Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15898
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bivi k muh ma nafs dal k chodna

Answer: 1: Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka razi hona lazim hay. 2: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye ke sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga. Shohar biwi ko ghair maomooli kamo par majboor nahin kar sakta. is tarah ki khahish par amal karna biwi par lazim nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, before maslah #2328. + sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 25-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15902
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi ko 6mah ho gay Han abi tk BV ny azwaji haq Ada ni keya kehti h dar Lagta h baty Kya kary

Answer: (Note: Aap apni biwi ko in sharaei masail se aghah karen or use waaz o naseehat karen. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ki biwi ko samjhaye taake biwi aap ke huqooq ada kare or biwi ke liye in masail par amal karna zaroori hai warna wo gunhagar hongi). 1: Biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna jaiz nahin hai. 2: Aurat ke liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer (late) karna jaiz hay. 3: Waise to biwi ka naan o nafaqa jese ke rihaish, khana, libaas aur zindagi ki baqi zaroriyaat ka intezaam karna shohar par wajib hai. agar intezaam na kare chahe qudrat rakhta ho ya na rakhta ho apni biwi ka maqrooz hai. lekin agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton ke silsile men shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay to biwi ke naan o nafaqe jese ke roti, kapray, aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai. 4: Hadees manqool hai jis main me aik aurat ne kaha keh ya Rasool Allah(s.a.w.w) shohar ka haq zauja par kya hai yani biwi par kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot(Camel) ki pusht par hi kyun na sawaar ho phir us aurat ne arz ki ya Rasool Allah(s.a.w.w) mard par kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kiya, aurat par sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kiya keh shohar par mera haq utna nahin hai jitna mere par shohar ka hai, farmaya nahin or aik doosri hadees manqool hai keh aurat par farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka shohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya Rasool Allah(s.a.w.w) chahe us aurat ke shohar ne kitna hi zulum kiya ho, farmaya "Haan chahe kitna hi zulum kiya ho". (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377. + Tahzib ul islaam, baab #4, Huqooq e zaujain, pg #140,141). [Updated on 26-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15908
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaqyafta larki say us k pehle nikahki baten pochna jaiz he ya najaiz or bilkhasus agar wo baten us kay pehle shohar kay sath azdawaji taluqat k hawalay sy houn to haram amar ho ga?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15931
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hum bistri krny ky adaab mian bevi sistani ky fatwaky mutabik detail sai btaen

Answer: Biwi ke saath jima (intercourse) karne ke adaab: Jima ke waqt mustahab hai ke bismillah parhi jaay, Jima ke waqt jo kaam makrooh hain un se bacha jaye or un main say kuch ye hain 1. Soraj or chaand gerhan ka hona, 2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat ke din ke, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4. chand ki aakhri 3 raaton main jima kerna, 5. fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6. islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat) main, 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8. qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9. berhana (naked) halat main jima kerna, 10. ehtilaam ke baad baghair wuzu k jima kerna, 11. jima k waqt bivi ki sharamgah ko dekhna makrooh hai. (Ref: Minhaaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5). [Updated on 01-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15948
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Humbastri kAe doran pani na niklo to kia es sae koi nuqsan hae kia vo kbhi ma nhi bnskti?

Answer: 1: Jee nahin, Nuqsan nahin or zail me diye gaye Mustahabaat e jima ka mutaliaa karen aap ka maslah hal ho jaye ga. 2: Mustahabaat e jima (recommended orders of intercourse) main ye bhi milta hay ke koe shakhs apni aurat se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas (chaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana) cheerh chaarh or hansi mazaaq karay. is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay. In ki nazar main fauran jima karne par mard ki mani jaldi se kharij ho jane ki sorat main mard ki khahish to poori ho jati hay laikin aurat ki khahish poori nahi ho pati, jis ki wajah se aurat apne mard se nafrat karne lagti hay. shayad isi liay deen e fitrat(mazhab e Islam) ne orgasm yani masaas, bosah baazi(kissing), cherh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain kerne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima ke liay poori tarah aamadah ho jaaye or jab is se jima kiya jaaye to wo bhi mard ki tarah se poori tarah jinsi tasalli hasil kar sakay shayad isi liay Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad fermaya ke: “ jo shakhs apni aurat se jima karay wo murgh(cock) ki tarah us ke paas nah jaaye balkeh pehlay masaas(orgasm) or dast baazi(badan pe haath phairna) or khush tab,ee karay, is k baad jima karay” {Ref: Tehzibul Islam, pg#109} or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq (a.s) se kisi ne daryaaft kiya ke: “agar koe shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah ke saath baazi karay(playing) to kaisa hay? Aap (a.s) ne farmaya khuch muzaaiqa nahin (No Problem) laikin ajzaay badan (parts odf body) ke alawa or koe cheez is maqam main dakhil nah karay.{Ref: tehzibul Islam, pg #231} Yani aurat ko jima k liay poori tarah aamada kerne ,yani garam kerne k liay merd aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu(part) se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or merd dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay.(Ref:Islam or jinsiyaat, mu,allif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg#145-6). 3: Jima se pehlay masaas(orgasm) k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k muzil hone (discharge) k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay, mard se chumtay, liptay, apne hatho ya taango se merd ko kas ker dabaaye. Tab mard bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emeting of penis) kar ke farigh ho jaay, agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul(penis) ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah hojaay, phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag hojaay. (Ref: Islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg#151). [Updated on 05-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15954
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya bewa orat shihar k inteqal k bd apnay susral rehny ka haq rkhti hai jahan uska jaith or dewar rehty hoon?

