Question: kiya biwi ke bade abba ki ladki(cousin) se nikah kar sakte hai.
Answer: Wo auratain jin se shadi karna haram hai us main se bade abba(taya zaad) ki larki shomar nahi hoti . yani tayazaad behen se shadi kerna jaiz hay.(Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2349,2353 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: rukhsti se pehlay wife ka jism daikhna jaiz hai ya nai ha?
Answer: Agr nikah hogaya hay tu jaiz hai.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2400).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mujhay Yeh Malum karna tha k agar kisi ka Nikkah hua wa ho aur rukhsati na hui ho.to fiqa e jaffaria main usay 40 din bad nikkah ko renew ya tajdeed karni parti hai ya nai.
Answer: Gee nahi,nikah hojanay k baad dubara tajdeed e nikah ki zarorat nahi hoti.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2335). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: "CAN A MUSLIM BOY CAN MARRY WITH CHRISTIAN GIRL",TELL ME AHDES AND QURAN VERSIS,,FOR INFO..
Answer: A male Muslim also cannot marry a non-Muslim woman who are not Ahlul Kitab. However, there is no harm in contracting temporary marriage with Jewish and Christians women, but the recommended precaution (ehtiyat e Mustahabb) is that a Muslim should not take them in permanent marriage. (Ref: Ayatullah Khoei(r.h),Tauzee hul masail, maslah # 2406)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: KYA SMS PE NIKKAH HO SKTA HAI ? LARKI LARKA DONO BALIGH HAI OR PYAR BI BHT KRTY HAI EK DOSRY SY NIKKAH SMS PE KR CUKY HAI MGR YE JANNA ZARORI HAI K KYA SMS PE NIKAH HO SKTA HAI ?
Answer: SMS k zarye nikah nahi hota. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 30) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kia aisi larki sai shadi krna jaiz hai jo akhlaq ki pabindi na krti ho?
Answer: Jaiz hai aur wajib hai k osay is gunah sai roka jae. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 106, pg # 53)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam Alikum... Mufti sahib ye bataiye ga keh Razai Behan sy Shadi ka kya hukam hy kya os sy larky sy os ki shadi jaiz hy jis larky ki maan ka dodh os ny piya ho????
Answer: Koe shaks os lerhki se nikah nahi kersakta jisay os shaks ki maan ya dadi nay pora dhoodh(yani 8 shara,it k saath) pilaya ho. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Touzi hul masa,il, maslah #2434, 2438).
Question: kia aik beti jo maa se to sagi hai lakin baap se soteli to wo baap k lie haram hai ya halal
Answer: 1)Agar koi shakhs kisi aurat sai nikah karay aur is k sath hambistri kray to is aurat ki larki is mard ki mehram ho jati hai chahae wo shadi k waqt moujood ho ya baad mai paida ho. 2) Agar koi shakhs kisi aurat sai nikah karay aur is k sath hambistri na ki ho to jab tk wo aurat k nikah mai hai ehtiyat e wajib ki bina par is waqt tk is ki larki sai shadi na kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2351-52)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: shohar ka haqoq kia han?
Answer: jis aurat ka daimi nikah ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k begair ghar se pahle bahir nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi nab hi ho. Magar ye k koi aham zurarat pesh aye.Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Biwi ki giza, libas, rehaish aur zandigi ki baqi zarooriat ka intezam sohar par wajib hai. lekin mard ko ye haq nhi k biwi ko gharelo khidmat par majboor kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376-78)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salaam main ek shia larki hoon . or ek sunni arbi aadmi se shadi karna chahti hoon . kia ye jayiz hai ya nahi .. .?
Answer: Agar gumrahi ka khoof na ho to shadi shi hai , albatta ye tabei tor par unhien logon main hosakta hai Jo ahelbait a.s. sai dushmani rakhney welay nah hon. (Ref : Mujathid se pochey gay sawalat masla No#134) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).