadi ka tarjuma e quran, pg3187). Agar kisi shaks ki 4 daimi biwiyaan nikah main hoon tab bhi os shaks k liay jaiz he k wo jitna chahay ghair daimi(muta) nikah karay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#202 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya aik sunni mard aik shia aurat se shaadi kar sakta hai?
Answer: Shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)