Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8082
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr larki ka bap ya dada zinda na ho to wo bagir kisi ki ijazt k nikha kr skti hai

Answer: Jee han kar sakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 2335,2341,2342. Eidition 1430 hij) Update on dated 02-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ek ladki se pyar karta hu mujhe nhi pata k vo mujhse karti hai ya nhi vo hindu. hai please bataiye mein kya karu

Answer: Musliman ki Hindu se shadi karna jaiz nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362). Update on dated 01-01-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8112
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia pahali biwi Ki ijzat kae baqar dusari shaadi jaiz ha r hamaarae knoon mai is Ki kia saza h

Answer: Islami lehaza se mard ko dusri shadi krne k liye pehli biwi se ijazat lena zaruri nahi hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) .Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shoher ki mojodgi ma kise or se mohabbat ho jaye or taluqat ho Jayee tu nikha Qayeem rehta ha

Answer: Agar sohar dar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani(jis k sath taluqat hon) par hamisha k liye haram ho jati hai lekin shohar par haram nhi hoti (or nahi nikah tootta hai) aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina karti rahe) to behtr ye hai is ka shohar isay talaq day dai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2364 ) shoar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30),

Id: 8118
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mara sawal ya ha k main ak larki ko pasand karta hoon 5,6 sal sy or us k sb ghr waly razi hain mary sath shadi karwany main par meri walda nhe maan rahi k wahan nhe karni tu kaya main apni marzi sy us k sath nikaha kar sakta hoon...

Answer: G han ap k liye apki walida se ijazat lena zaruri nahi hai q k maa kabhi bhi wali nahi ban sakti , or agr ap baligh hochuke hen to phir to wali (bap or dada) ki ijazat ki bhi zarurrt nahi hai albatta larki k liye apne wali se ijazat lena zaruri hai(Ref:Ayat-ul-Allah Sistani, Minhaj-ul-saliheen, Part#03 Pg#28, Masla#67-68) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)

Id: 8126
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam kia syed lrki ka rishta ksi or cast me krna jaiz he?

Answer: Jee han jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamalikum janb mai ek bewa se nikha karna chata hu or meri umar us bewa se kam hai kay ye nikha jiz hoga

Answer: G han nikah hosakta hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8137
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal hai k kia koi shia larka kisi sunni larki se shadi karsaqta hai jab k larka larki dono k ma or bap dono razi nahi hain or na koi ghar waley

Answer: Shia larke ki sunni larki se shadi hosakti hai albatta jab tak larki ka walid razi nahi hoga tab tak nikah nahi hosakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8140
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya sasur sa nikha jaiz ha aur nikah ka liye kiya ahkamat ha

Answer: G nahi nikah nahi hosakta balke susar se nikah krna haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2354).Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8148
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya najaiz ladki se nikha jaiz hai?

Answer: G han jaiz hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335 , 2341 , 2342 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!