Question: Agar koi aurat, jiska shohar us se larta ho aur us se humbistri na krta ho aur usay ignore krta ho, tou aisi soorat mein aurat apni sexual needs puri krny k liay kisi aur se Islami tareekay se sex krskti hai?
Answer: G nahin aap ka ye amal zina kehlay ga aur zina karna gunah e kabira me se hay. Note : aap apne shohar ko is masle sharhe ki traf tawajju delaae ke 4 magene se ziya jawaan biwi se humbistri trak karna jaiz nahe hay (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij) [Updated on 09-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia agar shaadi k bad shohar biwi or olad ko chor k chala jaya or saal sa b zaada k bad b un sa na milna aya to shaadi khatam ho jati ha kia
Answer: Shohar ke itne arse door chale jane ki wajah se nikah katam nahi hota. albata Shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark nahi kar sakta magar yeh keh humbistri us ke liay nuqsanday ya buhut ziada takleef ka baais ho ya us ki biwi khud 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark karne par razi ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472,2382) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mai shadi shuda hun max 2 saal se mera sawal yeh tha k kiya mai apni biwi k sath oral sex kar sakta hun kiya yeh jayiz hy
Answer: Shohar or biwi oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Albetta is sai aurat mujnib nahi hoti hai laikin agar oral sex karnay sai wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar zere naaf k baal 40 din tak na kaate aur humbistari karle to kaisa hai.
Answer: G nahin hambistri per koi faraq nahin parhta, Sharamgah or os se oper sakht baalo ko saaf karna mustahab hay. Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada kaatne ko tark nah kia jaey, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat k ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: My wife doing zinah but not showing to me and something I'm watching like cloths,place and some things so what I have to do
Answer: Biwi ne zina kar k gunah e kabeera ka irtekaab kia hai Lekin Is se nikah par koi farq nahi parhe ga (yani shohar par haram nahin hogi) or agar biwi taubah o istighfar nah kare or apne amal per baqi rahe (yani zinakari tark na kare) tu behtar ye hay k os ka shohar osay talaq day day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2367). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kaya fajar ky bad hambistri ki jaye to kia hoga , kafraaa hai koi???
Answer: Fajar k baad soraj nikalnay say pehlay biwi se jima karna makrooh he (yani behtar hai is ke waqt hambistri nahin kiya jaye), lekin is ka koi kaffara nahin hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b) minha jus saliheen Part #3, maslah #5) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikkah hogaya 2 sal hogaye mere husband out of country hyn visa ni laga to rukhsati nhi hui abhi tk to kia mera nikkah baqi hy or kitni muddat tk ese nikkah reh skta hy bina rukhsati k
Answer: nikah baaki rahay ga ziada muddat door rehne sai talaq nahi hoti or nikah khatam nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 03-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar shohar ko sex se mana kr de aurat tu kia hukam h?
Answer: Biwi ke lie zarori hay ke jab bhe shohar jinse lazzate hasil karna chaae tu is ki tu ki khaawish pure kare or sharhe waja ke begaire shohar ko jima se na rokhe .Agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti kapray makaan ka shohar zimedaar nahi hai. is k ilawa shohar us ko talaq daine ka haq bhi rakhta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2376,2377) [Updated on 18-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, Kya biwi alag ghar ki demand kr skti h?
Answer: Alag ghar ka mutaalba karna aap k liay jaiz hay, laikin shohar per faqat ye wajib hay keh wo naan o nafaqqah k taur par os ko ghar farhaam kare, ye zarori nahi hay keh gahar zaati ho, balkeh gahar kiraey ka bhi ho tu kaafi hay.shohar ki heseyat ke mutabiq biwi ke shayaane Shan nafaqa shohar per wajib hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#340,eidition 1439,jadeed fiqhe masail ,aqa sistani,masla no:445 ). [Updated on 18-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alaikum mera sawal ye ha k keya jab bivi hamila ho tab sex kar sexty he or sex wali jaga ko chum sekhy he
Answer: 1) Jee han hambistri kar saktay hain., Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) 2)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga (yani choomna wagira) saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) [Updated on 24-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]