Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Sasur ko pata chale k us ke bete ki b.v apune shohar k ilawa kisi doosre mard k sath zina karti he, to Kya us Sasur ko apune bete ko batana chahiye k tumhari b.v ger mard k sath zina karti he?

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16138
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: muh mai jima ka kya hukam h, agr discharge k bgai ho to

Answer: 1: Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai. 2: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye ke sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. lekin agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga. 3: Agar monh ka androni hissa najis ho jaye to nijasat ke door ho jane se monh paak ho jaata hay or paani se paak karne ki bhi zarorat nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, before maslah #2328. + sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #237). [Updated on 29-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16148
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam walikum jb mi bv se milta ho to koi felling ni are kia msla btade mine medican mi li he course complete krlia bohat preshan ho rahnumai krde shukria

Answer: 1: Mustahabaat e jima main ye milta hay ke koi bhi shakhs apni biwi se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana, cheerh, chaarh or hansi mazaaq karay is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kia hay in ki nazar main fauran jima karne par mard ki mani jaldi se kharij ho jane ki soorat main mard ki khahish to poori ho jati hay laikin aurat ki khahish poori nahin ho paati jis ki wajah se aurat apne mard se nafrat karne lagti hay shayad isi liye deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas, bosah baazi(kissing), cherh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain karne ko mustahab qaraar diya takeh aurat mazkorah amal se jima ke liye poori tarah aamadah ho jaaye or jab is se jima kiya jaaye to wo bhi mard ki tarah se poori tarah jinsi tasalli hasil kar sakay shayad isi liay Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad fermaya k jo shakhs apni aurat se jima karay wo murgh (cock) ki tarah os ke paas nah jaaye balkeh pehlay masaas, orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tabee karay is k baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. or shayad yehi wajah hay k jis waqt imam jaffer sadiq a s se kisi ne deryaaft kia k agar koe shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamgaah k saath baazi karay (playing) to kaisa hay aap (a.s) ne fermaya khuch muzaiqa nahin (no problem) laikin ajzaay badan (parts of body) k alawa or koe cheez is maqam main dakhil nah karay, {ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima k liay pori terah aamada kerne yani garam kerne k liay mard aurat ki sharamgaah main ungli ya jism k kisi bhi uzu (part) se cherh charh ker sakta hay takeh aurat or mard dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho sakay. 2: Jima se pehlay masaas (orgasm) k baad jab jima shuru kiya jaye to jab jima k doran aurat k muzil hone discharge k bilkul qareeb ho yani wo baitabana harakaat karay mard se chumtay liptay apne hatho ya taango se mard ko kas ker dabaay tab mard bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) ker k farigh ho jaay agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haathon ya taangon se mard ko kas ke daba rahi ho taake mard alag nah ho to mard ko chahiye ke is waqt tak apne aala e tanasul penis ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak ke aurat munzil nah ho jaaye phir khuch dair baad penis ko nikaal ker mard aahistagi se aurat se alag ho jaaye. (Ref: islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146,151,152). [Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16159
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shadi k bad biwi k sath jab jab sohbat kare uske bad jo mani nikle usko Har bar biwi ki sharmgah k andar nikalna hoga ...

Answer: Bahir inzaal bhi kar sakte hain. Albatta agar biwi raazi nah ho to ziyada se ziyada se makrooh hai lekin jaiz to phir bhi hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Edition #1443 hij, maslah #10). [Updated on 04-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16164
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam_o_alaikum Kya husband Apni wife se back_side lazat le sakhta h ?

Answer: 1: Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai. 2: Biwi ke peechay ke maqam (maqam e pakhana) main hambistari karna biwi ke raazi nah hone ki surat main ethiyaat e wajib ki bina par Haram hay, aur agar biwi raazi ho to jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #259,261). [Updated on 05-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Future ki wja say mrd ka aulad paida na krna gunah hy kiya? Mairi aurat bht wish krti hy aulad mangti hy wo depression ka shikar b is wja say hy lakin mairi abi achi job nhe hy is liye me nhe chahta plz rehnumai frmaye.

