Question: Sir meri biwi hambistri k waqt bilkul dilchaspi nahi leti.. to kia kiya jae..
Answer: 1: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker sakta or bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay.(Ref: jaded fiqhi masayl, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #4006, pg #236, email rcvd from a sistani(d.b). 2: koe shaks apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati raan waghaira ko haath se masalna sehlana cheerh chaarh or hansi mazaaq karay is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay in ki nazar main fauran jima kerne par merd ki mani jaldi se kharij hojane ki sorat main merd ki khahish tu pori hojati hay laikin aurat ki khahish pori nahi ho pati jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay shayad isi liay deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas bosah baazi kissing cherh chaarh hansi mazaaq piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima k liay pori terah aamadah ho jaay or jab is se jima kia jaay tu wo bhi merd ki terah se pori terah jinsi tasalli hasil ker sakay shayad isi liay rasool khuda s a w w ne irshad fermaya k jo shaks apni aurat se jima karay wo murgh cock ki terah os k paas nah jaay balkeh pehlay masaas orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tab ee karay is k baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq a s se kisi ne deryaaft kia k agar koe shaks haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay playing tu kaisa hay aap a s ne fermaya khuch moza iqa nahi no problem laikin ajzaay badan parts of body k alawa or koe cheez is maqam main dakhil nah karay,{ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima k liay pori terah aamada kerne yani garam kerne k liay merd aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu part se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or merd dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay (Ref: Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146). 3: Jima se pehlay masaas orgasm k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone discharge k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay merd se chumtay liptay apne hatho ya taango se merd ko kas ker daba ay tab merd bhi jaldi jaldi dkhool inserting of penis or ikhraaj emiting of penis ker k farigh ho jaay agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul penis ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah hojaay phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag hojaay.(Ref islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #151). [Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam agr hambistari k tym ourat ko maza nahi balky dard ho har bar to isska kya matlb hai or kya kRny s ya sahi hoga?
Answer: Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e ruzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay.(tauzee hul masail,Agha Seestani(d.b),maslah #2376) 1: koe shaks apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati raan waghaira ko haath se masalna sehlana cheerh chaarh or hansi mazaaq karay is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay in ki nazar main fauran jima kerne par merd ki mani jaldi se kharij hojane ki sorat main merd ki khahish tu pori hojati hay laikin aurat ki khahish pori nahi ho pati jis ki wajah se aurat apne merd se nafrat kerne lagti hay shayad isi liay deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas bosah baazi kissing cherh chaarh hansi mazaaq piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima k liay pori terah aamadah ho jaay or jab is se jima kia jaay tu wo bhi merd ki terah se pori terah jinsi tasalli hasil ker sakay shayad isi liay rasool khuda s a w w ne irshad fermaya k jo shaks apni aurat se jima karay wo murgh cock ki terah os k paas nah jaay balkeh pehlay masaas orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tab ee karay is k baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq a s se kisi ne deryaaft kia k agar koe shaks haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay playing tu kaisa hay aap a s ne fermaya khuch moza iqa nahi no problem laikin ajzaay badan parts of body k alawa or koe cheez is maqam main dakhil nah karay,{ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima k liay pori terah aamada kerne yani garam kerne k liay merd aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu part se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or merd dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay (Ref: Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146). 2: Jima se pehlay masaas orgasm k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone discharge k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay merd se chumtay liptay apne hatho ya taango se merd ko kas ker daba ay tab merd bhi jaldi jaldi dkhool inserting of penis or ikhraaj emiting of penis ker k farigh ho jaay agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul penis ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah hojaay phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag hojaay.(Ref islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #151). [Updated on 01-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ek bar Jima krne ke baad kapre vagaira se saf karke bagair gusl aur vazu ke dobara Jima Kiya jasakta hai
Answer: Jee han, jaiz hai. (Ref: Minhaj ul Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #5). [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri biwi naraz ho kar mekey chali gai thi or ab wo talaq ka mutalba kar rahi hai or jehaiz ka sara samn bhi le gai hai meri biwi 6 month ki hamla hai kya me uski delivery ka kharcha dene ka paband hun ya nhi.
