Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15762
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mera sawal ye hy k Kya bivi humbistri k doran shohar k upar askti h is s koi nuksan to nhi h na shohar ya bivi ko?

Answer: Jee koi nuqsan nahin hai, aur shohar or biwi jis sex ke tariqe par razi hon wo jaiz hay. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b). [Updated on 22-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15763
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mera sawal ye hy k Kya bivi humbistri k doran shohar k upar askti h is s koi nuksan to nhi h na shohar ya bivi ko?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 22-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15767
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bewi ka apna shuhar ka liya ghar ana sa pehla acha sa tyar hona ka hukam kahan diya gya hai quran me kindly give me reference

Answer: Ahadees e masoomeen(a.s) se ye akhaz kiya gaya hai. Hazrat Rasool e khuda(s.a.w.w) ka irshaad girami hai: ke tumhari aurton me se sab se behtar wo hai jo shohar ke liye banao singhar kare aur us se khush akhlaqi se paish aaye, shohar ka kehna sune aur us ke hukum ko maane aur jab shohar apna sharaei haq talab kare to koi aitraaz na kare, is ke baad farmaya: tumhari aurton me se badtar wo hai jo apne shohar par musallat ho, jab shohar mojod na ho to dosron ko dikhane ke liye banao singhar kare. jab shohar aajaye to parda nasheen ban bethe, us ki baat na sune, us ki itaat na kare. (Ref: Tehzeeb e Aale Muhammad, Allama Baqir Malisi, page #122,123,124). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15776
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager wife ko pasand ho oral sex aur wo kahy k oral sex kro to kya hukam hay

Answer: Mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram hain laikin gair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par mian, biwi ka razi hona lazim hay. Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Albetta is sai aurat mujnib nahin hoti hai laikin agar oral sex karnay sai wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar de jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #345). [Updated on 24-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15779
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia wife apna husband ka nafs ko chum sakhthi ha kia?

Answer: Mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram hain laikin gair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par mian, biwi ka razi hona lazim hay. Oral sex yani aik dosray ki sharamghah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamghah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Albetta is sai aurat mujnib nahin hoti hai laikin agar oral sex karnay sai wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar de jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #345). [Updated on 28-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15786
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mani biwi ke halaq me chli jaye toh kaesa hai

Answer: 1: Mian, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram hain laikin gair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par mian, biwi ka razi hona lazim hay. 2: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga. 3: Agar monh ka androni hissa najis ho jaey tu nijasat k door ho janay se monh paak ho jaata hay or paani se paak karne ki bhi zarorat nahin hoti. (Ref: sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15). + Tauzeeh ul masail jaame, Edition #1435 hijri, Mafhoom e Maslah #233). [Updated on 28-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15829
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shadi shuda aurat shohar ky ilawa kisi ky sth zina kry or bacha b hony wala ho jay to kya krna chahiy

Answer: 1: Aurat shadi shuda ho ya gair e shadi shuda, dono suraton me zina karna haram hai aur is ke zariye jo aulad hogi wo haram zada hogi. 2: Qarar e nutfaa (aurat ke rehm men mard ki mani thehrne) k bad isqat e hamal (bachhe ko zaya) karna jaiz nahin hai magar ye khoaf ho ke hamal ka baqi rakhna aurat ki zindagi k liye nuqsandeh hai ya na-qabil e bardasht harj ka baais ho to agar hamal men jaan na pari ho to isqat e jaaiz hai, lekin hamal men jaan parne ke bad bachhe ka zaya karna hargiz jaaiz nahin hai. Agar shohar daar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai laikin shohar ko chaaie ke is biwi ja mehar bhe de. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Pg #466, 364,Maslah #72,2367). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15850
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-O-Alaikum Husband ka her choti choti bat per wife se bister alag kr lena jaiz he.Shariat ka is bare me kia hukam he.

