Question: salam mera sawal ya hy ky mutha kiya cheez hy aur kesy parha ja tha hy agr mai apni girl frnd ky sath mutta kar lo pir mai us ko sex kar sak tha ho aur mutta khatm kesy ho tha hy?jaldi rep dy na
Answer: 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakeel banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334). 2-Nikah main gawaho ka hona or nikah ka aylaan kerna wajib nahi hay balkeh mustahab hay.or nikah.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#3 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 3) Nikah e Muta k baad sex kerna jaiz hay q k wo aap ki bivi hay .Nikah ki 2 aqsaam hain 1. daimi(permanent marriage), 2. ghair daimi (temporary marriage).or agar kisi aurat k saath mutaa karna agarchah lazzat haasil karnay k lie na ho tab bhi sahi he.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # before 2328,2385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mai apni girl frnd ky sath sex kar na cha tha ho koi asa tari ka bthaye jis s sex b ho jaye aur gunnha b na ho kiya mutta kar ny sy asa ho sak tha hy jaldi jawab dy ?ap jawb kith ny time mai dy thy hy
Answer: Nikah e Muta k baad sex kerna jaiz hay q k wo aap ki bivi hay or aap os k husband.Nikah ki 2 aqsaam hain 1. daimi(permanent marriage), 2. ghair daimi (temporary marriage).or agar kisi aurat k saath mutaa karna agarchah lazzat haasil karnay k lie na ho tab bhi sahi he.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # before 2328,2385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: pasand ki sadi hoi ho or larhky k mah baap keh den k biwi ko talaq do ya hamy chor do to kia krna ho ga?
Answer: 1)Nikah ki khuch sharait hain jin ka khiyaal rakna wajib hay warna nikah hi nahi hoga.jin main say khuch ye hain k i)nikah ka seegha arabi zaban main ho agar sahi arbi main perhna mumkin hi nah ho tu kisi or zaban main perhsaktay hain, 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail,maslah # 2335-2342). 3) Agar maan (ya baab) bete se ye kahain k apni biwi ko talaq de do tu is baat me yani talaq dene k maamlay main maan(ya baab) ki baat maanna waajib nahi hay. Albatta baite k liay zarori hay k wo apne kaul aur fail k zariay maan (ya baab ) se bay adabi se ijtenaab karain .(ref. .(Jadeed fiqhi masail,Maslah#348,Ayatullah Seestani(d.b)). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: maray dost nai apni bivi ko talak diye bina dusri shadi karli kya ye jayaz hy?
Answer: Mard ka aik say ziada shadi karna riwayat ki roshni may mustahabb hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 105 pg # 53).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: I am a shia syed girl. Can i marry with sunni syed boy His name is Nadir Hasan Rizvi
Answer: It is lawful for a shia boy to marry with non-shia girl except nasibi(enemy of 12 imam A.S), like this, it is lawful for a shia girl to marry with non-shia boy except nasibi but with abominate(makhrooh), But when shia girl or shia boy feels fear of astray from deen then this marry will be unlawful. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#3, maslah #215 ). Update on dated 25-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: SIR,MERA QUESTION HY KY MAIN NY PEHLAY EK LARKI SY BURA KAM ZINHA KEA HY PHR US SY SHADI KR RHA HN TO KEA MERI SHADI HO SKTI HY KEA.US KA KEA KAFARA DENA PARY GA
Answer: 1)Zina krna gunah e kabira hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29) 2)Jis shakhs nai kisi aurat sai zina kia ho aur os sai shadi karna chahae to is k lie ehtiyat e wajib ye hay k wo os aurat say toba karnay say pehlay nikah na karain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar aek ladki kisi ko pasand karti ho aur us se shadi karna chahati ho likin aghar walon mai tanazah ho toh kya kiya jiye ,,,,
Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342) 2) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AOA. mere ghar walay shadi k liye nahin maan rahay kiun k unko wo lerka nahi pasand kia mai us k sath bhaag ker shadi ker lu gunah to nahi hota... ku k mai kisi or say shadi ker k khush nahi reh sku gi. plz give me solution?
Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)
Question: ager kisi ladki say payer ho aur uskay 7 phone per phone sex kiya ho phir uskay 7 shadi kary to kay wo theek hay ...
Answer: Jee haan shadi kar saktay hain Magar Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2349-75 and kitab Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agr koi lrka ur lrki apas main zina kr lyte hain sirf apas main zina us k alawa wo zina k adi ni ur ab wo shadi kann chahate Hain tu kya krain koi kafara wegera ya koi b tereqa ho ya simple ase he nekah kr lain
Answer: 1)Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30), 2)Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).