Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3435
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye ha k mere aik khala zad cousan ha unki aik larki ha mujhay woh bahut pasnd ha me use shadi karna chaht ho woh larki bhi razi ha kya islam me cousan ki beti se shadi jaaez ha plz help me..

Answer: Jee haan cousin ki baiti se shadi kerna jaiz hay.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), Dted: Dec 21, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3464
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kitney arsey azdawaji talluqat na honey per nikkah khatam hojata hai?

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3466
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera question hai keh kia jis laki ky sath zinah kia ho larky ny ur woh laka bad me kia us sy shadi kar sakta hai

Answer: Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3493
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam.mera sawal yeh k men naya muslim hua hun aur ehl e tashi firqa qabul kia he. kia mera ek sayda se nikkah ho sakta he..? plzzzzzzzz meri rehnumai karen.

Answer: Jee haan aap syeda aurat se nikah ker saktay hain Q k “Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.” (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam...mera sawal yeh he k men ek larke se piyar karti hun jo pehle hindu mazhab se taluq rakhta tha jo ab wo shiya muslman ho gaya he kia mera us se nikkaah ho sakta he koi masla to nahe?

Answer: Jee haan aap shia merd se nikah ker sakti hain Q k “shariyat k laihaaz se aik muslim merd musalman aurat ka kufu(equivalent) hay or aik momin merd momina aurat ka kufu(equivalent) hay{yani in ki apas main shadi ho sakti hay}.Shia Sayed merd ka nikah ghiar syeda shia aurat k saath hosakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen Part #1,maslah#221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ma ak orat k sath sex kerta raha phr ma ne toba kr li kia ma uski beti se shadi kr skta hu agr ma inkar kru to khandan tot jae ga or kisi ki death b ho skti ha ma sirf ise khalisatan nek neyati ki bina pr uski beti se shadi kr skta hu ya ni

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat (phopi ya khala k alawa) say zina karay to ehtiyat e mustahabb ye hai k is ki beti k sath shadi na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2361 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3503
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mohtram.mere shadi jis insan se hwe thi istkhatra krny k bawjud hmen pta ni chl ska k wo banda sharabi or zaani hy kia esy insan se shadi jaiez or halal hy?

Answer: 1. Sharabi se nikah jaiz tu hay laikin aurat or os k wali(baap/dada)ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho.( Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 387) 2. Jo merd zina karne me mashoor ho to tuba karne se phle is mard ke shath shadi karna jaaiz nahi hai.(ref. tuziul masail aga sistani masala no. 2364)

Id: 3510
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ref Q: 14012. Q: Muta with shemale (3rd gender) for pleasure is allowed ?

Answer: 1)Aqad e izdiwaaj k zarie aurat mard par aur mard aurat par halal ho jatay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, nikah k ahkam pg # 357 ) 2)Ab ye dekhna paray ga k khunsa -yani wo k jis k pas mard aur aurat donoo ki sharam gah(peshab ka makhraj) hon- mard hay ya aurat. Agar kisi terha say pta chal jay to osi k ahkam jari hoon gay aur agar pta na chal sakay to os ko pechannay ka ye tareeqqa hay: Dekhain gay k wo peshab kaha say karta hay agar mard ki sharamgah say kartay hay to mard ho ga aur agar aurat ki sharam gah say karta hay to aurat ho ga. Agar wo donoo sharamgahoo say peshab karta ho to ye dekhain gay k sab say pehlay kis say peshab karta hay agar mard k aalay(sharamgah) say niklti hay to mard aur agar pehlay aurat k aalay say niklti hay to aurat samjhain gain. Aur agar donoo say sath peshab karta ho to kaha gya hay k ye dekha jay k aakhir may kis makhraj say khatam karta hay agar mard say to mard aur agar aurat say to aurat samjhain gain. (Ref : Minhaj-us-Salaheen part # 3, Masla # 1094) Note : Jab sabit ho jay k mard ya ya aurat to pir shadi ho sakhti(mutah) hay. )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3525
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi orat ka pehle se nikkah ho to is doran uska doosra nikah hojaye or pehle ne talaq na di ho to is ka hal kia ha

Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Os aurat ka dosra nikah batil shumaar ho ga.Q k shohardaar aurat se nikah kerna haram hay or agar os shaks ko ye maloom tha k ye aurat shadi shuda hay phir bhi os aurat ne nikah kia tu os merd k liay zarori hay k wo is aurat se juda ho jay or baad main bhi kabhi os se nikah nah karay.or agar os shaks ko ye ilm nah ho k aurat shohar daar hay laikin shadi k baa dos se hambistari ki ho tab bhi ehtiyaat e wajib ki bina per yehi hukum hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3534
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: dadi ki bahen ki beti se nikah ho sakta hai ya nehi

Answer: Jee haan, dadi ki behan ki beti say nikah ho sakhta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus Saliheen, maslah # 90). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!