Question: salam allqum mai muslim hu kay mai apna say badi larki say shadi kar sakta hu islam aaisa kuch hai kay
Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 24-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agar koi larki apni marzi say shadi na karay to is ka koi guna hai
Answer: Rasool Allah (s.a.w) se marvi hadees ke mutabiq ager Rasool Allah (s.a.w) ki itaat ki chahat hai to shadi karni chahiye. OR. Ek or hadees main he k jis ne shadi ki us ne apna adha deen bacha lya is k ilawa agar shadi na krne ki waja se gunah main mubtila (involve) hone ka khoaf ho to shadi krna wajib he.(Ref : Aqa Sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 385 , eidition # 5)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2407). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam O Alaikum! Qibla me yeh pochna chahta hon k ek baligh aur rozgar wala larka pehli b.v aur apne tamam khandan se chup kar unhen bataey baghair dosri shadi kar lay to kia yeh shariat me jaiz h? Plz reply. Regards.
Answer: Jee han bilkul jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar larki ki enagement zabardasti ho ux ky parents ky khany py or larki razi no ho tou wo kia kry?
Answer: Engagement ki ki Islami hesiyat nahi hai. Lekin larki ki ijazat k baghair us ka nikah nahi ho skta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mutah nikah karne ke liye lardka aur lardki ke walidain ka hona lazmi hai. Ya lardka aur lardki kisi moulvi ke pass ja kar dono nikah ker sakte hai??
Answer: larke k liye apne walid se ijazat lena lazim nahi hai, albatta larki k liye agr wo kunwari hai to walid se ijazat lena zaruri hai, jab tak wali razi na ho tab tak nikah nahi hosakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 20-11–2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-Alaikum... Sir mera ap s ye swal hai k kya apni zaat sy bahir shadi krna jiaz nae hai kya???
Answer: G han jaiz hai.(Ref: Ayat ul Allah Seetani db, Tozeeh ul Masaail, Maslah#2349(Allah apki tofeeqat men izafa frmaye)
Question: Salam. jnab agr pehli b.v sy ijazat liey baghair aur apne khandan se chori dosri shadi karna jaiz hai?
Answer: Mard ko shadi krne k liye kisi se ijazat lena zaruri nahi hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53).Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Assalamo alaikum....mujhe ye btaen k kya hm virgin ladki se mutta kr sakte hain...agr hm vigin ladki se muta kr len to koi gunah to nai hoga...mutta kis tarah se hoga..plz reply soon.
Answer: Agr virgin larki ka walid hai koi gunah nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342).Update on dated 20-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Aoa, i am a depression patient and have some psycho problems . My parents are saying me for marrying but i don't want to spoil life of any by marrying her. what islam says about that.what should i do for my sexual desire, getting away from sins.
Answer: Shadi karna un mustahabat mai sai hai jin ki islam mai bohat ziada takeed ki gae hai is lie Rasool e Akram s.a.w.w. nai farmaya hai k “Jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai.” is k alawa aur bhi be-shumar hadees moujood hain jin mai shadi karnay ki takeed ki gae hai laikin Jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai fail e haram mai mubtila hota ho os par shadi krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385 pg # 231) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya hindu ldka muslim ldki se saadi kr sakta hai?to kya kya jroori hai plz btao? ldki b raazi h?
Answer: Jee nahi ye nikah sahi nahi hoga.(Ref : Ayatullah Sistani (d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2362) Update on dated 23-11-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)