Question: Mere nekah ko 2 months ho chuke hain per mere husband ne mjhe sirf 3 br touch Kiya hai agr husband Jan boj Kar apni wife se dor rahe to kya kch time bad nekah khtm ho Jata hai Shia firqe k mutabiq batain
Answer: Jee nahin, is se nikah khatam nahin hota Q ke Jab tak shohar apni biwi ko sharaei taur par talaq na dede tab tak inke darmiyan izdiwaji hesiyat baqi rehti hai (yani in ka nikah qaaim rehta hai) lehaza faqat hambistri na karne se nikah khatam nahin hota. Albatta Shohar apni jawaan biwi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) ke liye hambistari (intercourse) tark nahin ker sakta (yani 4 mahine tak hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai) magar ye k(except) hambistari us k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya uski biwi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay ki shart rakhi gae ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382,2462,2472). [Updated on 30-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If husband is not near like for 2 years .. to kia wife apny ko satisfy krsakti h masturbate Sy?
Answer: 1: Jee nahin, biwi aisa nahin kar sakti Q ke Istimna or khud lazzati (masturbate), haram hay or gunahaan e kabeera me se hai. aur zaroori hai ke apne aap ko is gunah se bachaye. 2: Albatta Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahin ker sakta (yani 4 mahine tak hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai) magar ye k(except) hambistari us k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya uski biwi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay ki shart rakhi gae ho. 3: Jab shohar biwi se kinara kash ho jaye is tarah ke na wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. laikin jahaan shohar biwi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur per poora nah karta ho jis se us ka gunah ke murtakib honay ka khatra ho, is soorat main agarchah wajib yahi hay k shohar biwi ki khahish poori karay ya us ke talaq ke mutaalbay ko poora karay. liakin agar shohor aisa nah karay tu biwi ko sabr or intezaar kerna chahiay. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1443, Maslah #544. Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #2382. + Jadeed Fiqhi masail, maslah #428). [Updated on 29-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikah hua hua hae … lkin rukhsati ni hoi main ussy psnd ni krti js ay nikhah hua but Ksi aur ka sath js ko m psnd krti uss sy hambistri kr li hi …iss sy mera nikhah tpt jay ga in shia mazahb ??
Answer: Sab se pehli baat to ye ke Jab do log(mard or aurat) nikah karna chahen to nikah ke saheeh hone ki sharait me se aik shart ye hai ke mard aur aurat nikah ke muamale me mustaqil (azad) hon or kisi qisim ki zabardasti or pabandi na ho Aur zaroori hai ke wo dono apni marzi or razamandi se nikah karen, lehaaza mard ya aurat me se kisi aik ko ya dono ko shadi ke liye majboor kiya jaye or wo dil se raazi na ho to ye nikah saheeh nahin hoga. lehaaza agar aap use pasand nahin karten the aur us waqt nikah se razi nahin the to aap ka us se nikah saheeh hoa he nahe tha or baad me bhe aap ne nikah ki ijazat ne de the yani baad me bhe aap dil se nikah per razi nahe hoe the . albatta agar aap nikah ke waqt tu nikah se raazi nahe the laikin nikah ke baad aap ijazat dede the tu aap ka nikah sahe hogaya tha . Dosri baat ye ke aap ka kisi dosre mard se sahe nikah ke begair hambistri karna ya us ke sath jinsi taluqaat rakhna zina kehlata hai or ye Haram or Gunahan e kabeera men se hai lehaaza laazim hai is gunah ki wajah se Allah taala ki barghah me sachay dil se tauba wa isteghafar karen. agar aap aapne phele nikah per raazi hoghe the or nikah ki ijazat dede the tu is surat me aap ka nikah sahe hogaya the or aap sharhe tour per us mard ki biwi hay or shohar daaar hayn lehaza Agar shohar daar aurat zina karay to ehtiyaat e wajib ki bina par wo zaani ( zina karne wale mard) par hamisha k lie haram ho jaati hai ( yani zina ho jaane ke baad ye shohar daar aurat is zaani mard se ehteyaate wajib ki bina per kabhe bhe shadi nahe kar sakte ) laikin (ye shohar daar aurat apne ) shohar par haram nahi hoti hai (yani nikah nahi toota hai). (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Edition #1443, Maslah #66,68. + Minhaj us Salaheen, part #1, maslah #30. + Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2367). [Updated on 29-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا تلاق کے بعد بیوی شوہر کے گھر بچوں کے پاس بغیر کسی رشتے کے رہ سکتی ہے؟
