Question: Pehli dafa sex kiya ho ..usk bd 4 saal bd kren to larky ko pta to nh chle ga
Answer: Baaz aurton ka parday e bakarat (seal) sakht hota hai or baaz ka naram hota hai, lihaza agar parday e bakarat(seal) na phata ho phir to pata nahin chal sakta, lekin agar parday e bakarat(seal) phata ho to mumkin hai ke pata chale lekin ye yaqeeni nahin hai ke us pata chale Q ke ho sakta hai ke us ko parday e bakarat (seal) ke baare me ilm hi na ho. Albatta jab sabit ho jaye ke aurat ne shadi se pehl zina kiya tha to shohar ke liye talaq daina jaiz hay. or agar is bunyaad par nikah kiya gaya tha ke larki kanwari hay jabke wo kanwari nah ho to shohar ke liye nikah ko faskh (break) karna jaiz hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #285). [Updated on 31-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalaikum meny kisi majboori k tehst apny shohar k hoty kisi gher mard sy batain ki or ussy milny park tk gai or mujhy apni ghlti ka dil sy ehsaas hai men maufi b mang rhi kya meny shirq kiy hai or meri ghlti ki maufi hai ya nhi???
Answer: Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Isi tarah Na-mehram ki awaz sunna bhi jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila honay ka bhi khauf na ho. Isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye keh Haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is soorat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedaari bhi hai ke wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye ke jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. or agar gunah mai parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. 2: Jis aurat ka daaimi nikaah ho jaaye us ke liye apne shohar se ijaazat liye baghair ghar se baaher nikalna Haraam hai chahe us ka nikalna shohar ke haq ke manafi nab hi ho. Magar yeh keh koi aham zaroorat pesh aaye ya ghar mein rrhna us ke liye nuqsaan ka sabab ho ya ghar us ke munaasib nah ho. 3: Agar kisi se koi Ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se Allah taala ki bargah me tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. (Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shohar biwi k sth izadwagi taluq qayam na kry aur na hi karny ki khauwish kary tou biwi ko kia krna chahiye
Answer: (Note: Aap unhen in sharaei masail se aghah karen or use waaz o naseehat karen. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ke shohar ko samjhaye taake jo huqooq un par wajib hai wo unhen ada kare or us ke liye in masail par amal karna zaroori hai, warna wo gunhagar ho ga). 1: Shohar apni jawaan biwi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) ke liye hambistari (intercourse) tark nahin kar sakta (yani 4 mahine tak hambistri ka tark karna shohar ke liye haram hai) magar ye ke (except) hambistari us ke liye nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab (reason) ho ya uski biwi khud 4 mahinay say ziyada muddat ke liay hambistari tark karnay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah ke zimn (agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat ke liye hambistari tark karnay ki shart rakhi gayei ho. 2: Agar shohar biwi ke izdawaji huqooq ki adaaigi se inkaar kare aur Talaq dainay par bhi amaada nah ho aur haakim shara (mujtahid) ki taraf se un dono mein se kisi aik baat par tayyar nah hon to zauja, Talaq ka mutalba kar sakti hai aur haakim shara is ka Sigha e Talaq jari kar sakta hai. is ke alawa is surat mein bhi haakim shara is ka Sigha e Talaq jari kar sakta hai, Jab shohar, apni biwi se kinara kash ho jaye is tarah ke na to wo shohar daar rahay or nah mukammal azaad. laikin jahaan shohar biwi ki jinsi(sex) khahish ko mukammal taur par poora nah karta ho jis se us ka gunah ke murtakib honay ka khatra ho, to is soorat main agarchah wajib to yahi hay ke shohar biwi ki khahish poori karay ya us ke talaq ke mutaalbe ko poora karay. lekin agar shohor aisa nah karay to biwi ko sabr or intezaar karna chahiye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382. + Jadeed Fiqhi masail, maslah #428). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum Sir! Din ky waqt jima krna kia hukm rkta hai,
