Question: kia Nikha k bd Lrki apny Maa bap k Gher Rak skti h Hmesha k lie
Answer: Jis aurat ka daimi nikah ho jaey os k liay haram hay keh shuhar ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikla chahay os ka nikalna shuhar k haq k manafi nah hi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aay ya ghar mein rehna os k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar os k monahsib nah ho. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2376 ) (Note: Aap ko chahye k aap apni zoja ko is maslay sai agaah karen k un k liye jaaiz nahi hai k shohar ki ijaazat k baghair ghar sai bahar nikle. [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Apni biwi ko kisi or se jamah krty dekhna
Answer: Zina karna or bivi zina kare or shohar khasmoosh rahe or bivi ko mana nah kare tu ye gunah e kabira hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia poti wali jaga m sex karskty h
Answer: Agar aap ki muraad washroom hay tu kar saktay hain, lekin is cheez ka khayal rakha jaye ke jis najis jagh pe hambistri ki ja rahi hai, us jagh ki wajah se badan ya jo kapra pehna howa he najis ho rahain hon to use pak karna hoga.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/16/858/,(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Mahfoom e Maslaa # 156). Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, or agar aap ki muraad Apne wife se back sex karna hay tu agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67 [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Mera sawal ye h k agr nafs kw andar nhi dala jaaey lkn biwi ki sharamgaah k bhttt nazdeek Mani nkl jaaey tw biwi pregnant hojaegi agr pant se thorri c Mani uski sharmagah k uper b lgjaey tw
Answer: Jee nahin is biwi hamila nahin hoti. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151) [Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam.o.Alakum. muja ye jaan na hai k shohar ki itaat karna biwi per wajib hai k nahi.. or biwi ki izzat na karay to islam kia bolta hai is bara main...
Answer: Jis aurat ka daaemee nikah (perment merrige) ho jaey os k liay haram hay keh shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikla chahay os ka nikalna shohar k haq k manafi nah hi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aay ya ghar mein rehna os k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar os k monahsib nah ho. Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Agar koi aurat hambistri aur jinsi lazzat k silsile me ki khowish puri na karay to shohar us ki roti , kapray aur makan ka zimadar nahi he. Agar chahe wo shohar k pas hi rahay. Aurat ki Giza ,lebaas ,rehaaish or zindaghe ki baaqe zaroriyaat ka intezaam shohar per wajib hay agar shohar ye cheeze moeya na kare tu chaae in ke moeya karne per qudrat rakhta ho ya na rakhta ho wo biwe ka maqrooz hay .Aurat k huqooq me se aik ye bhi he k merd usi aziyat na pounchey aur kisi sharie waja k bagair us k saath sakhti aur tursh’ravi se pesh nah aay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2376 ,2377) Hadees manqool hai jis main me aik orat ne kaha keh ya rasool allah (s.a.w.w) shohar ka haq zoja per kya hai yani bivi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat(jima) ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho phir us orat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, orat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka sohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya rasool allah chahe us orat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya haan chahe kitna hi zulum kiya ho (Ref: Tehzib ul islaam baab 4 topic hoqooq e zojain pg#140, 141). [Updated on 16-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam wo alekum sir mare behen shadi shuda ha 3 bacha ha lakin uska husband usa galliya data rehta ha logo k samina bala bura kehta a or marta ha dosre larkiyo k sat batain karta rehta wo b mare behen k samna sir koie ilaj bata da mehrubani hogi
Answer: Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara( mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara( mujtahid) is k shohar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara( mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, pg # 237, 5th Edition). Mian biwi me mohabat k lie : Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ilfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se danoo me be’misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404) 2. Aulad k lie : Riyawat me he k talab e aulad k lie sajday me surah e ambia ki ayaat # 89 (rab’bi laa tazar ni . . . . . . . . .al wa’ri’seen) aur surah e aal e imran ki ayat # 38 (rab’bi hab’li . . . . . . . . . .al dua) parhain. (ref : kitab naway salaheen pg # 400) note: khaandaan ke bare or aise louqo se is silsele me raabta karsakte hay yu shohar ko zulm kare se ruke or shohar ko haram kane se ruke. [Updated on 22-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Agr husband wife sth rathy hai us bd b 2 saal tak pass na aaea aur koi mabjri b na tu kiya nakha thot jatha hai
Answer: Nikah baaqi rahay ga ziada muddat door rehne sai talaq nahi hoti or nikah khatam nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 maslah no 2462-2472). Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). [Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jo log apni biviyo sy door chly jaty ma jsy k mulk sy bahir 1ya 2 saal k lye wo apni jinsi khwahish ko ksy poora krty ha ya biwi apni jinsi khawahish ko ksy pora kr skti ha jb k aurat or mard 4maheny sy zyada door nhi rh skty
Answer: 1)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.or is hukum me ehteyate wajib ki bina per shohar ke moujood hone ya musafir hone me faraq nahe hay is lieehteyate wajib ki bina per jaiz nahe hay ke gaire zarori safar ko bagaire kise uzur ( sharhe waja ) ya biwi ki razamandi ke bagaire 4 month se ziyada tool dia jaay. )..laikin jahaan shohor bivi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur per pora nah kerta ho jis se os ka gunah ka murtakib honay ka khatra ho, is sorat main agarchah wajib yehi hay k shohor bivi ki khahish pori karay ya os k talaq k mutaalbay ko pora karay.liakin agar shohor aisa nah karay tu bivi ko sabr or intezaar kerna chahiay.(ref:tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382,(Aqa.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 428). 2)Shohar or biwi ka ek duasre k ilawa kisi or tariqe se jinsi lazzat hasil karna gunah_e_kabira hai. (Ref : Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430) 3) Mard k lie aik se ziada shadi karsakta hay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) [Updated on 17-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me apna husband ke maqam pakhana me fingering karna chahti hu, aur mera husband mujha is ja dakhil karna chahte ha, is ka bare me masla btaya, jazakallah
Answer: 1-Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein or Shohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein.laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012,) 2-Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna(anal sex) bivi k raazi nahei honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay,or agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). [Updated on 12-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum molvisahb sawal ya hy k dubai mn job krta hn or mre bv pakistan mn hy kia hum mobile py romance krskty hn
Answer: Bivi ke sath phone per sexy batain kar sakte hain laikin is baat ka khayaal rahe k is had tak baat nah ki jaey keh khud per kabo nah rahe or mushtzani karne per majboor ho jain, Q ke Mushtzani (muth) haraam aur guhnaah e kabeera hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 ,(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236, minhaajus saliheen,part#2,maslah#34). [Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]