Question: kya souteli khala se shadi ho sakti hai
Answer: Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon , ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se shadi karna haraam hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 1)Mere real Chacha ki nawasi jo ek rishte se meri "bhaji" hoti hai kya us se nikah jayez hai? 2)Aur Kis Kis se nikah nahi kiya ja sakta detail mein .? please reply fast mere rishte ki baat ho rahi hai ...
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Chacha ki nawasi sai aap ka nikah jaiz hai. 2)On aurtoon k saath jo insan ki mehram hoon nikah haram hay. maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas. etc (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)
Question: kya aik syed larki ki shadi ghair syed larky sy jaiz hy? agar nae to kyu plz meri help krain is masly main
Answer: Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia 3 baar larka or larki apus m pyar or mzaq m "kabool hai" dil se bol dain to nikah ho jata hai jb k ghr waale na jaante ho k dono aik dusre ko bht chahte hain.???
Answer: 1)Nikah me shart ha k (maqsoos) alfaaz k zaria eijaab aur qabool kiya jaay .aur kohe bhi amal eijaab k qaim maqaam nahe ban sakta .(lehaza alfaaaz ada karna zaroori hai) ..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 245 masla #439) 2) Ehtiyat e wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me perhai jaay agar khud mard aur aurat arabi me na persakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Masln phele mahar moiiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho (yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho ) to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: nikah main larkay or larki k kitnay wakeel hony chaheyain,or agar wakeel pooray na hoon to kya nikah ho sakta hai?
Answer: Nikah k waqt ghawaoo ka mujood hona wajib nahe hai balke mustahab hai.(ref. minhajus salaheen #3 aqa sistani masla#3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya me mere bade abba ki ladki ke saat shadi kar sakta hu Pura gar raji ho to
Answer: Wo auratain jin se shadi karna haram hai us main se bade abba(taya zaad) ki larki shomar nahi hoti . yani tayazaad behen se shadi kerna jaiz hay.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2349,2353 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamalaikum mera sawal ye hai ki mere ammi ke 8 chachajan hai unme 8 ve chacha ki choti beti jo mere se 9 saal umar me choti hai meri umar 25 hai aur ladki ki 16 sal hai kya usse mera nikah jaiz hai
Answer: Ammi k chacha ki beti sai nikah sahi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya internet pay nikah ho sakta ha
Answer: Internet mai likh kar nikah kia jae to wo sahi nahe hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 108 ,pg # 53-54) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: main ye pchna chahta hon kae har aurat jab pehli dafa sex kati ha us ko blood ana lazmi ha kae nahi
Answer: She may have lost her virginity due to an accident or she may not have had the membrane from the beginning. In case, you stipulated in the marriage contract that should be virgin, you have the right to cancel the marriage. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : April 21, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya syed larki ghair syed sy shadi kr skti hy plzzzzzzzzz mjy btaen agar wo larka shia ho
Answer: Syed merd ka nikah ghair syedah aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed merd k saath ho sakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part # 1, maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)