Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri biwi nay meray bhai kay sath sex kia hamari shadi say phelay is bat ko 5 saal ho gai hain mujhay ab pata laga hai mera aik 2 saal ka Bach bhai hai kia meri biwi mujh par haram ho gai hai

Answer: Jee nahin, aap ki biwi aap par Haram nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2364). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar biwi roz roz humbistry pe amada nai or shohar chahe to kya hukam hai

Answer: Biwi ka apne shohar ko hambistri se mana karna Haram hai, Aur biwi ke liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharaei uzr(reason periods e.t.c..) ke baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer (late) karna jaiz hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2376). [Updated on 09-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16400
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alikum. Mera sawal ya ha k kya biwi ko pechy sa toy ki madad sa fuck kea ja sakta, aur agr wife b mard ko toy sa pechy sa fuck kry to egazat ha kya.

Answer: 1: Shohar aur biwi apne badan ke kisi bhi hisse ko dusre ke badan ke kisi bhi hisse se chhoo sakhte hain lekin jism ke hisse ke alawa koi aur cheez (maslan sex toys wagera) sharamgaah main ehtiyaat ki bina par dakhil nahin kar sakte aur shohar ka biwi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. 2: Biwi ke peechay ke maqam(anal sex) main hambistari karna biwi ke raazi nah hone ki surat main ehtiyat e wajib ki bina par haram hai, aur agar biwi raazi ho to jaiz hai lekin shadeed makrooh hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #406, pg #236. + Tauzeeh ul Masail Jaame, Part #4, Maslah #261). [Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16403
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam alaikum sir ap se Ek question hai k Meri wife Ek larke k sath bhaag gayee thi humare 2 bache b hai ab wo wapis agayee hai apne parents k Ghar hai Kya us se rishta qaim Rakhna aur MN usay wapis apni Zindagi MN Lana sahi hai plz answer me

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 29-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16417
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can I have sex with my husband before taking gusal e haiz if bleeding stops after 5 days

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16458
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A o a mera ya sawal agr bv vibrator toys use krna chaye enjoy krny KY Liay husband ki ijazat KY sath to kia wo use kr skti ha?

Answer: Shohar aur biwi apnay badan ke kisi bhi hisse ko dusre ke badan ke kisi bhi hisse se choo (touch kar) sakhte hein lekin aik dusre ke jism ke hisse ke alawa kisi aur cheez (maslan sex toys, vibrator waghaira) ka istemaal karna ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahin hai, chahe shohar ki ijazat ho ya nah ho. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #464,499). [Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16469
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya bevi k pyso pr shohr ka koi haq hota hain

Answer: Agar aurat un paison ki maalik hai yani wo paise un ki milkiyat me hain to shohar ya kisi ko bhi un paison par koi haq nahin hai, ulta shohar par biwi (chahe maaldar hi q na ho) aur bachon ka naan o nafaqa (roti, libas, gha) ya deegar zindagi ki zarooriyaat ada karna wajib hai. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hij, maslah #413. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ + Ahkaam e deen, Ayatullah Sistani(d.b), ke fatwe ke mutabiq, pg #256. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2376). [Updated on 30-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Parda bikarat zaail ho jay to ise jima krte waqt lzat mehsoos hoti he ya nahi?? Is ke khul jane se jima pr frq prta he ya nahi?

Answer: Parda bakarat ke phatnay baad se hi yeh amal lazzat ka sabab banta hai. (Ref: http://knwara.blogspot.com/p/please-help-me-will-i-bleed-at-first_28.html?m=1 ). [Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16525
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Biwi Ap K Mana Krny K Bawjood, Chupa Kr Mobile Apny Pass Rakhy... Islam Ki Ruu Sy Kya Saza Hy Iski... Kindly Reply..