Answer: 1: Agar shohar apne tamam wajib huqooq ada kar raha ho jese ke naan o nafaqa or zarooriyat e zindagi ki cheezen ada kar raha ho isi tarah shohar par 4 mahine me aik martaba apani jawan biwi se jima karna wajib hai, isi tarah Biwi ke huqooq main se hay ke shohar use aziyat o azaar (bad-tamezi) nah punhchaye or kisi sharaei wajah ke baghair us ke sath sakhti or ghusse se paish nah aaye, agar ye bhi ada kar raha ho to shohar ka alag bistar karna jaiz hai. lekin agar shohar apni biwi ke jo huqooq bante hai un huqooq ko hi ada nahin karta to wo gunahgar kehlaye ga. Agar kisi ki do daaimi biwiyan hon aur in men se aik ke pass aik raat rahe to wajib hai ke 4 raaton men se aik raat doosri ke pass bhi guzare aur is soorat ke elawa aurat ke pas rehna wajib nahin hai. Han ye laazim hai ke us ke pass rehna bilkul hi tarak na kar de. or aula or ahwat (behter)ye hay ke har 4 raaton me se 1 Raat shohar Apne daaime biwi ke pass Rahe . Han, Albatta aik shadi shuda zindagi ko behtar banane ke liye zaroori hai hai ke aik doosre ki chhuti chhuti baton ko nazar andaz kiya jaye, aik doosre ke sharaei huqooq ka khayal rakhte hue aik doosre ki ghalation se darguzar kiya jaye, or is baat ki koshish ki jaye ke zindagi ki bunyad piyar o muhabat par ho. aur koshish ki jaye ke aise kamon ko anjam diya jaye jis se shohar aur biwi ke darmiyan taluqat behtar ho jayen. 2: Miyan, biwi ke piyar o muhabat ka wazifa: Miyan biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2381,2382. + Link, https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ . + Kitab Naway Saliheen, pg #404). [Updated on 11-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15882
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera swal ye hai k kya bv k mrny py uska shohar uska na mehram ho jata hai agr asa hai to bibi ki turbat py mola Ali as ny 40 din pehra q diya?

Answer: Fiqhe jaferia me ,biwi ke Marne ke baad us ka shohar us ka namehram nahe hota hay . (Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, maslah #12,13). [Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15897
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah k Bad Aurat ko Kis Ki Bat Man'ni Chaiye? Baap Koi Bat Kh Rha h Or Shohar Us Se Mna Kr Rha h To Ks Ki Sun'ni Chaiye?

Answer: 1: Sharaei nuqta e nazar se biwi par shohar ki baat manna sirf do maqamat par wajib hai: 1. Shohar ki ijazat ke bagair biwi us ke Ghar se Bahir nahin jaa sakti (yani shohar ki ijazat ke bagair ghar se bahir jaana Haram hai) chahe us ka nikalna shohar ke haq ke manafi nah bhi ho. magar ye ke koi aham zaroorat paish aaye ya ghar men rehna us ke liye nuqsan ka baais bane ya ghar us ke munasib nah ho. 2. Aurat ke liye zaroori hai ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke bagair shohar ko hambistari say nah rokay (yani sharaei uzr ke bagair shohar ko hambistari se mana karna Haram hai). Haan shohar ki razamandi say taakheer (late) karna jaiz hai. (Note: in do maqamat ke alawa shohar ki baat manna wajib nahin ). 2: Maan, Baap ki nisbat se Farzand ka woh wazifa jo Farzand se marboot hai maslan is se kahen ke falan jagah nah jaao ya falan kaam ko anjaam nah do ya ya kahen ke anjaam do aur Farzand ka mukhalifat karna Maan, Baap ya un mein se kisi aik ki aziat ka baais ho to is ki do sooratein hain: 1. Unhen aziyat hona Farzand par shafqat aur meharbani ki bunyaad par ho to is soorat mein is ke liye un ki mukhalfat karna Haraam hai khuwa Maan Baap ne usay kisi kaam se mana kiya ho ya kisi kaam ko anjaam daine ka hukum diya ho ya yeh ke sirf un ki mukhalfat se unhen aziyat hoti ho. 2. Unhen aziyat hona Farzand par shafqat aur meharbani ki bunyaad par nah ho balkay aulaad ko amar o nahi karne mein sirf apna faida aur Maslehat mad e nazar rakhen to is soorat mein un ki mukhalfat jaaiz hai Albata tawajuh rahay ke yeh mukhalfat aur nafarmani is tarhan se nah ho ke un ke sath neki se paish anay ke wazifay ke khilaaf ho aur isi tarah walidain bad sifaat aur past khaslton aur razaail akhlaqi ki bana par Farzand ko achay kaam se rokain aur buray kaam ko anjaam dainay ko kahen to un ki itaat wajib nahin hai. 3: Abatta har surat me waldain se Amal or zaban se nek sulook karna, amal or zaban se bad-tameezi na karna agarche aulad par zulm kya ho wajib hai. Hadees men aaya hai ke agar maan, baap aulad ko maaren tab bhi waldain se bad-tameezi se pesh na aain balke ye kahen ke khuda aap ko maaf kare. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377,2378. + Tauzeeh ul Masail Jaame, part #2, maslah #519,520). [Updated on 02-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!