Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4333
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AssLaM O AlIkum nikah kesy karty hai or is me kya sharait hoti hAi kitny gawah hony chaHiYe etc??

Answer: Nikah ki sharaa`it men se chand zaruri sharten ye hen. 1. Ehtiyaat wajib ki bina per nikah arabi men parha jaye, 2. Mard or aurat ya un k wakeel jo k seegha e nikah parh rahe hoon wo Qasd-e-Insha rakhte hoon matlab agar khud nikah parh rahe hoon to ek dusre k miyan biwi banne ki niyat se ho, or agar un dono k wakeel nikah parh rahe hoon to un ki niyat ye ho k wo mard or orat jinhon ne unhen wakeel banaya hai ek dusre k miyan biwi ban jaen, 3. Jo shakhs nikah parh raha hai wo Aaqil ho or agar apna nikah khud parh raha ho to baligh hona bhi zaruri hai. 4. Mard or orat moyan hona chahiay, 5. Mard or orat shadi per razi hoon, or agar zahiri tor na-pasandeedgi ka izhaar karen or maloom ho k dil se razi hen to bhi nikah sahi hai, Or isi tarah larki apne wali(bap ya dada) ki ijazat se nikah kre, bagher ijazat k nikah nahi hosakta,Lekin nikah men gawahoon ka hona wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2335-2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia 2 gawahon ki mojudgi me larka larki ek dusre ko qubul karlen aur meher pe bat nahin hui ho to kia nikah hojata hai? Kia wo larka larki ham bistari karsakte hain

Answer: 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(mutah) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay. Aurat aur mard ka faqat razi hona kafi nhi hai. Aur gawahoo ka hona zaroori nhi hai is k alawa mehar ko tay krna zaroori hai. 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). Shi nikah k bagair hambistri krna haram hai. q k wo zina ho jae ga aur zina gunah e kabeera mai shumar hota hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4345
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mey apneee wife kee banjee say nikah kar saqtaa hun

Answer: Insan apni biwi ki ijazat k bagair us ki bhanji sai shadi nhi kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi larki apne nikah ke bad kisi na mehrum se jama karti hai tou kya nikah toot jata hai, aur wo apne shohar se khula kis tarah le sakti hai?

Answer: 1)Agar sohar dar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai. 2)Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2367, 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4365
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya aik syed zadi ki shadi aik ghair syed sy ho skti hai jo shia b ho? or bht namazi parhez gaar b ?

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nikah k liy aceptance and propsal ka huna lazmi hy gwah bhi hun to kia nikah phu gia hy cell py? jst larka and larki ki razamandi aur 2 gwah bhi hun ......answer plzzzzzzzzzzzzz

Answer: 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334). 2) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4397
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye he k kia 15 sal ki larki k sath nikah jaiz he ??? larka 19 sal ka he or larki 15 sal ki & larka larki dono rai he to kia wo nikah kr sakte hen plz give me ansr Thanks.

Answer: Jee han nikah ho jae ga magar nikah mai shrt ye hai k kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4423
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: if husband didnt meet wife for long time till four motnhs without any contact and nan nafqah.than nikah will be valid or ont?

Answer: 1)It is not permissible for the husband to abandon sexual intercourse with his youthful, permanent wife for more than 4 months, except when sexual intercourse is harmful to him, or involves unusually more effort, or when the wife herself agrees to avoid it, or if a prior stipulation to that effect was made at the time of Nikah by the husband. And in this rule, there is no difference between the situations when the husband is present, or on a journey, or whether she is a wife by permanent or temporary marriage. 2)If the husband who is responsible for the wifes maintenance, does not provide her the same, she can draw her expenses from his property without his permission. And if this is not possible, and she is obliged to earn her livelihood, and she cannot take her case to the Mujtahid, who would compel him (even by threatening him with imprisonment) to pay the maintenance, it will not be obligatory upon her to obey her husband while she is engaged in earning her livelihood. In above two problems in a permanent marriage, the marriage is in order(valid). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2380-82) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4433
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia larky ka nikkah us k abu ki chacha zaad se ho skta hay.

Answer: Chacha zaad ya khala zaad (cousin ) se nikah jaiz hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah # 90-93 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4438
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a mera sawal ye hy k mera nikah just nikah namy py sign kr k hua koi seeghy nae pary na mery pas molvi aya or mn apny shohar sy khula mangi or us ny fone py mujgy 3 bar bold dia wakfy wakfy sy to kya meri talaq ho gae

Answer: Nikah ki chand shara,it hain k:- 1. ehtiyaat wajib he ke segha sahih arabi me parha jae. 2 ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3 sigha parhne wala ethiyaat ki bina per baligh aur aaqil hoon . 4)mard aurat mu,aiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379). Note: zikr shuda fatway se ye baat sabit hoti hay k aap ka nikah hi durust nahi. Laihaza aap ko khula ki zarorat hi nahi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!