Question: Assalam Aalaikum Kya nikah k liye ksi zalim ka hona zruri hai. Or arbi may parhna zruri hai ya nikah madari zubaan may parha jabsaktabhai?
Answer: Nikah k sahe hone ki khuch shara,it hain jin k baghair nikah sahi nahi hota jin me se khuch ye hain (nikah k alfaaz ) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay albatta inhe chaie k wo alfaaz kehe jo zawwajto aur qabilto ka mafhoom ada kare maslan phele mahar moiyan karne k baad daime nikah me larki yu kehe k mene is mahar per jo moiyan ho chukka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar baad mard kehe k mene is isdewaaj ko qabool kiya to nikah sahe hai Agar merd or aurat khud daimi nikah ka seegah perhna chahain to, nikah ka meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2328-2335,2341,2342). Update on dated 16-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya bewa apne jeith se dosri shaadi kersakti hy??
Answer: Jee ker sakti hay.( Ref: Minhajus saliheen, jld#3, pg#57). Update on dated 14-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A.o.a agr aik aurat ka shohar hu or wo kisi or sy sath bhi nikka kar le or jis sy wo nikka kar rahi ha os ko sb kuch pta hu or wo phir bhi nikka kar le tu kiya wo os ki biwi ban jaye gi
Answer: Nahi, wo pehly shohar ki hi biwi hogi .Dosray shakhs ko chahiay k wo us aurat say alag ho jaey ,or yeh aurat us per hamesha k liay haram ho jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 19-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A.o.a agr aik aurat ka shohar hu or wo kisi or sy sath bhi nikka kar le or jis sy wo nikka kar rahi ha os ko sb kuch pta hu or wo phir bhi nikka kar le tu kiya wo os ki biwi ban jaye gi
Answer: Nahi , wo pehly shohar ki hi biwi hogi .Dosray shakhs ko chahiay k wo us aurat say alag ho jaey ,or yeh aurat us per hamesha k liay haram ho jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ). Update on dated 17-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: \" Meri wife aur meri separation ko 6 month say ziyada hogaye hain.. hum alheda rehtay hain.. kia nikah toot gaya humara ? agar hum dobara ek sath rahe tu reh sktay hain ?."
Answer: Aap ka nikah nahi tootta wo aap ki wife hain aap un kay sath reh sakty hen. (Ref: Mihajus saliheen, jld#3, maslah# 498). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr koi shadi shuda larki kisi gair maed ke sath hambistri karti ha to aya ke us ka us ke husband ke sath ikkah toot jaye ga ya nhi
Answer: Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina kernay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2367). Update on dated 09-09-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia 18 sal sai chota bachon ki shadi jaiz ha ya nahi
Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2340 ). Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: janab hame janna hai ki kaya hum chand ki 3,13,9,18 ki tarikh ko nikah kar sakte hai ?
Answer: Jaiz hay. Albattah qamar dar aqrab or chand ki on aakhri tareeh main jin main chand chup jaata hay, nikah kerna makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen, part#3, maslah #3). Update on dated 16-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar koi ladka kisi shadi suda aurat se zina kr leta hai or uski mafi mang leta hai or fir usi aurat ki beti se us ladke ka nikah ho jay to kya layak hai uska nikal
Answer: Agar koi shohar daar aurat sai zina karey tou ahtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamesha k liye haraam ho jati hai.or agar koi shaks naozubillah apni khala ya phuphi k ilawa kisi or aurat sai zina karay tu ehtiyaat e mustahab hai k us ki beti sai shadi nah karay.(yani behtar hay k os se shadi nah kare). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 2359,2361 &2367 ). Update on dated 09-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o alikum. G mera sawal ye hae k kia sunni larki shia larky se nikkah jaiz h? Hamare Nabi pak S.A.w.w ne ijazat di hae iski ya nh .hmare mazhab mae h ya nh ijazat.
Answer: Shia larka nasibiyon k elawa dusre sunni firqon ki larki se shadi kr sakta hai, albatta agr us shia larke ko apne deen se gumrah hone ka khoof hoto phir ye shadi krna haram hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij) Update on dated 14-11-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).