Answer: Jee nahin, chahe pehle shohar ke ghar me na-mehram (jaith or dewar) maujood ho ya nah ho, bewah aurat wahan rehne Haq nahin rakhti. Note :laikin agar Ghar ke wareseen bewa Aurat ko Apne Ghar me rehne ki ijazat de or bewa Aurat us Ghar me rehna chate ho tu sharhe perdah ka khayaal rakhte hoe or koi fasaad bhe na horaha ho ,or Aurat shareyat ki pabandi karrahe ho tu Aurat us Ghar me rehsakte hay (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, mafhoom e maslah #638,639). [Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15962
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager husband wife ik dosray sy door aey tu kia wo text per ya khd ik dosray ko soch kr apny hatho sy apny ap sy lazat ly skty r money nickl skty?

Answer: Jee nahin, Q ke Istimna/mushtzani (masturbation) Haraam o Ghunah e kabeera hai. Aur biwi ke sath phone par fehesh(sexy) batain kar sakte hain laikin is baat ka khayaal rahe ke is had tak baat nah ki jaey keh khud par kaboo nah rahe hon or mushtzani karne per majboor ho jain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part#1, Maslah #30, edition #1443). [Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15971
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya delivery k bd 40 days k andr orat apni mother k ghr rhny ja sakti ha???

Answer: agar shohar ijazat de to jaa sakti hai lekin agar aurat apne shohar ki ijaazat ke baghair ghar se bahir (chahe apni maan ke hi) jaaye to yeh jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376). [Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15984
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum sahab mera ye sawal hai ki meri shadi hoke 7 saal huwe meri biwi pheli pregenency k baad se mere sath humbister karne me interest hai jaisa bolti air mai jab khareeb jao to gussa marti hai mai 6 saal se pareshan hun

Answer: (Note: Aap apni biwi ko in sharaei masail se aghah karen or use waaz o naseehat karen. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ki biwi ko samjhaye taake biwi aap ke huqooq ada kare or biwi ke liye in masail par amal karna zaroori hai warna wo gunhagar hongi). 1: Biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna Haram hai. 2: Aurat ke liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer (late) karna jaiz hay. 3: Biwi ka naan o nafaqa jese ke rihaish, khana, libaas aur zindagi ki baqi zaroriyaat ka intezaam karna shohar par wajib hai. aur agar shohar in cheezon ka intezaam na kare chahe qudrat rakhta ho ya na rakhta ho apni biwi ka maqrooz hai. lekin agar biwi humbistri aur jinsi lazzaton ke silsile men shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay to biwi ke naan o nafaqe jese ke roti, kapray, aur makaan ka shohar zimedaar nahin hai. 4: Hadees manqool hai jis main me aik aurat ne kaha keh ya Rasool Allah(s.a.w.w) shohar ka haq zauja par kya hai yani biwi par kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot(Camel) ki pusht par hi kyun na sawaar ho phir us aurat ne arz ki ya Rasool Allah(s.a.w.w) mard par kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kiya, aurat par sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kiya keh shohar par mera haq utna nahin hai jitna mere par shohar ka hai, farmaya nahin or aik doosri hadees manqool hai keh aurat par farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka shohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya Rasool Allah(s.a.w.w) chahe us aurat ke shohar ne kitna hi zulum kiya ho, farmaya "Haan chahe kitna hi zulum kiya ho". (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376,2377. + Tahzib ul islaam, baab #4, Huqooq e zaujain, pg #140,141). [Updated on 15-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15989
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera shohar apni behan k ghr ja kr souty haain.. Meri nand k husbnd bahir k mulk huty haain.. Kys ye islami point of view sy thk haai.. Meiny bhhtt rouka h lkn wo nae rukty

Answer: Agar asal ghar ka maalik (shohar ho ya koi aur) raazi hai ke aap ka shohar soye to wahan sone me koi haraj nahin, Q ke aik to ye ke maalik raazi hai aur dosra ye ke aap ka shohar ur us ki behen aapas me mehram hain,(or koi fitna fasad ya kise ko guna me mubtela hone ka khouf bhe nahe hay tu ) koi haraj nahin hai. lekin agar maalik raazi nahin to phir wahan sona jaiz nahin Q ke kisi ki koi cheez (chahe us ka ghar ho ya koi aur cheez) us ki marzi aur ijaazat istemaal karna jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sitani(d.b), Edition #42, before mafhoom e maslah #2509, pg #389). [Updated on 22-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!