Question: Assalam o alaikum .....mera ek sawal hai Kiya mazi jo pani ki trha huti hai wo mun me jane se hamal hu sakta hai kiya ...koi sex nh kara bs uzoo ko mun me dya tha or mjhe lgta hai us doran mazi mun me chali gae thi to kiya hamal hu sakta hai is soorat me
Answer: oral sex yani mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye khayaal rahay k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaayi.. or hamal is tah se hosakta hai ke nahe is masle me docter se raabta kare.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ). .Update on dated 18-11-2015. [Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me let k hand practice krta tha shadi k bad jab ander dalta hu to biwi ko maza ata hai or me end me zor laga k farig hota hu mujy maza ni ata ander dalty waqt or nikalty waqt kindly suggest kya kru
Answer: 1) Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2) Biwi apne hath se shohar ki isi tarah shouhar bhi apne hath se biwi ki mani nikal sakta he.laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b). [Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir meri biwi pregnant h 4 month sy to intercourse k liye agr wo agree na ho to kha rajoh kia jaye jinse taskeen k lye ya kia jaiz h aise sort m plz reply
Answer: Aap apni Hamila biwi se hambistri kar saktay hain.or biwi ,apne shoar ko sharhe waja ke begair jima se nahe ruk sakte . Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jimma karnay sai pehlay wazoo kia jaye.(Ref: Minhaj us Saliheen Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376) (Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khayaal rakha jay k jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say bache ko nuqsaan pohanch sakta hay. aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain. laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per munhasir (depend) hota hay. hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni biwi k lady doctor say ruju karain or bache ko nuqsan pohchnay wali chizon say perhaiz karain ). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Parents ka apny bachoun ko kis umar tak apny sath sulana jaiz hay? Kia ek hi room me bachoun ki majodgi m e un kay sotay huay parents sex kar saktay hain?
Answer: Jima(Intercourse) karte waqt makrooh hai ke koi wahan maujood ho aur jima karne walo ke amal ko dekh raha ho chahe chota bacha ya bachi hi q na ho jab tak ke us ka dhekhna haram me perne ka sabab na bane , aur agar haram men parne ka sabab bane tu jaiz nahin hai. or insan per wajib hai apne sharamghao ko aise bacho se chupaahe jo ache bure ki tameez rakhte ho. or rasool akram (s.w) ka arshaad hai ke qasam hai us zaat ki jis ke qabze qudrat me mere jaan hai ke agar koi shakhs is halat me apne biwi se jima kare ke ghar me koi bacha jaag raha ho or in ko dhekh raha ho or in kalaam or saas ki awaaz sun raha ho tu wo kabi falah nahe paaiga . agar larka hoga tu zina karne wala or agar larki hoghe tu zina karne wali . (Ref: Minhaj us Saleheen, Aytullah Sistani(d.b), Part #3, Masalah #5, Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #53,wasaailusshia ,urdu tarjuma ,jild # 14 ,pg# 115) [Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Husband wife apne balik bacho ke samne yah bol kar zina kar sakte hai kya ? Ki zina karna Mummy papa ke payar ka hissa hai
Answer: Jima(Intercourse) karte waqt makrooh hai ke koi wahan maujood ho aur jima karne walon ke amal ko dekh raha ho, jab tak ke us ka dekhna haram me perne ka sabab na bane, aur agar haram men parne ka sabab bane is tarah se ke sharamgahon ko dekha raha ho tu jaiz nahin hai. or insan per wajib hai ke apni sharamgahon ko un logon se jo mukallaf(baliq, aaqil, qadir) hon chahe betay aur beti ki tarah ya maan aur behan ki tarah is ke mehram hi q na hon chupaa kar rakhe. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Masalah #5, + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #53,2400,2401). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hez ki halat me zina karna mana hai. But kya hez ki halat me wife ke piche ke part se zina kar sakte hai yadi wife hez ki halat me piche se zina karne ke lie razi ho jaye ?
Answer: Aurat halat e haiz main ho ya nah ho Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, Jab keh agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448)+ Al-masail e mutakhaba, maslah #67). [Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mutah ki iddat main oral sex kar sakty hai kiya shohar ke sath?
