Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9188
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ya pochna h k agr ik lrka lrki zana kry or lrki pregnant ho jye or pregnancy m wo nikh kr ly tu kya unka nikah jaiz ho ga ya jaiz nhi unka nikh sai h ya lrki ki pregnancy k bd nikah jaiz ho ga

Answer: 1-Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2364). 2-wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 3-Zina k baad bhi is per kanwari k ehkamaat hi jaari hoon gaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #70 , Eidition 1427 hij). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9215
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya kisi larki se us ki waldain ki ijazat k beghair mutah kya ja skhta hai jab k larki independent na ho? ager mutah karlia jaye beghair ijazat masla maloom na hune ki wajah se to is baray me kya hukm ha?

Answer: Jo baligh lerki kanwari ho or apni zindagi k umoor khudmukhtari se anjaam nah daiti ho tu agar wo shadi kerna chahay tu apany baap ya dada se ijazat lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9221
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar larki ka nikkah apni marzi se na ho tou aur woh apni pasand se nikkah krna chahti ho tou kya kare?

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Update on dated 25-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9224
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam g mara sawal ye hain ki larka our larki ki parents ki marze ki hilap dono ka nikah hosakta hain molve our 2 gawaho ki hazere mae

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 25-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9228
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhe mushkil hai Syed zadi ki ger syed me shadi k hawale se. Jo is k haq me hain ye daleel dete hain k Bibi Zainab s.a k shohar Hazrat Abdullah Syed nahi thy. Mutakki hona zaruri hai syed nahi. Ap iss mushkil ko door krden plz

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 03-10-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9262
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u Alaikum.. Sir meri ek sunni friend h jo k ek baar zina kr chuki h magr ab bht pichtati h r tauba b krti h....Kya mn us se shadi kr skta hn? I m a shia boy..

Answer: Aap k liay os se nikah kerna jaiz hay, agar aap ko apne mazhab k mehfooz rehne ka itminaan ho.(Ref: tauzeehul masael,ayatollah khumeni r.h, maslah#2396,+minhajus Saliheen, part#2, 5 maraje, maslah#1298, page#424). Upto dated: 05-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9265
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: many ik larki ko allah ko hazir nazir jaan k ya kaha k ma allah ko gawah bna k tumy apny nikkah ma lata ho tumy qabool ha.us ny qabool kar lia.to kiya asy nikkah jaiz ha?

Answer: 1-Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) 2-Nikah main gawah ka hona zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335). Update on dated 09-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9275
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam ya ali a.s madad How are you? My questions is " if syed girl allowed to marriaged with non- syed boy? Please quick answer as soon possible.

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). Update on dated 13-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr lrka lrki msg py nikkah kry ALLAH ko gawah bna k to kya ye nikkah ho ga

Answer: Is tarah se nikah nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2335). Update on dated 14-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9330
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ghar main kam kaney wali ko londi keh saktey hain aor kia us sey mubasrat kar saktey hain

Answer: Ghar k kaam kerne wali nokerani loondi shumaar nahi hoti or is se hambistari kerna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah khoe(r.a),almobeen fi tauzee e minhajus saliheen, mafhoom e maslah # brfore 1228,pg#222).Update on dated 25-02-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!