Answer: 1: Jis aurat ka daemi nikah ho jaey os k liay haram hay keh wo shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar niklay chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. lehaza us k liye jaiz nahin hoga k wo shohar ki ijazat k baghair apne maan, baap ke ghar rahe.(aap apne khaandaan ke buzrugo se keh sakte hay ke wo aap ki zauja ko samjaae). 2: Aisa mutaliba karna durust nahin hai aur shohar k liye aisi baaton ko tasleem karna zaroori nahin hai, Q ke talaaq ka ikhtiyaar shohar k paas hai k chahe to shohar talaq day ya chahe to talaq na day. 3: Jahaiz aik tohfa hay jis per baiti ka huq hay or shohar ka jahaiz per koe haq nahin. 4: Agar aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k Naan o nafaqa (roti, kapray, makaan) ka shohar zimedaar nahin hai. Lekin agar aurat shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikal jaye to ehtiyat e wajib ki bina par Naan o nafaqa saakit nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376,2377,2462 to 2472)+Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #2, Mafhoom e Maslah #150)+Minhaj us Saliheen, part #3, maslah #351). [Updated on 20-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Hambistari k douran dua bhuljaye ya na pade aur biwi pregnant hojaye tho kya kare.
Answer: Hambistari ke douran dua ka parhna wajib nahin hai balke mustahab (sawaab milta hay laikin ya zarori nahe hay ) hai lihaza agar jan boojh kar na parhen tab bhi koi haraj nahin hai.( or baaad me allah se dua karsakte hay paida hone wala baccha sahe o saalim ho ) (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #4,5) [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bivi or shohar 1 month tk naraz rhein or hmbistri na krein to kia unka nikkah jaiz rhta ha
Answer: jab tak sharaei taur par talaq nahin ho jati shohar or biwi ke taluqaat barqrar rehte hain. is se nikah khatam nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2472). Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). 2) jab shohor bivi se kina kash hojaay is terah k nah wo shohor daar rahay or nah mukammal azaad.laikin jahaan shohor bivi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur per pora nah kerta ho jis se os ka gunah ka murtakib honay ka khatra ho, is sorat main agarchah wajib yehi hay k shohor bivi ki khahish pori karay ya os k talaq k mutaalbay ko pora karay.liakin agar shohor aisa nah karay tu bivi ko sabr or intezaar kerna chahiay.(A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 428) [Updated on 09-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: My wife has a heart to have sex with her every day. Can we have a husband and wife every day or not
Answer: Yes can do, except that in periods days.(yani aurat ke haiz ya nifaaz ke deno ke ilawa jima kia jasakta hay) Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,504,2382). [Updated on 13-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kitni dafa hambistri Karni parti pregnancy ka Lia?
Answer: Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, or apni rano ko milaey takeh hamal theherne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151). (Note: Is aitebar se har aurat mukhtalif hoti hai koi aurat aik martba hambistri ke baad pregnant ho jati hai , or koi do teen dafa ke baad pregnant ho jati hai yahan tak ke kuch khawateen aisi hoti hain ke kaei dafa hambistri ke baad bhi saalon tak un ke han aulad nahin hoti). [Updated on 20-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میاں بیوی کا ایک ہی گھر میں رہتے ہوۓ ازدواجی تعلق نہ ہو تو کیا نکاح ختم ہو جاتا ہے اور اگر ہوتا ہے تو کتنے عرصہ میں
Answer: 1: Jee nahin, is se nikah khatam nahin hota Q ke Jab tak shohar apni biwi ko sharare taur par talaq na dede tab tak inke darmiyan izdiwaji hesiyat rehti hai (yani in ka nikah qaaim rehta hai) lehaza faqat hambistry na karne se nikah khatam nahin hota. 2: Albatta chand fiqhi masail se aap ko aghah kiya jata hai ke Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahin ker sakta (yani 4 mahine tak hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai) magar ye k(except) hambistari us k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya uski biwi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay ki shart rakhi gae ho. 3: Biwi k liay wajib hai k jab bhi shohar us say jinsi lazzat (sex) hasil kerna chahay tu uski khahish pori karay or sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say na rokay. Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye. Biwi ki rihaish(housing), giza(fooding), libaas(clothing) aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. 4: Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay to biwi k roti, kapray aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai. 5: Jab shohor biwi se kinara kash ho jaay is tarah k nah wo shohor daar rahay or nah mukammal azaad. laikin jahaan shohor biwi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur per pora nah karta ho jis se us ka gunah ke murtakib honay ka khatra ho, is sorat main agarchah wajib yehi hay k shohor biwi ki khahish pori karay ya us k talaq k mutaalbay ko pora karay. liakin agar shohor aisa nah karay tu biwi ko sabr or intezaar kerna chahiay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2376,2377,2382. + Jadeed fiqhi masail, maslah #428). [Updated on 28-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shohar apni biwi ki ijazat le ke kisi aur aurat k sath biwi k samne sex kar sakta hai?matlab vo uski biwi aur koi gaer aurat?
Answer: Biwi ke alawa kisi bhi na mehram aurat ko lazzat k iraday se chomna ya os se kisi bhi qisim ki jinsi lazzat hasil kerna haram or ghunah e kabeera hai chahe biwi ki ijazat ho ya na ho. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #30). [Updated on 06-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]