Question: Sir biwi k pacha valii jagaa saa andar Karna saa bacha pada ho ga ya ni give me answer plzzzz sir
Answer: Biwi k peechay k maqam (maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki soorat main ehtiyaat e wajib ki bina haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Jab tak mard ki mani aurat k rehem (uterus, vagina) main dakhil nah ho tab tak aurat pregnant nahin ho sakti or agar aurat ka parda e bakarat(seal) baqi ho or phata na ho tu aurat haamla nahin ho sakti.(Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah #70)+ Islam or jinsiyaat, pg #151,152). [Updated on 05-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam walaikum mardana kamzori ki wajah se apni awrat ki sharmgaah me sex toy's dal kar farigh kar sakte hai jaizz hai
Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se choo sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez (maslan sex toys waghaira) sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahin ker saktay or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236). (Note: Shohar Medicine istimal kare inshallah is se faaida milega. (Damiana Pentarkan Germany ki homeopathic medicine hay or is k koe side effect nahi hain. aur tamaam jinsi amraaz se nijaat hasil karne k liay Mektum homeo Phrama k medicine T49 istemal kare. ye medicine bhi bohot mufeed hay.(Ref: http://www.hmlinks.com/mektum/product.php). [Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Sir mujhay poochna tha k agr koi aur halat e haiz main shohar se humbistri karay aur uss humbistri se wo pregnant ho jaye tou kya wo bacha halal ho ga ya haraam? Plz jaldi bataiye ga kisi nay urgent poocha hai.shukariya
Answer: Jee is Hambistri ke natije men paida hone wala Bacha halal zada hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2427). [Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam, mera sawal ye hai k agr namaz ka waqt ho or shoher kahy k mjy khana do tw Kia namaz Ada kerna zyda zaroori ho ga TB ya shoher ka hukum?
Answer: Mard ko ye haq hasil nahi k biwi ko gharelo khidmat per majboor kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2378 ) biwi ke lie mustahab hay( yani zarore nahe hay laikin is ka sawaab milega ) ke wo shohar ki jinsi zarorat ko pura karne ke ilawa bhe shohar ki ghareru khidmat karte rahe , misaal ke tour par ghar ka khana pakaahe ,kapre seea ,ghar ki safaai kare or kapre waghaira dho kar de albatta shohar ki jinse zarorat pura karne ke ilawa ye kaam biwi per wajib ( zarori ) nahe hay. (ref:jadeed fiqhe masail ,urdu ,aqa sistani,masla no: 509) namaz ko awaal waqt me perhna behter hay ( or iski bhut ziyada takeed ki ghe hay laikin ye wajib or zarore nahe hay ,or khoshish ki jaay ke apne programmo ko is tarah se menage ki jaay namaz ke timming se muzaahemat na ho) ( sistani .org,urdu, topic : auqaat namaaz ,sawaal no : 6) [Updated on 03-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Larki k sth Peechy se sex Krne k bd peechy se kesy blood aa skta hai
Answer: sharhe nikah ke begaire kise larki se sex karna zina hay or gunah kabira hay ,(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30)or biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna (back se sex karna ) bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) ( or back se khoon aasakta hay ,is ki malomaat ke silsele me docter se raaabta kia jaae) [Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr wife ki mrzi na ho tu kya husband oral sex kr sagta ha?
Answer: miah ,biwi aik dosere ke lie pure tarah se mehram hay laikin gaire mamoli lazzatu ke lie eyteyaate wajib ki bina per miah ,biwi ka razi hona lazim hay . (ref: sisitani.org,urdu,humbistri,sawaal no : 1) Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Albetta is sai aurat mujnib nahin hoti hai laikin agar oral sex karnay sai wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar de jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #345. + Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 08-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sohar bachhe paida nai krna chahta to kya krna chahiye aur meri age 34 ki ho gai h
Answer: Is hawale aap shohar ko kisi bhi tareeqe se razi kar sakti hain lekin us ko majboor nahin kar saktin. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, mafhoom e maslah #10. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01740/ ). [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr biwi kahy k ma ap ke maa sy b pahly honi cheye to Quran kia hukam deta ha..?
