Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7928
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ek syedzadi aur ek ummati ka nikah ho sakta hai? Plz Quran ki ayat k sath ans dy

Answer: Syeda larki ka nikah syed larkay se jaiz he. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215, Eidition 1417 hij). Update on dated 29-12-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7932
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: if wife says her husband brother then what effect on nikah

Answer: Is se nikah per koi faraq nahi parta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462). Update on dated 29-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7939
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O .A mera que ye hai k razai behan ki choti behan k sath nikah ho sakta hai??

Answer: Razaai behan ki behan mehram hai or us se nikah karna jaiz nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2428). Update on dated 29-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7940
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis aurat se zina kiya jaye kya us ki beti ke sath shadi jauz hai? kya saas ke sath zina krne se biwi ke sath nikkah toot jata hai?

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se (jo us ki phopi ya khala k alawa ho ) say zina karay to ehtiyat e mustahabb(behter) ye hai k is ki beti k sath shadi na karay.(laikin phir bhi shadi kar sakta hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2361 ) 2) kise aurat k saath shadi hojane k baad us ki mah (saas) k saath zina karne se us aurat aur mard ka nikah nahe tootta(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2360 ).

Id: 7945
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nikah ki had kia hai ? nikha pr nikah tu nhi ho skta pr agar koi kr lay tu kia hal ho skta hai yan us ki koi saza wgaiira ?? plzzz answer ?

Answer: Mard k liye Aik se ziyada shadi karna riwayat ki roshni me mustahab hai, Lekin aurat ek se ziada shadi nahi kr skti or agr krle to ye zina kehlaye ga.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) Update on dated 29-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7979
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asssalamwaleku mera question yes hai ke mai ek ladke se pyaar karti hun or hum logo ne yeh faisla kiya hai ke hum dono ek dusre se shadi karna chahte hai kya to kya hum log shara ke hisab se personal bate ek dusre se kar sakte hain

Answer: Agr apk walid is nikah se razi hen to nikah ki dusri sharait ka khayal rakhte hue nikah sahi hoga, lekin agr ap ke wali (bnap ya dada) ko is bat ka elm nahi hai to nikah jaiz nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 01-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7986
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhse sacha pyaar kartha use muslim bannana chahti hoon toh shaadi karna chahta hai hindu hai yeah mujhe pasand nahi use muslim banna hai toh kya karein pls reply karein

Answer: Hindu jab muslman ho jae to os k sath shadi jaiz ho gi albetta Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea,ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42) Agar kafir shahadatain perh le yani kisi bhi zaban main Allah ki wahdaniyat(unity) or khatimun nabiyeen(Last God's prophit) ki nubuwat ki gawahi day day tu musalman ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #205) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7989
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main non muslim thi lekin ab maine islam qubool kiya hai, main nikaah karna chahti hu iske liye mere father tayyar nhi honge.. main nikaah kaise karu.. kya kya zaroori hoga

Answer: Agr apk walid razi nahi hen to nikah jaiz nahin hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 01-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 7996
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam-O-Alikum Sir, Mera swal yeh hy k ik larki ka ik larky sy afair tha before merry sex kerliya or wo 4 month Pregnant hogai usk bad usi larky ny Nikkha kerliya to ayya ye Nikkha PREGNANCY mian jaiz hay ya ni????

Answer: Wssalam o alykum, Ager nikah larki ke toba o nadamat (us bure kaam per pashemani) se pehle kiya gaya hai to ehtiyaat e wajib ke madd e nazar nikah batil hai q k jab tak larki toba nahi kr leti wo usi larke se shadi nahi kr sakti.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 550 , pg # 278 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8028
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: PlzZ ans my question kai ak girl or girl shadi krsakty h ky nhe

Answer: Girl ka girl k sath shadi karna jaiz nahe hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # before maslah # 2328). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!