Question: Kya husband wife sex chat kar skte ha
Answer: Shohar or bivi aik doosray fehesh (sexy) batain ker sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), minhajus saliheen, part#3, maslah #5+11). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aslam o alikum ma info lna chtha hu ka haiz ka dino ma bv sa peche ka rasta hum bistre kar sakta ha islam kia hukam dta ha
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.s 1- Husband apni biwi ke Piche ( gaand ) me sex kar sakte hai without condom ke .
Answer: Biwi k peechay(back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) karna biwi k raazi nah honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai, agr biwi raazi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay). (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASLMUALIKUM SIR SIR MERI SHADI KO 1 SAAL HO GIA H LEKIN ABI TK MERI WIFE KO HAMAL NI HUA ES KA KOI MUNASIB HAL BTA DEN THANKS
Answer: Mard jima say farig hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, aur apni rano ko milaey rakhe takeh hamal therne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg#151). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میرا سوال یہ ہے کے کیا شوہر بیوی پر پابندیاں جیسا کہ والدین سے بات نہ کرنا یا رابطہ نہ کرنے دینا لگا سکتا اور اگر شوہر بلاوجہ کی سختی کرتا اس بارے میں کیا حکم ہے
Answer: 1: Auraton k hoqooq mai sai hai k mard isay aziyat aur takleef nah pounchay aur kisi sharae wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh nah aay. Biwi ki rihaish, giza, libaas aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition# 39th, Mafhoom e Maslah # 2376) 2: Merd k liay munasib hay k apni biwi ko ijazat day k wo apne rishtedaro se mulaqaat kare. Or shohar apni bivi ko ghar se bahar jane se rokne haq rakhta hay laikin shohor ko ye haq nahi pohanchta k wo bivi ko apne walidain se bat ya rabta kerne se roke. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, Part#3, Maslah #337,338 ). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya wife apne shohar key only testicles chum sakti hey ......bina sharam gah ko chume .....
Answer: Miyan biwi apas men har qism ki lazzat hasil kr sakte hen,lekin uzzu e tanasul(penis) se nikalne wali ratobat ka haluq se neche pohcchana haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 ). [Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr biwi ke pichy dalo to kya hota hai
Answer: Anal sex biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: apse sawal hy janna chahti hn malomat k ly.k pahly sultan or badsha apni kanizon se taluq qaym krty thy unse unk bachy b hoty thy nikah k baghair. to kia ye taluq zina m shumar ni hota tha?
Answer: Jee nahin, ye zina shumar nahin hota. Laudi(yani kaneez/bandi) nikah ke baghair halal hoti hay or is say tamaam lazzaat hasil ki jasakti hain jis terah bivi say tamaam lazzaat hasil ki jasakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus saliheen part #2, 5 mujtahid k mutabiq, maslah #1320, pg # 430). (Note: ye baat wazeeh rahay k aaj k zamanay main ghulaam or laundi(kaneez) nahi hotay. is liye in masail per amal kerna mumkin nahi hay ). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus saliheen part #3, maslah #10 ka hashiya, pg # 11). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nikah k baad jeth jethani ka ladki k uper hukum jatana islam me jayaz hai jaise kam ya koi baat per se
Answer: Jee nahin us ko ye haq nahi hai k wo larki ko ghar k kaam kaaj k liye majboor karay. aur larki ke liye bhi un ka hukum manna wajib nahin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail Edition #42nd, maslah # 2378) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar uarat talaq magy aur mare galti be koi itne bari naa hu . tu kiya krna hu ga marad ko? Humara islam kiya kehta hai?
Answer: fighe jaferia me talaaq dene ka haqq srif mard ko hay .mard ki marze hay ke apne biwi ko talaq de ya na de ,mard ko talaaq dene per mujboor nahe kia jasakta or agar kia jaay ga tu talaaq batil hoghe or talaq dene ka haqq aurat ki hasil nahe hay. albaata Aurat k huqooq me se aik ye bhi he k merd usi aziyat na pounchey aur kisi sharie uzr k bagair us k saath sakhti aur tursh’ravi se pesh nah aay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2376,2503) [Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]