Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15650
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wife Sex karny sy mana lary dey or kha dey mera dil nai karta sex karny ko tou kya karna chaiyeee

Answer: (Note: Aap apni biwi ko zel me diye masail se aaghah karen). 1: Jo aurat daemi nikah men ho os k liay haram hay keh shohar ki ijazat ke baghair ghar se bahir jaye chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. Magar yeh ke koe aham zaroorat pesh aaye ya ghar men rehna us ke liye haraj or mashaqqat e shadeed ka baais ho ya ghar uski shan ke mutabiq nah ho. 2: Biwi ko chahiye ke khud ko jinsi lazzaton ke liye jo shohar ka haq hai us ke ikhtiyar men qaraar day, or kisi sharaei uzr (any Islamic reason, i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say mana na karay. 3: Biwi ki rihaish, giza, libaas aur zindagi ki baqi zaroriyaat ka intezaam karna shohar par wajib hai. agar intezaam na kare chahe qudrat rakhta ho ya na rakhta ho apni biwi ka maqrooz hai. 4: Agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai apne wazaaif par amal na kare ghar, libaas or roti wagera ke mutalbe ka haq nahin rakhti agharche us ke pass rahe. 5: Hadees manqool hai jis main me aik aurat ne kaha keh ya Rasool allah shohar ka haq zauja per kya hai yani biwi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kyun na sawaar ho phir us aurat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, aurat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka shohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya Rasool allah chahe us aurat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya " haan chahe kitna hi zulum kiya ho ". (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377,2378. + Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ . + Tahzib ul islaam, baab #4, Huqooq e zaujain, pg #140,141). [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15657
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If while foreplay with one's wife, one ejeculate---does that make our whole dress Najis? or the part where there is semen. Keeping in view that while ejeculating one was wearing his clothes.

Answer: Jab najis cheez aur pak cheez men se dono is qadar tar(gheeli) hon ya in men se aik isqadar tar(gheeli) ho ke aik ki tri dosere tak puhnch jaaye to faqat jism ka wo hissa najis hoga jahan wo nijasat lagi hai, poora jism ya libaas najis nahin hoga. or faqat us hisse ko pak karna hai jahan nijasat lagi hui hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #119). [Updated on 26-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15679
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bv ka shadi k baad her waqt maika rehna thk hai? Iss pr islam ki rooh se roshani dalein

Answer: Jo aurat daemi nikah men ho us k liey Haram hay keh shohar ki ijazat ke bager ghar se bahir jaye chahe us ka nikalna shohar k haq k manafi nah bhi ho. (Jab shohar ki ijazat ke bager ghar se bahir nikalna hi Haram hai, to maan, baap ke ghar ja rehna to buhat door ki baat hai. lehaza biwi ke liye jaiz nahin hoga ke wo shohar ki ijazat k bager apne maan, baap ke ghar rahe. Han, agar shohar ki ijazat se maan, baap ke ghar reh rahi ho, to is surat me bhi ye dekhna hoga ke maan, baap ke ghar me rehne se ghar ka maalik (chahe baap ho ya maan ho ya koi aur) raazi hai ya nahin, agar raazi hai to wahan reh sakti hai lekin agar maalik ki ijazat ya rizayat na ho to us ghar me rehna jaiz nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377). [Updated on 03-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15691
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o-Alaikum Hazrat!Kia thora sa nafs dalny se haml hota hy ya ni?