Answer: Jee nahin, balkeh waliden or miyan, biwi ke ala alag Huqooq hain jinhen apni apni jagh pe anjam dena zaroori hain. Aualad par waliden ke 2 tarah ke Huqooq wajib hain. 1. Agar wo gareeb hon to un se nek sulook karna or infaaq karna, un ki zarooriyat e zindagi or jaiz khuwahishaat ko aik aam aur fitri zindagi ke taqazon ke mutabiq poora karna hai or in wazifon ka anjam na dena ihsaan faramoshi hai. Or ye ihsaan karna un ke halaat, aaram or sakhti, taqat or kamzori ke pesh e nazar mukhtalif tarah se ho sakta hai. 2. Amal or zaban se nek sulook karna, amal or zaban se bad-tameezi na karna agarche aulad par zulm kya ho. Hadees men aaya hai ke agar maan, baap aulad ko maaren tab bhi waleden se bad-tameezi se pesh na aain balke ye kahen ke khuda aap ko maaf kare. Miyan, biwi ke Huqooq men se hai ke 1. Aik doosre ke sharaei huqooq ka khayal rakhte hoe aik doosre ki ghalation se darguzar karna or is baat ki koshish karna ke zindagi ka bunyad muhabat par ho, 2. Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh wo shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahir jaye chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. Magar yeh keh koe aham zarurat pesh aaye ya ghar mein rehna us k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar us k monahsib nah ho. 3. Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay jo ke shohar ha haq hai, to us ki khahish poori karay or sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say na rokay. 4. Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye. 5: Biwi ki rihaish(housing), giza(fooding), libaas(clothing) aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. agar wo intezam na kare chahe us qudrat rakhta ho ya na rakhta ho wo apni biwi ka maqrooz hai. 6: Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou biwi k roti, kapray aur ghar ka shohar zimedaar nahin hai. 7. Mard biwi ko ghar ke kam, kaj par majboor nahin kar sakta, agarche biwi ke liye mustahab hai ke biwi ghar ke kam ko anjam de. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377. + Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/ . + Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ ). (Note: Mazeed tafseel ke liye darj zel websites ko mulahiza karen). Link: https://www.erfan.ir/urdu/30907.html Link: https://www.erfan.ir/urdu/30908.html Link: https://www.erfan.ir/urdu/12253.html [Updated on 17-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar ghar wale ki marzi se nikah kr liya hai or baad mei khola lena chahe koi ladki to le skti hai jabke iske liye reason yhi ke wo us shohar ko pasand nhi karti hai.
Answer: Agar larki nikah ke waqt bhi nikah pe razi nahin thin or ab bhi razi nahi hain to us ka nikah durust nahin hoga or aap ko us mard se lag hona pare ga talaq ke bager. Q ke larka or larki dono ka nikah ke waqt raazi hona shart hai. lihaza agar larka ya larki men se kisi aik ko ya dono ko nikah par majboor kiya jaye to wo nikah durust nahin hota. lihaaza wo dono sharaei taur par miyan biwi nahin hain. Han agar wo ab razi ho jati hain aur ijazat de deti hain to nikah durust ho jaye ga. or jab wo nikah pe raazi ho jaingi tu us ke upper jo aik shohar ke hawale se wajibaat bante hay us ko ada karna zaroori hai. Agar wo shuru se hi nikah se razi nahin thin or nikah ke baad bhi razi nahin hai tu us ke liye itne arse se aik na-mehram ke sath rehna hi jaiz nahin hai Q ke na-mehram mard aur aurat ka tanhaai me aik aise jagah hona jahan gunah me mubtela hone ka ahtemaal (chance) ho, haraam hai.or agar nikah pe razi hoghe the ya razi hojate hay tu nikah sahe hay or ab miah,biwi wale rishte ko khatam karne ke lie tallqya khula ki zarorat hay .or talaq ya khula ki sharaait hay un me aik ye hay ke talaq ya khula shohar he dega ya us se darkhaaz ki jasakte hay , (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2335 point #5, 2409). [Updated on 10-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mari shadi hui hai aur mara husband dusra country mein hota kiya ham videocall mein masturbation kr sakta hein kiu k baut time sa nahi mila aur dil krta hai sex krna ko
Answer: 1: Masturbation, Istimna ya hand practice (kisi bhi tariqe se mani kharij) karna ye ek haram kam hai. Or gunah_e_kabeera hai. Or medical point of view se bhi is k nihayat bure nataaij paye jate hen. 2: Shohar apni jawan biwi se char mahine se ziyada ke liye ham bistari tark nahin kar sakta. 3: Jab zauja char mahine tak sabr na kar sakti ho is tarh se ke shohar ko khaof ho ke agar us ne hambistri na ki to zauja haram me par jayegi is soorat me ehteyat e wajib ki bina par shohar ko char mahine se pehle hambistri karne jaldi karni hogi. (Ref: Jadeed fiqhi Masaail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #462. + Minhaj ul Saliheen, Part #1, Maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #2377. + Minhaj ul Saliheen, part #3, maslah #341). [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]