Answer: خاتون کے لیے جن امورمیں براہ راست کسی اجنبی مرد سے رابطہ رکہنا جائز نہیں ہے ان میں بغیر کسی فرق کے خط و کتابت و چیٹنگ کے ذریعے بھی جائز نہیں ہے، اور کوئی بھی کام اس طرح نہیں کرنا چاہیے کہ اس کا شوہر یا باپ شک کرنے پر مجبور ہو جائیں۔بلکہ بعض اوقات تو ایسے کام کچھ صورتوں میں حرام ہی ہو جاتےہیں ،جیسا کہ اگر زوجہ کا کوئی کام عاقل افراد کی نظر میں شوہر کے شک و شبہات کا باعث بنتا ہو اور وہ اس طرح سے کہ وہ کام ان باتوں کے منافی شمار ہوتا ہو کہ جن کی رعایت کرنا شوہر کی خاطر بیوی پر لازم ہے۔ یا اگربیٹی کا کوئی کام باپ کی اس پر شفقت کے باعث باپ کے لیئے اذیت کا باعث بنتا ہو تو حرام ہوجاتا ہے۔ اور یہی صورتِ حال بیٹے کے لیے اسکے باپ کے بنسبت ہے۔ اور اگر اس اشکال و شبہات کا ختم کرنا شوہر یا باپ کےمضمون ِ چیٹنگ کو جاننے پر موقوف ہوجائے، اور اس میں دوسری کوئی اور مشکل بھی نہ ہو تو پھر ایسا ہی کرنا پڑے گا، بہر حال شوہر اور باپ پر زوجہ اور اولاد کے حوالے سے ایک ذمہ داری ہے۔اللہ تعالیٰ نے فرمایا۔(اے ایمان والوں بچاؤ اپنے نفسوں کو اور اپنے گھر والوں کو اس آگ سے جس کا ایندھن انسان اور پتھر ہونگے،اس پر سخت متشدِد ملائکہ ہوں گے جو اللہ کے امر سے روگردانی نہ کریں گے اور وہی کریں گے جو انہیں حکم دیا جائے گا)۔ پس زوجہ اور اولاد کو چاہیے کے وہ شوہر و باپ کے لیے اس کام میں مددگار بنیں کہ جسکا حکم اللہ تعالیٰ نے دیا ہے۔اور یہ دونوں(شوہر اور باپ) مناسب جواب نہ ملنے پر امر بالمعروف و نہی عن المنکر کی ذمہ داری اپنے مورد میں شرعی ضابطے کے مطابق انجام دے سکتے ہیں۔ (اور اللہ ہی عصمت دینے والا ہے) (Ref. Sistani.org,topic :internet, Sawal no :3) Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) haasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Aurat k huqooq me se aik ye bhi he k merd usi aziyat na pohanchey aur kisi sharie uzr k baghair us k saath sakhti aur tursh’ravi se pesh nah aay.. 2)Agar koi aurat jinsi lazzat k silsile me shohar ki khowish puri na karay to shohar roti , kapray aur makan ka zimedar nahi he. Agar chahe wo shohar k paas hi rahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2376, 2377). .Update Kisi dusre musalman ke maal ko ghasab karna aur us ki raza mandi ke bager us ke maal me tasarruf karna, ye Haram aur ghunah e kabira hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #394). [Updated on 05-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16528
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mei ek shadi shuda khatoon hu, humare 2 bachhe hai, jiska shohar doosre mulk me rehta h kaam kaaj ki wajah se. Toh aisa haal me meri nafsi khwahishat ka mei kya kru, apna aapko maar dalu ya shohar se talaq le lu ?

Answer: (Note: Aap khud bhi in masail par amal kare aur apne shohar ko in sharaei masail se aghah karen or use waaz o naseehat kar sakti hain. ya khandan me kisi aise shakhs ko is bare me bataen ke wo aap ke shohar ko samjhaye taake aap ka shohar aap ke huqooq ada kare or shohar ke liye in masail par amal karna zaroori hai warna wo gunhagar hoga). 1: Shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar na kare ga to wo gunahgar hoga) magar ye ke hambistari biwi ke liye nuqsandeh ya bohut ziyada takleef ka sabab ho ya us ki biwi khud chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar mahine se ziyada muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gayei ho. Aur is hukum mein ehtayat-e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koi farq nahin hai is liye ehtayat-e-waajib ki bina par ye jaiz nahin ke ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar maah se ziyada tool diya jaay. 2: koshish karain ke khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. 3: Taqwa e ilahi ke zariye se is se nijaat hasil ki jaye or jin cheezon or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jaye. aur Allah Subhaan ka kasrat se zikr kiya jaye or ye is se bachne ke liye sakht koshish ki jaye. 4: Is ke alawa Gunahon se bachnein ke bohat se tariqe hain jin me se chand ye hen: 1. mout ki yaad ko dil main bassaen. 2. ye tassawur karain ke khuda har waqt dekh raha hay. 3. khaas taur par namaz e shab ki pabandi karain. 4. Pakiza aur halal ghiza(foods) kahain…. etc. 5: Hazrat imam Ali Riza (a.s) se marvi riwayat k mutabiq waqt e zawaal(e aaftab) 150 baar "yaa quddoos" ka wird karne se dil noorani ho jata hay or is wird ki wajah se shaitaani waswason se aman mil jaati hay. aur waswase k liay "Laa haula walaa qoowwata illaa billaah" parhain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382. + kitab: Tark e ghunahan ke 40 tareeqe. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 27-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!