Answer: Mard jima say farigh hone k baad aurat se aahistagi se alag ho jaey or aurat kuch dair tak chit laity rahe, or apni rano ko milaey takeh hamal theherne main asani ho. (Ref: Islam or jinsiyaat, pg #151). (Note: Is aitebar se har aurat mukhtalif hoti hai koi aurat aik martba hambistri ke baad pregnant ho jati hai, or koi do teen dafa ke baad pregnant ho jati hai yahan tak ke kuch khawateen aisi hoti hain ke kaei dafa hambistri ke baad bhi saalon tak un ke han aulad nahin hoti). [Updated on 06-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15744
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Ager aik permanent bivi apne saare haqq shohar ko mauf ker de matlab uss k saath raat rehna etc k wo poori umer na reh uss k saath raat to kya shohar ko mauf ho jata hai

Answer: Wajib huqooq teen tarah ke hote hain: 1. Shohar ke wajib huqooq, 2. Biwi ke wajib huqooq, 3. Shohar or Biwi ke Mushtarq (jin me dono aik dosre ke shareek hote hain) huqooq. Jo huqooq miyan biwi ke darmiyan mushtaraq hain wo muaaf nahin kiye ja sakte. masalan: Agar kisi shakhs ki aik ziyada biwiyan hon to chaar raton me se aik raat kisi aik biwi ke sath guzarna lazim hai, lehaza is tarah ke huqooq muaaf nahin kiye ja sakte. lekin jo huqooq miyan biwi me se kisi aik ke sath khaas hain masalan: shohar par wajib hai ke biwi ka naan o nafaqa ada kare lekin agar biwi kahe ke mene ye haq tumhen muaaf kiya to ye muaaf kiya ja sakta hai. isi tarah biwi par shohar ka haq ye hai ke biwi apne ko humbistri or jinsi lazzatain ke silsile me shohar ke hawale kare. ab agar shohar apna ye haq muaaf karna chahe to kar sakta hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Edition #1443 hij, maslah #337,340,341). [Updated on 14-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15748
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ladki agr ling muh me leti hai to kya gunaah hota h or

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh (mouth) laga saktay hain yani gunah nahin hoga, magar ye ke sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. lekin shohar or bhi ke alawa kisi mehram ya na-mehram ke sath is tarah ka kam karna jaiz nahin hoga, or gunah mile ga. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). + Nigah or libaas, sawal #109, pg #70). [Updated on 14-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15749
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia bacho k samne mia bivi sex kr skte ha ? Or aese k bacho ko pta na chale maslan chadar ya kch or dhanp kr? Please is masle k hawale se detail me agahi frmaiyega

Answer: Jee han, is tarah se kar sakte hain or jaiz hai lekin ye makrooh ke jima ke waqt koi aur wahan maujood ho chahe chota bacha ya bachi hi q na ho. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Edition #1443 hij, maslah #5). [Updated on 14-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15759
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shohar biwi ke hote huye kisi shadi shuda orat ke sath hambistri krle to kya hukm Hai pehli biwi k sath islam mein

Answer: 1: Na mehram mard or aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko choona (touch) ya bosa (kiss karna) dena ya zina karna ye tamam kaam haram or gunah e kabira hai, chahae lazzat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ho. 2: Pehli biwi ke liye koi hukum nahin hai. Han albatta shohar ke liye Lazim hai ke wo tauba kare. aur zaroori hai ke apne aap ko is gunah se bachaye. sub se pehlay shermindagi ka ehsaas kare or Allah se maghfirat talab kare or khud se ehed or wada kare ke is gunah ko dobara anjaam nahi de ga, or hameshah yaad rakha jaye ke Allah daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan raha hai or Allah ki na-fermani kar raha hai. koshish ki jaye ke khud ko khuch mufeed kamon main masroof ker le jaisay sport, parhai duniyawi kaam kaj waghaira, or har os cheez se bache jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar aap khud par qabo nah paa sakta ho to roza rakhe Q ke roza ghunahon ke muqabilay main dhaal ka kaam karta hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 22-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15760
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shohar biwi ke hote huye kisi shadi shuda orat ke sath hambistri krle to kya hukm Hai pehli biwi k sath islam mein

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 22-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shohar biwi ke hote huye kisi shadi shuda orat ke sath hambistri krle to kya hukm Hai pehli biwi k sath islam mein

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 22-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!