Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4252
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: islam mein ek larki kitne mardo k sath shadi kar sakti hai

Answer: Jab aurat sohar dar ho yani kisi ki biwi ho to os k lie sohar k hotay huay doosri shadi krna haram hai leikin job sohar talaq day day ya sohar ki wafat ho jae to iddat k baad doosri shadi kr sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4254
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaykum janab mere do sawal he 1) kya biwi ko shohar ki har baat manna chahiye k nahi or agar biwi shohar ki baat na mane to kya karein? 2) kya bina topi oehne namaz ho sakti he ya topi pehenna jaiz he?

Answer: 1a) Jis orat ka daimi(hmesha ka) nikah hojay usk liye haram hai k shohar ki ijazat k bagair ghar se bahir nikle, chahe iska nikalna shohar k haq k manafi na bhi ho. b) Bivi k liye zarori (wajib) hai k jab bhi shohar us se jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahiye to uski khwahish puri kare or shar’ee uzr (any Islamic reson,i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari se na roke. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2376) c) Mard ko ye haq hasil nahi k biwi ko gharelo khidmat per majboor kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2378 ) 2) Mard k liye Namaz men topi pehanna wajib nahi hai or topi k beghair bhi namaz ho sakti hai. lekin orat k liye Zaruri hai k namaz men apna tmam badan hatta k sar or baal bhi dhanpe albatta chehra, kalai tak hath or takhno tak paoon (agr na_mehram na dekdh raha ho to) dhapna zaroori nahi hai laikin ye yaqeen karnay k lie k is orat ne badan ki wajib miqdar dhanp li hai zaroori hai k chehray k atraf ka kuch hissa aur kalai aur takhnoo sai nichay ka kuch hissa bhi dhanpe lekin moze(socks) pehanna wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #776, 777) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4260
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA,,muje ek hindu shadi-shuda ladki semuhabbat ho gyee hai aur mai un ke sath humbister v ho chuka hu,aur wo mere mna krne pr wo apne shouhar k sath v sex nh krte,,,to kya hmlog shadi kr skte h ek dusre k sath? plz i will wait for ur reply.KHUDA HAFIZ

Answer: Sab se pehli bat to ye hai k hindu jo isalm ki nigah men kafir gardane jate hen unki oraton se nikah krna jaiz nahi hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st Edition, maslah#2362) Dusri bat ya hai k wo orat ek shadi shuda orat hai or hmare mazhab k mutabiq agr ek kafir orat or mard k darmiyan apne hi mazhab k mutabiq ba-sharaait or sahi nikha waqe ho to wo bilkul sahi hai or wo apas men miyan biwi hi hen. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Maasail, 5th Edition, Maslah#413, Pg#237) Or jesa k apne btaya k ap k or us orat k drmiyan hmbistri waqe ho chuki hai to is hawale se wo orat ab agrche musalman ho bhi jaye tab bhi ap us se nikah nahi kr sakte q k wo ek shadi shuda orat hai or agr ek shadi shuda orat zina kre to_Ehtiyat-e-wajib ki bin pr_ wo us zina krne wale mard pr hmesha k liye hram hojati hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st Edition, maslah#2367) Toba kijay Parwardigar ne quran me wada kiya he k wo toba karne walon ki toba ko qabool karta h or aiysa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wade pr amal na kare. Or gunah se bachne k liye mazboot irada chahiye.(Ref : Email From sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda apki tofeeqat men izafa farmaye)

Id: 4262
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia syed zaadi shia ka ghair syed sunni sy nikah o skta eh

Answer: Agr gumrah hone ka khoaf na ho(yani us syed zaadi shia larki ke us gher syed sunni k mazhab ko apnane ka khoaf no ho) to phir nikah sahi hai is surat men k jab wo larki apne mazhab pr baqi rahegi lekin phir bhi makrooh hai, Or ye bhi zaruri hai k wo sunni mard k jis k sath nikah horaha hai wo larka naasibi na ho(yani Ahl-e-Bait a.s se dushmani na rakhta ho). Agr wo nasibi ho to phir is syed zaadi shia larki ka us gher syed sunni mard se nikah krna haram hai.(Ref : Ayat_ullah Sistani, Minhaaj-ul-Saliheen,(a.s),Part#3, 4th Eddition, pg#70, Maslaa#215)

Id: 4264
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia sms py nikah pssible hy gwah mauqy py tu ni thy bt muqy py unhain msg dikhaya gya plzzzz gve answer

Answer: SMS par nikah sahi nahi hai q k nikah mai nikah k sighay k bool parhna zaroori hai. aur nikah likhna ehtiyat e wajib ki bina kafi nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4274
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam alikum mera savaal yeh ke mai aik shai hoon or or mai aik sunni ladke sa shade karan chahta hoon magar us ka ghar vala ejazat nahe data hai kya main os ka gharvaloon ka bagar nikha kar sakhta hoon

Answer: 1)Kisi gair shia sai shadi krna agar gumrahi ka khof na ho to sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 134,pg # 70) 2)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya souteli khala se nikah jaiz hai

Answer: Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon ,6 ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se nikha karna haraam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya 1st safar mahine se lekar aakhiri safar mahine main nikah ho sakta hai

Answer: G han hosakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 03, Eidition 1417 hij). Update on dated 12-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 4321
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya souteli khala se nikah ho sakti hai

Answer: Agar souteli khala se muraad wo auraat hai jo aap ki maah ki bahn ho aur donoo k baap aur maa(waldain) same hon , ya baap same aur maa alag ho, ya maa same aur baap alag ho to in teenoo suratoo mai wo aap ki khala hai aur in se shadi karna haraam hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam agha mujhe ye puchna hai k shadi ki date nahas e akber ka din agaya hai to plz bataye k kia karain shadi hosakti hai ya nahin ya koie sadqa dena pare ga plz reply karain or meri problum solve kardain plz agha

Answer: Nikah k sighay perhna qamar dar aqrab ya jab chand mehaaq (chand ki akhri teen takeekhain jin main chand chup jata hay 27, 28, 29) me ho tu nikah karna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3, masla # 3) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!