Answer: Jee nahin, yeh jaiz nahin hai Q ke mutah ki iddat men talaq rejie ki tarah ruju nahin hota.(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Masalah #252,531). [Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya biwi par kisi dosre mard se taluq ki shak ki bina par talaq di ja sakti hai?
Answer: (Note: Chahe koi wajah ho ya na ho shohar ke liye apni biwi ko talaq dene ka haq maujood hai, aur talaq shohar ki marzi par mauqoof hai ke chahe to apni biwi ko talaq de, chahe to na de. Lekin Riwayat men hai k talaq shareeat k shadeed makroohat men se aik makrooh amal hai, aur jis qadr mumkin ho is se bacha jaye, lehaza koshish ki jaye k ayse kamon ko anjam diya jaye jis se dubara shohar aur biwi k darmiyan taluqaat behtar ho jaen. Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karen. Is se donon me bai-misal mohabbat qaim ho jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul masasil, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2464. + kitab Naway-e- Saleheen, pg #404). chand kaam gunahaane kabera me se hain: pak daman mard ya aurat per sharhe gawaahoon ke begaire zina ki toumat lagana momin ( ya momena ) ki touheen karna , momin ko zaleel karna ,momin k razo ko donna , momin per jhoote bahnna .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009). [Updated on 22-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum kya viladath ya shahadath ke waqt biwi k khareeb jasakte hai?
Answer: Ayam wailadat men biwi se muqarebat ( jima ) karna jaiz hai or koi mana nahin hai. Aur Ayam e shahadat men bhi Haram nahin hai siwaye ye ke Ayam e shahadat men tauheen or be-hurmati samjhi jati ho is soorat men to jaiz nahin hoga. Han ye munasib hai ke ahl e bait (a.s) ki museebaton or gam ke dinon ke is tarah ka amal na kiya jaye ke jo aik shakhs aam taur par apne azeezon ke gam or pareeshani ke dinon men nahin karta. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0425/ , https://www.sistani.org/arabic/qa/02047/ ). [Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir mera sawal ye hai k humbistri k doran husbund kam timing main discharge ho jy or bivi abi discharge na hui ho usko or zaroorat hy tab husbund ko kya krna chye .
Answer: 1: Mustahabaat e jima main ye bhi milta hay k koe shakhs apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas (chhaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana) cheerh chaarh or hansi mazaaq karay. is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay. In ki nazar main fauran jima karne par mard ki mani jaldi se kharij ho jane ki sorat main mard ki khahish tu pori ho jati hay laikin aurat ki khahish pori nahin ho pati. jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay. shayad isi liay deen e fitrat (mazhab e Islam) ne orgasm yani masaas, bosah baazi (kissing), cherh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima k liay pori tarah aamadah ho jaay or jab is se jima kia jaay tu wo bhi mard ki tarah se pori terah jinsi tasalli hasil ker sakay shayad isi liay rasool khuda (s.a.w.w) ne irshad fermaya k: “ jo shakhs apni aurat se jima karay wo murgh(cock) ki terah os k paas nah jaay balkeh pehlay masaas (orgasm) or dast baazi (badan pe haath phairna) or khush tabae karay, is k baad jima karay. or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq (a.s) se kisi ne daryaaft kia k : “agar koe shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay(playing) tu kaisa hay? Aap(a.s) ne fermaya khuch muzaiqa nahin (No Problem) laikin ajzaay badan (parts of body) k alawa koe or cheez is maqam main dakhil nah karay. {Ref: Tehzib ul Islam, pg #109,231} Yani aurat ko jima k liye poori terah aamada kerne ,yani garam kerne k liye mard aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzw(part) se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or mard dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay. 2: Jima se pehlay masaas (orgasm) k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone (discharge) k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay, mard se chumtay, liptay, apne hatho ya taango se merd ko kas ker dabaye. Tab mard bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) ker k farigh ho jaay, agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se mard ko kas k daba rahi ho takeh mard alag nah ho tu mard ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul(penis) ko aurat ki sharamgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah ho jaay, phir khuch dair baad penis ko nikaal ker mard aahistagi se aurat se alag ho jaay. (Ref: Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhammad taqi ali abdi, pg #145 to 151). [Updated on 05-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]