Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13064
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia muajjal haq meher adha aadha apni bv ko de sakte Hain ya pura ek sath Dena hoga

Answer: Jaiz hay k saray k saray mehar ko moujil (yani muddati) ya ghair e moujil (yani ghair muddati) ya indat talab (yani mutaalbay k waqt ada kerna) qarar dia jay aur baaz ko moujil aur baaz ko ghair moujil qarar dia jay aur moujil may muddat ka mouin karna zaroori hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 302). [Updated on 21-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13068
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere husband ki 2 families hai yani mere hasband ki ak 1st wife or 6 bachey hai or 2nd wife or us se ak bacha ha un ki monthly income 2 se 3 lac ha dono families ko ketni takseem honi chahye income ki?????

Answer: shohar per wajib hay ke wo (apne daaime) biwi ( chae aik biwi ho ya aik se ziyada biwi ho )ke lie khana ,libaas ,aisa makaan faraam kare jis me jis me zarori wasaail ho. jise hiter ,colar,ghar ka farsh or degar samaan hay ,jo shohar ki heseyat ke mutabiq biwi ke sayaan shaan ho albatta ye lawaazimaat zindaghe zamaan o makaan or haalaaat o satha ke lehaaz se mukhtalif bhi hosakte hay or shohar per biwi ka naan o nafaqa srif use surat me wajib nahe ke jab biwi faqeer ho or muhtaaj ho balke is surat me bhe wajib hay jab biwi ameer or beniyaaz ho. shohar per, ( aik se ziyada biwiyan hone ki surat me jo cheez wajib hay wo faqad ye hay ) ke agar shohar aik shab (raat) aik biwi ke pass soya ho tu 4 raatu me se aik raat kise dosere biwi ke pass bhi sohe ( is cheez ke ilawa shohar per apne biwiyoon ke darmiyaan dosere cheezo me barabar ki taqseem karna zarori nahe hay ) or jo adaalat shohar per sharhe nuqte nigha se mustahab ( behter hay or wajib nahe ) hay is se muraad naano nafaqa or biwiyoon ki taraf tawajju dene ,(shohar ka in biwiyoon ke saamne apne) chere ko hashaash bashaash (khush o khurram) rakhne or jinse khaash pure karne me baraabare hay. (ref:jadeed fiqhe masail,aqa sistani.org.urdu,masla no: 407,409,434) [Updated on 18-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13140
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mard aorat ki sharmgah se apni sharmgah touch kary(under na daly) mard discharge ho jay but aorat dishcharge na ho, aorat k liy gusal ka kia hukm ho ga?

Answer: Agar koe shakhs aurat se jimma (intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dukhool (agali sharamgah) me ho ya pichle maqam me aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.(aur donoo per ghusl e janabat wajib ho hata he.)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348). (Note: agar uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil na ho to aurat par gusl wajib nahin hoga.) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13156
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia bivi apne shohr k piche ki jaga me ungli dal skti hai?

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein.laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012) [Updated on 18-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13217
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia haiz khatam hony k baad ghusal se pehly intercourse kr sakty hain?

Answer: Haiz khatam hone k baad hambistari karna jaiz hay laikin ehtiyaat e lazim ye hay keh jima sharamgaah dhoone k baad kia jaey, or ehtiyaat e mustahab ye hay keh is k ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #457). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13224
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar bivi ar bar sex se mana kare to mard ko kia krna chahiye?

Answer: Biwi ky liay jaiz nahi k shohar ko mana karay lekin agar mana karay or uzr e share bhi nah ho to wo nafaqqay (kharchay) ki haqdaar nahi hoti hay. (Ref: Al masail ul muntakhaba, maslah#1014). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13254
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya condom kay sath sex kar sakty hai

Answer: Mard k liay jaiz hay k wo family planning k liay condom or is qisim k doosray cover istemal kare or ehtiyat e wajib ye hay k istemal se pehlay apni bivi se ijazat lay lay.(Ref: Ayatullah sistani (d.b), Jadeed fiqhi masael, Maslah # 465). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13255
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya condom kay sath sex kar sakty hai

Answer: Mard k liay jaiz hay k wo family planning k liay condom or is qisim k doosray cover istemal kare or ehtiyat e wajib ye hay k istemal se pehlay apni bivi se ijazat lay lay.(Ref: Ayatullah sistani (d.b), Jadeed fiqhi masael, Maslah # 465). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13340
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya shohar biwi ko apnay khooni rishtedaron ya waledain se milnay se rok sakta hai. ayatullah seestani

Answer: agar ( rishtedaaro ke sath) silah rehmi (ahsaan ke sath talluqaat ko jure rakhna ) ka sidaq aana louqo (ki nigha me) ghar se nikalne per mouqoof ho tu biwi ke lie (aise surat me ) ( shohar ki ijazat ke beghair ) ghar se nikalna jaiz hay. shohar ke lie munaasib (behter) ye hay ke apne biwi ko ijazat de ke wo (biwi) apne qarebi rishtedaaro ki ziyarat ( mulaqaat ) kare orus ke khaandaa walo me se jo mareez hain un ki iyadat kare or apne khaandaan walo ke marhomeen ke janazo me shirkat kare or is tarah ke kaam anjaam de balke shohar ke upper wajib hay ke ijazat de itni miqdaar me ke (khaandaan waalo ke sath) niake ka barqaraar rakhna jis ka taqaza karta hay or shohar ko ye haqq hasil nahe hay ke biwi ko (ghar) se nikalne se mana kare jab biwi ka nikalna aise kaam ke lie ho jo biwi per wajib ho ( jise biwi ka wajib hajj ke lie nikalna ) or jis aurat daaimi nikah hoa hay us ke lie apnay shohar ki ijazat k baghair ghar say bahar nikalna hi haraam hay ,siwaay is sorat k oska ghar main rehna os k liay nuqsaan ka sabab ho ya bohat ehem zururat paish aajay.(sistani.org,arabi.selatularhaam,sawaal :4), (Ref:Minhaaj us Saliheen Aqa .Sistani Part-3 Masala No:338) (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Mi Tauzee hul masail, maslah#2376) Silah rehmi ka matalab sirf ek doosare ke han aana jaana nahin hai, balke bilkul bhi Qata e Taluq kar lena ye jaiz nahin hai, aur har hal mein un ki islaah ke liye koshish karani chaahie. aap us se apna rabta khatam na karen, milane ke waqt salaam karen, mizaj pursi karen, Agar wo beemaar ho jaen to uski ayadat karen aur agar unhen zaroorat ho to unki madad karen..wagera. (Ref : https://www.sistani.org/urdu/qa/01837/ )Kam se kam Silah rehmi ye hay k khooni rioshtedaaro se phone per khairiyat deryaat ki jaey. http://www.qoitrat.org/Books/book1/fahrist1.php?myid=85)+(http://qoitrat.org/Books/book4/fahrist4.php?myid=100) [Updated on 24-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13365
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salam o alaikum ma bahar mulk ma hun or ma apna wife sa phone pa sexy karta hun to ya gunah hain ya haram hain ya hum karna jaiz hain ki nai please muja lazim batiya

Answer: Bivi ke sath phone per sexy batain kar sakte hain laikin is baat ka khayaal rahe k is had tak baat nah ki jaey keh khud per kabo nah rahe or mushtzani karne per majboor ho jain.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430).and (jadeed faqhi masayl masla # 406 pg # 236) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!