Question: Apni umar se badi ladki se shadi karna kesa he. Guzarish he ke hadish ki roshni bh sath me bayan kare.
Answer: Musalmaan mard apne se bare umar wali musalmaan aurat se nikah karsakta hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: saali k sath sex
Answer: Jab tak ap ki biwi ap k nikah main he saali se kisi qisam ka nikah nahi ho skta or nikah k baghair sex haram or gunah e kabira he.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # before maslah # 2355). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: cousin sister se shaadi karna kyo jayaj hai. Aisi kya vajeh hai?
Answer: G hai cousin se shadi jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2349 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam sir mera sawal ya hai kay agar aik larka yaan larki shadi sa phaly humbisdar hon to kia un ka shadi krna islam quran mai mana to nae
Answer: G nahi mana nahi hai unki shadi hosakti hai albatta ehtiyat e wajib ki bina ye zaruri hai k larki nikah se pehle apne kiye hue gunah ki toba krle phir nikah kiya jaye.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2364). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya syed zadi gher syed se jo k shis h magar syed ni hai...shadi uo skti hai??
Answer: Jee han shadi hosakti hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: main aik syed zadi hun our mari shadi aik gair syed sy hoi ha kia mara nikkah sahi ha ya nahi plz must replay
Answer: Jee sahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij). Update on dated 07-12–2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Plzzz mery question ka ans dai kai girl or girl shadi karsaty ha k nhr or nails bary honay se namz hojati ha ya nhe
Answer: Jee nahi girl ki girl se shadi jaiz nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 01-02, Eidition 1417 hij). Jee Bare nails se namaaz ho jati hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael , Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 1114). Update on dated 07—12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: jis aurat ko talaq ho jaye us aurat ko kitney dino baad shadi karni chahiey
Answer: Agr is ke 2 haiz (periods) ka darmiyaani fasla 3 mahino se kam ho to do haiz k bad jese hi tesri baar haiz aaye ga to iddat katam hojaegi, Us k bad nikha kr sakti hai, Or ager 2 haiz ka dermiyani fasla 3 mahine ke barabar ya is se ziyada ho ya haiz hi na aata ho lekin umar haaezah oraton ki umar jesi ho to 3 qamri mahine ke barabar iddat hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2474 to 2476). Update on dated 07-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: kia lrki baap ki marzi k baghair nikah kr skti hy? isky sharai ahkamaat kia hyn?
Answer: Jee nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey
Question: kya ik shai larky ka esi lrki se nikha krna jo suni ho or shadi k bad bi sunniyo ki he numaz ada kry sahe ho ga
Answer: G han jaiz hai albatta (chahe shia larka ho ya larki)agr apne mazhab ke tabdeel ka imkaan ho to phir jaiz nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #1 , sawaal #134, pg # 70) Update on dated 02-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)