Answer: Talaq ke baad agar ghar ka malik (chahe saabiqa shohar ho ya koi aur ho) talaq di gayei aurat ko ghar me rehne ki ijazat de de aur ghar me rehne se raazi ho to reh sakti hai albatta saabiqa shohar (jis ne talaq di hai) aur saabiqa biwi (jis ko talaq di hai) ye dono talaq ke baad aapas men na mehram ho gaye hain lehaaza dosre na mehram afraad ki tarah is aurat ke liye zaroori hoga ke wo na mehram (saabiqa shohar or deeghar) afraad se parda karay. Aur is aurat ka naan o nafaqa bhi saabiqa shohar ke zimme nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2376,2397,2399). [Updated on 01-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا تلاق کے بعد بیوی شوہر کے گھر بچوں کے پاس بغیر کسی رشتے کے رہ سکتی ہے؟
Answer: Talaq ke baad agar ghar ka malik (chahe saabiqa shohar ho ya koi aur ho) talaq di gayei aurat ko ghar me rehne ki ijazat de de aur ghar me rehne se raazi ho to reh sakti hai albatta saabiqa shohar (jis ne talaq di hai) aur saabiqa biwi (jis ko talaq di hai) ye dono talaq ke baad aapas men na mehram ho gaye hain lehaaza dosre na mehram afraad ki tarah is aurat ke liye zaroori hoga ke wo na mehram (saabiqa shohar or deeghar) afraad se parda karay. Aur is aurat ka naan o nafaqa bhi saabiqa shohar ke zimme nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2376,2397,2399). [Updated on 01-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamoalikum muje ye pouchna tha k mene husband k niche ki jagaha pyr Kiya to unki mani moh me Chali gai magar ghlti see Jan bhoj kar nhi is se koi nuksan to nhi hoga plz bahii bata den iska koi faida ya nuskan hoto me boht pershn hon
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh (mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door hojanay se monh paak ho jaata hay or paani se paak kerne ki bhi zarorat nahin hoti. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). + Tauzeeh ul masail jaame, part #1, Edition #1443h, maslah #237). [Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslamalikum 1 sir kiya light on kar k bivi se humbistari karna jaiz hai.
Answer: Jee han, jaiz hai. (Ref: Minhaj us Silaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5). [Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: is it jayaz that my wife give me blowjob
Answer: ( agar shohar or biwi dono razi ho tu ) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) [Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr husband doosri shadi kre or doosri biwi ko phli biwi jaisa haq na de. Or bat bat pe dhamki de k wo yaha nae aye ga.us ko mare galat ilfZ use kre or eid jaise moqo pe usay bilkul akela chor de . 2din tak biwi ko na phone kre na milne aye. Biwi kya kre
Answer: (Note: Aap khud ya kisi dosre ke zarea apne shohar ko in masaail se agah karen). 1: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahin ker sakta (yani 4 mahine tak hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai) magar ye k(except) hambistari us k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya uski biwi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark karnay ki shart rakhi gae ho. 2: Biwi k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef na punhchaye aur kisi sharaei wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh royei sai pesh na aaye. 3: Biwi ki rihaish(housing), giza(fooding), libaas(clothing) aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai. 4: Agar kisi ki do daaimi biwiyan hon aur in men se aik ke pass aik raat rahe to wajib hai ke chaar raaton men se aik raat doosri ke pass bhi guzare aur is soorat ke elawa aurat ke pas rehna wajib nahin hai. Han ye laazim hai ke us ke pass rehna bilkul hi tarak na kar de. 5: Biwiyo k sath jis adalat k laazmi taur per rawa rakhne ka hokum diya gaya hay os se muraad raato ki taqseem main adalat hay. is maana main keh agar aik raat aik bivi k paas soya ho tu 4 raato main se aik raat dosri bivi k paas bhi soay. Jo adalat shariyat ki nigah main mustahab hay ( or wajib or zarori nahe hay ) os se muraad naan o nafaqah or onki taraf tawajjah daine, chehre ko hash shaash bash hash rakhne or jins khahish pori kerne main braberi hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2381,2382, + Jadeed masael, maslah #434)). [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia shadi ki phele raaat ko bleeding zaroori h
Answer: Jee nahin, ye zaroori nahi hai, Q k baaz aurton ka parda-e-bakarat sakht hota hai or baaz ka naram hota hai, is liye ye zaroori nahin hai k hambistari se hi parda-e-bakarat phate or bleeding ho balke ye mumkin hai k hambistari se pehle hi aurat ke kisi amal misal kahain se jump marne ya kisi or ayse amal ki wajah se parda phat jaye, lehaza ye zaroori nahin hai k yehi nateeja nikala jaye k is aurat se pehle yehi kam sarzad hua hai jis ki waja se blood nahi nikal raha. (Ref: Email Recive From www.sistani.org site of Aqai Ssitani d.b). [Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]