Answer: Mard ke liye jaiz hai ke wo family planning ke liye condom ya is tarah ke cover istemaal kare lekin ehtiyaat e wajib ye hai ke istemaal karne se pehle apni biwi say ijazat lay. warna wo ehtiyaat e wajib ki bina par gunahgar ho ga. Han albatta condom ya is tarah ke cover istemaal kiye aur biwi ki ijazat ke bager mani ka biwi ki sharamgah se bahir inzaal karna jaiz hai lekin agar biwi raazi nah ho to makrooh hai. (Ref: Jadeed Fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #465, pg #254. + Minhaj us Saliheen, Part #3, Edition #1443 hijri, maslah #10). [Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16185
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam sir many apny boyfriend ky sath 8 ya 9 bar zina kya hay ab meri shadi mere czn ky sath honay wali hay kya shadi ki raat humbistar honay pr mere czn yani husband ko pata chal jaye ga ya nahi ky many kisi larky kay sath shadi sy phely zina kya hay

Answer: Baaz aurton ka parday e bakarat(seal) sakht hota hai or baaz ka naram hota hai, lihaza agar parday e bakarat(seal) na phata ho phir to pata nahin chal sakta, lekin agar parday e bakarat(seal) phata ho to mumkin hai ke shohar ko pata chal jaye lekin ye yaqeeni nahin hai ke shohar ko pata chal jaye Q ke ho sakta hai ke shohar ko parday e bakarat (seal) ke baare me ilm hi na ho. Albatta jab shohar ke liye sabit ho jaye ke biwi ne shadi se pehl zina kiya tha to shohar ke liye talaq daina jaiz hay. or agar is bunyaad par nikah kita gaya tha ke larki kanwari hay jabke wo kanwari nah ho to shohar ke liye nikah ko faskh (break) karna jaiz hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #285). [Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum meri shaadi hokar 3 saal hogaye hai aur ab tak hamare darmiyan humbistri nahi hui hai mere kehne par bhi mere shohar humbistri nahi karte , iska koi solution bataein?

Answer: (Note: Aap unhen in sharaei masail se aghah karen or use waaz o naseehat karen. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ke shohar ko samjhaye taake jo huqooq un par wajib hai wo unhen ada kare or us ke liye in masail par amal karna zaroori hai, warna wo gunhagar ho ga). 1: Shohar apni jawaan biwi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) ke liye hambistari (intercourse) tark nahin kar sakta (yani 4 mahine tak hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai) magar ye ke (except) hambistari us ke liye nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab (reason) ho ya uski biwi khud 4 mahinay say ziyada muddat ke liay hambistari tark karnay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah ke zimn (agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat ke liye hambistari tark karnay ki shart rakhi gayei ho. 2: Agar shohar biwi ke izdawaji huqooq ki adaaigi se inkaar kare aur Talaq dainay par bhi amaada nah ho aur haakim shara (mujtahid) ki taraf se un dono mein se kisi aik baat par tayyar nah hon to zauja, Talaq ka mutalba kar sakti hai aur haakim shara is ka Sigha e Talaq jari kar sakta hai. is ke alawa is surat mein bhi haakim shara is ka Sigha e Talaq jari kar sakta hai, Jab shohar, apni biwi se kinara kash ho jaye is tarah ke na to wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. laikin jahaan shohar biwi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur par poora nah karta ho jis se us ka gunah ke murtakib honay ka khatra ho, to is soorat main agarchah wajib to yahi hay ke shohar biwi ki khahish poori karay ya us ke talaq ke mutaalbe ko poora karay. lekin agar shohor aisa nah karay to biwi ko sabr or intezaar karna chahiye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382. + Jadeed Fiqhi masail, maslah #428). [Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16212
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya husband n wife Mai breast kissing jaez hai

Answer: Shohar, biwi ke breast sucking, kissing (choosna, chomna) kar sakta hay, laikin agar shohar biwi ke breast ko suck kare aur doodh munh me aa jaye to ehtiyaat e wajib ye hay ke biwi ka doodh nah piya jaaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). [Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16221
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mery shohar mjhsy hlf uthwana chahty hain k mai apny ghar wln sa rabta na rkhn....mry shohar k mry ghr wln k sth kuch personal issues hain jiski wjah sa woh mjhsy hlf uthwa rhy....mai kya krn jabran hlf jaiz hai islam mai?????

Answer: Shohar apni biwi ko ghar se bahar jane se rokne ka haq rakhta hai lekin Shohar ke liye munaasib (behter) hai ke apni biwi ko ijazat de ke wo apne qareebi rishtedaron se mulaqaat kare or us ke khaandaan walon me se jo mareez hain un ki ayaadat kare or apne khaandaan walon ke marhomeen ke janazon me shirkat kare or is tarah ke kaam anjaam de balke shohar ke upper ye (cheez) wajib hai ke ijazat de itni miqdaar me ke (khaandaan waalon ke sath) naiki ka barqaraar rakhna jis ka taqaza karta hai or shohar ko ye haq hasil nahin ke biwi ko (ghar) se nikalne se mana kare jab biwi ka nikalna aise kaam ke liye ho jo biwi par wajib ho (jaise ke biwi ka wajib hajj ke liye nikalna), albatta shohor ko ye haq nahin puhanchta ke wo biwi ko apne walidain se bat cheet karne ya rabta rakhne se roke. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, Part#3, Maslah #337,338). [Updated on 30-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!