Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14406
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia wife husband ka private part suck kr sakti hai uzu e tanasul ko suck yani chos sakti hai

Answer: Biwi se har qism ki lazzat hasil kr sakte hen, lekin sharamgah se nikalne wali ratubat ko gale se neeche le jana jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 ). [Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14505
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haiz ki halat me shohar se gale laga kar Sona kaisa hai???

Answer: Is men koi haraj nahin hai shohar aur biw aisa kar sakte hain. Halat e haiz(Periods) main Jima(intercourse) karna mard aur aurat dono k liye haram hai. laikin jima k ilawa baqi lazzat maslan bos-o-kinar(kissing wagera) karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #448,451). [Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14623
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir shadi ka baad first time sex k bad dobara begair condom k kab tak sex kr sakty ha plz guide me

Answer: 1) jima (intercourse) k baad dobara jama kerna jaiz hay balkeh pehlay jima k baad baghair ghusl e janabat k dosra jima kerna makroh bhi nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 5). 2) Agar ap medical point of view se pooch rahe hen to Apko iske lie doctors ki taraf ruju karna chahie. [Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14630
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: S/A Mera swal ye hai ke agar kisi shaks ko kisi sexual imagination ki vjh kar kuch drop pani ki shakl Mai penis se leak kar Jate hai to kya Ghusul lena wajib hai ya uss jgh ko pani se saaf kar namaz ada ki ja sakti hai pls decribe.

Answer: Wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k waqt insan apni sharmgah men mehsoos karta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil karti hai. lehaza bager us maqam ko dhoye namaz parhi ja sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,345). (Note: Ehtiyat e mustahab he ke ese khayalaat se parhez karen) [Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14647
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum mai janna chahti hn k agr operation sai bachhe paida hote hain tou kia wo maa nhi bnti mtlb islam mai ix bare mai kia hai ???? plz mjhe zaroor jwb dain

Answer: wa alaikum assalam, bacha chahe operation se ho, ya chahe normal delivery se ho, jis aurat ke batan se bacha paida hoga wo aurat us bache ki mah hoghe. [Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14651
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bivi ki bimari ka ilaj krana islam main shohar per faraz ha ?

Answer: (Permanent Marriage wale ) Bivi ki bimari ka ilaj kraana zindigi ki zarooriyat men shamil hai Aur daimi nikah (Permanent Marriage) k baad biwi ki ghiza, libaas, rehaish aur zindigi ki baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #,2376). [Updated on 27-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14668
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ny 2 shadia ki hai Kya dono biwion sy mubashrat karna farz hai ? Ya main dosri biwi jis sy pyar krta ho us k sath hi rho.

Answer: Agar kisi ki do daaimi biwiyan hon aur in men se aik ke pass aik raat rahe to wajib hai ke chaar raaton men se aik raat doosri ke pass bhi guzare aur is soorat ke elawa aurat ke pas rehna wajib nahin hai. Han ye laazim hai ke us ke pass rehna bilkul hi tarak na kar de. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2381). [Updated on 24-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14691
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya agar biwi bemari ki halat main ho or insan ko apni jismani zarorat pori karni ho to kon sa tareka Jaiz Ha Islam main

Answer: Biwi se istimna karwana jaiz hai. Istimna (yani jima ke ilawa kisi or tareqe se mani nikaalna) agar shohar o bivi ke dermiyaan ho to jaiz hai jese shohar bivi ke zariye apni mani nikale jima ke bageer, or is hi terhan bivi shohar ke zariye jima ke bageer mani nikale, to ye jaiz hai or agar is sorat ke ilawa ho - chahe mard o orat kud apni apni mani nikalain ya aik mard ajnabi orat ke zariye ya orat ajnabi mard ke zariye mani nikale - to haraam o guhnaah e kabera main se hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01734/). (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah sistani, Part #1, Maslah #30, edition 2009). (Ref: Jaded Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236). [Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14693
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya husband apni wife se zabardasti sex karsakta hai kya Islam mein

Answer: Biwi ke liye ye zaroori hai k jab bhi shohar jinsi lazzat hasil karna chahe to uski khuwahish puri kare or sharaei uzr k bager shohar ko humbistari se nah roke. Agar biwi kisi sharaei uzr k baghair jima se mana kare tu phir wo gunahgar hai or shohar hambistari kar sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2382). [Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14697
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere shauhar aj kl ki pareshaniyon mein mubtila h isliye wo sex ache se nhi krte or mein satisfy nhi hu to mujhe kya krna chahiye poen dekhni chahiye satisfy krne k liye ya kuch or qki isse dusri trf insan attract hota h plz reply plz

Answer: Shauhar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyadah k liay hambistari tark nahin kar sakta, Magar yeh keh hambistari us ke liay nuqsaandeh (harmful) ya bohut ziyadah takleef ka ba’is (reason) ho ya os ki biwi khud 4 mahine se ziyadah ke liay hambistari tark karne par raazi ho, ya shaadi karte waqt nikaah mein 4 mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gaee ho.or shohar or biwi is tareqe se bhi se istefada karsakte hai ke i apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein. or bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 35,39,Mafhoom e Maslah #2376,2382, email rcvd from A.Sistani(d.b) [Updated on 02-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey] ,))

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!