Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4009
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hm ek ladka ko 5 sal s pasand karte h aur ab mere parents nikah k lia raji nhe h to kya hm bina imam k nikah kar sakte hai?

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4012
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hm ek ladka ko pasand karte h 5 sal se aur us se nikah krna chahte h par parents ijajat nhe d rhe to kya hm bina imam ka nikah kr skte h..plz help me..

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yaha kawari nah honay say murad sirf ye hay k aisi lerki jo talaq yafta ho ya baywah ho or oskay sohar nay oskay sath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zaroorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna lazmi nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4016
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya hum khud s nikah kr skte h bina imam ka?

Answer: Nikah ka seegha ya tu aurat or merd khud parhty hain ya kisi ko wakeel moqarar kar lety hain takeh wo onki tarf se parh dey . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4039
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I M HINDU AND WANT TO MARRY A SHIA GIRL. WE BOTH ARE IN LOVE WITH EACH OTHER. HOW CAN I MARRY HER?

Answer: Musalmaan aurat kisi kafir merd(maslan hindu) se shadi nahi ker sakti.haan agar wo lerka musalman hojaay tu os se shadi kerna jaiz hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa¡il, Maslah#2362 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4047
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya koi ladka kisi isahi(christian) ladki se shaadi kar sakadta h? or ye islaam me jaez h?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par ehlay kitaab(yahoodi/ Isae) se nikah e dahimi nah kia jay laikin ghair daimi nikah( muta) karny main koe haraj nahi hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #2362 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4087
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ak syed larki ak non-syed larky sy shadi kr skti ha?

Answer: Muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k saath jaiz hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4089
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia syed zaadi ka nikah ghair syed (shia)sy ho sakta hy?

Answer: Syedani ka ghair syed shia mard sai nikah bila ishkal jaiz hai is lye k muslman, muslman ka kafo(barabar,manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai aur momineen aik doosray k kafo hain. (Ref : Ayat Ullah Imam Khomeni(r.h), Tehreer ul Waseela Part # 3, Maslah # 11 Chapter : Ahkam e kufr). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4107
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia AIDS k mareez k lie jaiz hai k wo is beemari sai mehfooz insan sai shadi karay?

Answer: Jee han jaiz hai. Albetta AIDS sai mehfooz shakhs ko dhoka dena jaiz nhi hai yani ye jantay huay k mai AIDS ka mareez hon , shadi k waqt apnay aap ko AIDS sai mehfoos zahir karay. Is lie AIDS k mareez k lie hambistri bhi jaiz nhi jo beemari k muntaqil honay ka bais bnay. Lekin agar beemari k muntaqil honay ka srf ehtimal ho aur yaqeen na ho to hambistri sai ijtinab krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 375, pg # 225) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4121
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia sunni larki ka ehl e shia Mard se nikah ho sakta hy

Answer: Note : Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Gair shia sai shadi krnay mai agar gumrahi ka khof na ho to shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, pg # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4139
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meta sawal k kya shadi Kay leyay ladki aur ladkay ka sitara deekhna zaruri hai. Mujay eak astroligst s nay sitara desk kar kaha k asp ka shadi Kay bad divorse hoga, is Surat mai mujay kya karma hai

Answer: Shohar or bivi k dermiyaan onki sa,aa,dat ya saqawat k aytebaar se sitaroo ka koe dakhal nahi hota, nah faqat shohar or bivi k dermiyaan balkeh on k alawah doosray insano k dermiyaan bhi oska koe asar nahi hay. Ye sirif najumiyoo(astrologist) ki iftira hay or shar,an ,is ki koe haqiqat nahi hay. layhaza aap k liay zarori hay k shareek e hayaat k silsilay main is baat ki justujo karain k lerka kis qadar deendaar or ba akhlaaq hay or agar mashwaray k baad bhi aap ko shak rahay tu phir Allah se talab e khair kijiay(yani istekhara kijiay) or os per tawkkul kijiay. (Ref: Deen k Ahkaam, pg#218). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!