Question: Kya sayyed gharane ki ladki ka rishta syyed parivar me hi hona chahiye? Khan gharane m hua nikah to kya koi buri bat hai?
Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221). Update on dated 13-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).Update on dated 13-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya soni larki sheeya say nekh karskti hi
Answer: Shia larka nasibiyon k elawa dusre sunni firqon ki larki se shadi kr sakta hai, albatta agr us shia larke ko apne deen se gumrah hone ka khoaf hoto phir ye shadi krna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij) Update on dated 24-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AoA, agr larka sunni ho aur larki shia ho tu kn sy sect ka nikkah kia jaye sunni maslik k mutabiq ya shia maslik k mutabiq
Answer: Shia nikah perha jaey, tu nikah durust hoga, or ye nikah sunni hazrat k mutabiq bhi durust hota hay Q k shia nikah main sunni niakh ki sharit bhi pori ro jati hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah #2335+ E-maul rcvd from A.Sistani d.b). Update on dated 27-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AoA, agr larka sunni ho aur larki shia ho tu kn sy sect ka nikkah kia jaye sunni maslik k mutabiq ya shia maslik k mutabiq
Answer: Shia nikah perha jaey, tu nikah durust hoga, or ye nikah sunni hazrat k mutabiq bhi durust hota hay Q k shia nikah main sunni niakh ki sharit bhi pori ro jati hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah #2335+ E-maul rcvd from A.Sistani d.b). Update on dated 27-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya kisi surat soteli bhen se nikah ho sakta ha
Answer: Wo sotaili behen jo soteli maan k pehle shohar se paida hoe ho, os se shadi kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #158). Update on dated 12-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya uski larki se shadi ho sakti jis k 7 pehly zina kia ho???
Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala ki lerhki k alawa kisi or aurat se zina karay tu ehtiyaat e mustahab ye hay k oski baiti k sath shadi nah karay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition,maslah #2361). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 14-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o alaikum Mera question ye h k meri shadi hui tou Meri saas ki wafat ho chuki thy Phr sussar ne doosri shadi kr li. Ab kia mere shoher k lie soteli maa wesi e h jese apni walida the in. Isk bare mh kia hukm h plz mjhe details mh btaie
Answer: Baap ki bivi mehram hoti hay, os se perda wajib nahi. Laikin wo asal maan k hokum main nahi hoti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #155). Update on dated 18-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar kisi sy zina ho jata hy to kia farz hy k us larki sy lazman nikah kiya jae?
Answer: 1)Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2364). Update on dated 26-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: jis aurat se zina kia ho os se shadi kerna lazim nahi hay.
Question: Kya maa baap ki mrzi k bagher Shadi ki ja skti hai
Answer: Baligh larka maan or baap ki ijazat k baghair nikah ker sakta hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Update on dated 24-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya ek hi ladki se dobar nikah kar sakte hai pahle nikah hua hai par ghar me kisi ko pata nahi is liye un ki raza k liye dobara nikah kar sakte hai kya
Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Note: Lehaza dobara nikah parha zarori hoga.