Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2619
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya love marriage jayez hai

Answer: G han islam love marriagr se mana nahi krta lekin Larki se is eetbaar se dosti krna ke ye piyar ban jaye or phir is se shadi kr lenge to ye dosti jaaiz nahi. (Ref : Mujtahid se poche gaye sawalat, Pg#4). Agr nikah ki sharait (jo masla 2335 se 2344 tak bayan kiya gaya hai) mojod hon to Love marriage jaiz hai.

Id: 2634
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ek agha khani se pyar krti hun.or mera firka suni hai.kia meri shadi hosakti jaiz hoge shadi meri?

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2637
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar hsbnd kuch aesa karna chahy js my us ki wife ki mrzi na ho to kya wife ko ghuna ho ga? aga han to kyun?

Answer: Jis orat ka daaimy(hmesha ka) nikah ho jaye us k liye Hram hai k shohar ki ijazat k bger ghr se bahir nikle chahe uska nikalna shohar k haq k manafi na bhi ho, mgr ye k koi aham zarurt pesh aye ya ghr men rehna us k liye nuqsan ka baa`is bane ya ghr us k munasib na ho, or isi tarh us k liye zaruri hai k jab bhi shohr jinsi lazzaten hasil krna chahe to uski khuahish puri kre or shar`ee uzr(shar`ee waja jese periods ka aana) k bger shohr ko ham_bistry se na roke.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah# 2376)(Khuda apki toufeeqt men izafa frmaye)

Id: 2656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis larki se mangni ho jaye jo k shari wife nahi banti us se bat karne k liye khud larki or larka apas me phon mai nikah par le ta k bat kar sake to kia ye jaiz hai..

Answer: Kunwari (virgin) larki us waqt tak nikah nahi kr sakti jab tak k lerki ka Bap ya Dada larki ko nikah ki ijazat na daen. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2670
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSLAM O ALAIKUM, SIR MUJHEY YEH POOCHNA HEY K, DO SAGI BEHINO KO DO, YANE EK BAP AUR EK BATA NIKAH KER SAKTEY HEN. WOH DO BEHN HEN AUR YEH DO BAP BETE. KINDLY REPLY ME. THANKS

Answer: Gee han wo dono bap beta un dono behnon se shadi kr sakte hen q k agr bap ek larki se shadi kre to wo larki us k bete ki soteli maa ban jayegi or soteli maa ki behn mehram nahi banti lehaza beta apni soteli maa ki behn se shadi kr sakta hai. (jin mehram oraton se nikah nahi hosakta un men soteli maa ki behn shamil nahi hai balke us ka shumar na_mehram oraton men hota hai) (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzeeh_ul_Masail 31st edition, Maslah # 2349)

Id: 2671
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam walekum mere naam Sayyed alfaraj me One Muslim Ladki ke sath shadi ki ho Huska sath mene nikhah ki me ye poochna chahahta hu ke huse mene talak nahi diya to me aur ho dusra shadi karsakte pls say

Answer: Mard k lye aik se ziyada nikah karna jaiz hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 200)

Id: 2672
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Nikah main gawahon ka hona zaruri kion nahi? Quran ki koi ayat hai is silsilay main?

Answer: Nikah per gawahon ka hona zarori nahe hai balke mustahab hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3)

Id: 2681
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam o alikum. mera naam aziz jawaid haidery ahi aur mai sunni hoon, aur mai ik shia syedah se shadi krna chahta hoon, wo bhi muj se shadi krna chahti hai. barah e karam mje is mai rehnumai farmay.

Answer: Ho sakta hai magar kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Ager larki ko koof ho ke shadi ke baad wo apne mzhab se munharif ho sakti hai(jis ka ehtimaal mojood hai) to us ke liye ap se shadi karna bhi jaaiz nahi hai.(Ref: mujtahid se poche gaae sawaalaat, masala # 136, ALLAH ap ki toofeeq main izafa farmaae).

Id: 2683
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: with christen nikah jais he k nahi

Answer: Musalmaan mard yahoodi or masihi(chriten) orat se aarzi nikha(yani nikah-e-muta) kar sakta hai, or ehtiyaat e wajib ye hai ke non- muslim orat se daaemi nikha(permanent nikah) na kiya jaae.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),jaded fiqhi masail masail, maslah # 2362)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2688
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aik musilman ladka aik hindu ladki sai shadi kar sakta hai plz answer me ?

Answer: Musalman mard kafir oraton se nikha nahi kr sakta. Lekin yahudi or eesaai(christian) oraton se nikah-e-mutta krne men koi harj nahi hai or Ehtiyat-e-lazim ki bina pr unse daaimi aqad(hmesha ki shadi) na kiya jaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2362 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!