Answer: Jaiz hai. albatta Biwi ke saath jima (intercourse) karne ke adaab hain: Jima ke waqt mustahab hai ke 1. bismillah parhi jaaye, 2. wuzu kiya jaye khaas taur par jab biwi hamila ho. Jima ke waqt jo kaam makrooh hain un se kuch ye hain: 1. Soraj or chaand gerhan ka hona, 2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat ke din ke, 3. guroob e aaftaab ke waqt ka hona, 4. chand ki aakhri 3 raaton main jima karna, 5. fajar ke baad soraj nikalnay se pehlay, 6. islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat) main, 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima karna, 8. qiblay ki taraf rukh ya pusht karna, 9. berhana (naked) halat main jima kerna, 10. ehtilaam ke baad baghair wuzu ke jima karna, 11. jima ke waqt biwi ki sharamgah ko dekhna. (Ref: Minhaaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam sir bivi ka pecha sa krna kya hai shia mazah ma
Answer: 1: Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai. 2: Biwi ke peechay ke maqam (maqam e pakhana) main hambistari karna biwi ke raazi nah hone ki surat main ethiyaat e wajib ki bina par Haram hay, aur agar biwi raazi ho to jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #259,261). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اگر بیوی خود فورس کرے کہ شرم گاہ منہ میں ڈالو تو پھر شوہر کیا کرے پلیز گائیڈ کر دیں
Answer: 1: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye ke sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaay. Q ke agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga. 2: Biwi ya shohar me se koi bhi kisi ko ghair maomooli kamon par majboor nahin kar sakta. agar shohar, biwi ki is tarah ki khahish par amal karna chahe to kar sakta hai lekin shohar par lazim nahin hai ke biwi ki is tarah ki khahish par amal karay. 3: Agar monh ka androni hissa najis ho jaye to nijasat ke door ho jane se monh paak ho jaata hay or paani se paak karne ki bhi zarorat nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, before maslah #2328. + sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15). + Tauzeeh ul masail jaame, Edition #1435 hijri, Mafhoom e Maslah #233). [Updated on 13-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr nikkah hojay or larka or larki proper sth nh rhty ho mgr apny rights larka pury karta ho or wo milty rehty bhi ho bar bar Tou kea sexual relation banana lazmi hai nikkah Mai koi bh sharait nh ho.
Answer: Shohar ke liye wajib hai ke apni jawan se biwi se chaar mahine se ziyada humbistri tark na kare, Q ke chaar mahine ziyada arse tak humbistri tark karna shohar ke liye Haram hai (yani chaar mahine me aik martaba jawan biwi se humbistri karna wajib hai). Han agar hambistari karna nuqsaandeh ya buhut ziyada takleef ka sabab ho ya biwi khud chaar mahine se zayada muddat ke liye hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar mahine se zayada muddat ke liye hambistari tark karne ki shart rakhi gayei ho to phir wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2382). [Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ihtelam hony bad bghair ghusal kiye biwi ky sath humbistri kr skty hn
Answer: Ehtilaam ke baad ghusl kiye baghair biwi se jima karna jaiz hai lekin makrooh hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3 maslah #5). [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar husband or wife sex kartay huay or kisi teesre ko sochen to iska kya gunah ha or kya ye jaiz ha?
Answer: 1: (Haram ke bare me soochna maslan kisi na-mehram aurat se sirf khayaal hi khayaal me us ke sath sex karte hue soochna) Agar mani niklnay ka sabab nah bane to ehtiyat e mustahib (yani behtar) hai ke is kaam ko tark kar dia jaye (yani ye kaam Haram nahin hay magar behtar hai ke is kaam ko tark kiya jaaye). 2: Rasool allah se manqool hadees me hay : jab kise or aurat ke daikhne se shewat ya khuish paida ho tu apne aurat (biwi ) se jima (hambistri) na karna kyu ke baccha jo paida hoga mukhannas (yani naamard) ya dewaana hoga.hazrat ameerul momeneen ne farmaaya:jis waqt koi shaks kise gair aurat ko daikh le or use pasand aaye tu use waqt jake apne biwi se humbistri kare (laikin humbistri karte waqt tasuwr or khayaal dosere aurat ka na ho) kyu ke ju khuch us me hay wohe is (biwi) me bhi hay (or )har haal me shetaan ko apne nafs per galib na hone de. (Ref: Mujtahid se poche gaye sawalat, part #2, ques #199, pg #82. + Tahzeeb ul islam urdu, Allama muhaamd baqir majlesi, pg #132,135). [Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia nakkah k bad aur haq mahar denay se pehle apni mankooha ko gallay laga sakte hain aur usse bos o kinaar kar sakte hain? Although hambistri na bhi ki jaye kia haq mahar denay se pehle hug kiss kar sakte hain?
Answer: Meher ada karne se pehle biwi rok sakti hai lekin agar biwi razi ho to gallay laga sakte hain, aur bos o kinaar bhi kar sakte hain, aur agar biwi hambistri ke liye bhi razi ho jaye to hambistri bhi kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2384). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]