Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16569
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Koi marad shadi k badh Kisi AUR aurat s taulaq rakhay to uski kiya saza h

Answer: Shadi se pehle ya baad me kisi aur na mehram aurat ke sath jinsi talluq rakha haram or gunah e kabira hai. aur lazim hai ke wo tauba kare, aur gunaahon se tauba aham tareen umoor aur wajibaat me se hai. Tauba ki haqeeqat gunaahon se pashemaan hona hai aur pashemaani aik qalbe amar hai (yani is ka talluq dil se hai) sirf (astaqferullah) kehna tauba ke liye kaafi nahin hai balke tauba ke liye haqeeqi taur par pashemaan hona zaroori hai aur agar waqean pashemaan ho jaaye to (astaqferullah) kehna lazim nahin hai agarche is ka kehna ehteyaat e mustahab hai (yani ehteyaatan behtar hai) aur tauba ke sharaei aasaar paaye jane ke liye do baatain lazim hain: 1) Insaan hatmi irada rakhta ho ke gunah ki taraf dubaara nahin palte ga. 2) Jo khuch bhi nafarmaani ki hai imkaan ki surat me shareat ke qanoon ke mutabiq islah kare; maslan jo wajibaat insaan par wajib the aur us ne use anjaam nahin diye hain maslan namaz, roza, hajj, zakaat wagaira, agar us amal ki qaza hai ya kaffara hai to un ki qaza kare ya kaffara ada kare yani use anjaaam de aur jin logon ka maali haq khaya hai ya koi maali nuqsaan punhchaya hai, wo un ko waapsi de ya is silsile me un loqon se un razamandi hasil kare. yeh baat qabil e zikar hai ke agar koi shakhs tauba ke baad dobara gunah ki taraf lout jaye to use khuda ki rehmat se mayoos nahin hona chahiye balkay dobara tauba karni chahiye. Jis insaan se gunah hua hai wo Tauba kare, Parwar digar ne quran me wadah kia hai ke wo tauba karne walon ki tauba ko qubool karta hai aur aisa hargiz nahin ho sakta ke wo apne waade par amal na kare. aur gunah se bachne ke liye mazboot irada chahiye. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #393,394). (Ref: sistani.org ques #1, tauba, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/). [Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16571
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi shuda k liye sex k bad pani bhr naklna sahe hai ya galt...main shadi shuda hun aur meri zoja hamesha kehti h k pani bahr nkalna(farig hona)

Answer: Agar biwi aisa chahti ho aur shohar bhi is baat pe raazi ho to mani ka sharamghah se bahir nikalna Jaiz hai, lekin agar shohar is baat pe raazi na ho to biwi ke liye Haram hai ke wo shohar ko mani ke andar nikalne se mana karay. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #10). [Updated on 12-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16579
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aurat apnay miyan say humbistri kay bad khud lazzat lay skti hay

Answer: Shohar aur Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamooli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par dono ka raazi hona lazim hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #259). [Updated on 15-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16587
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya shohar ka apni biwi ko pyaar se beti bulana islam me sahi ha

Answer: Is tarah kehna jaiz hai aur koi ghunah nahin hai aur nah hi koi kaffara hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1443 hijri, maslah #634 to 640). [Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16589
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1=Kia wife apne husband ki anus (back) main fingering kar sakti hai. 2=agar ap akele hain or koi nahi dekh raha to nange (naked) hojana jaiz hai.

Answer: 1: Shohar aur Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamooli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par dono ka raazi hona lazim hai. isi tarah shohar aur biwi apne badan ke kisi bhi hisse ko dusre ke badan ke kisi bhi hisse se cho sakhte hain. lekin jism ke hisse ke alawa koi aur cheez sharamghah main ehtiyaat ki bina par daakhil nahin kar sakte. 2: Jee han, jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #259. + Jaded Fiqhi Masail, Maslah #406, pg #236. + email rcvd from A.Sistani(d.b). + email rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012). + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2400). [Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16601
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Husband wife penis ko pussy mai daal ker soo sakta hai??

Answer: Jee han, aise so sakte hain, Q ke shohar aur Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #259. + Jadeed Fiqhi Masail, Maslah #406, pg #236). [Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16621
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr shohar bivi k motay hony ki wajh se hambistri na kry tou kia sahi hoga wo

Answer: Mota hona ye to koi sharaei wajah nahin hai ke hambistri tark ki jaye, Albatta aap ko aik sharaei masle ki taraf mutawajjeh kiya jata hai jo ke aap apne shohar batain: Sharaei maslah ye hai shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark nahin kar sakta (yani chaar mahinon me aik baar hambistri karna wajib hai agar nahin kare ga to wo gunahgar hoga) magar ye ke hambistari karna biwi ke liye nuqsandeh ya bohut ziyada takleef ka sabab ho ya us ki biwi khud chaar mahine se ziyada muddat ke liye hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zimin mein chaar mahine se ziyada muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gayei ho. Aur is hukum mein ehtayat-e-waajib ki bina par shohar ke maujood hone ya musaafir hone mein koi farq nahin hai is liye ehtayat-e-waajib ki bina par ye jaiz nahin ke ghair zaroori safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar maah se ziyada tool diya jaay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2382). [Updated on 25-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16623
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASLAM O ALIKUM SIR MERI AGE 34 HAY AUR FARIGH HOTAY WAQT MUJAY MAZA NAHI ATA IS KI KIYA WEJA HO SKTI HAY?

Answer: (Note: Agar hambistri se pehle darj zail baton ka khayal rakha jaye to mard aur aurat dono aik dusre se mutmaen(مطمئن) hon gay). 1: Mustahabaat e jima main ye milta hay ke koi bhi shakhs apni biwi se fauran jima nah karay balkeh pehlay orgasm yani masaas chaati, raan waghaira ko haath se masalna, sehlana, chairh, chaarh or hansi mazaaq karay. is baat ko maahireen e jinsiyaat ne bhi tasleem kiya hay, in ki nazar main fauran jima karne par mard ki mani jaldi se kharij ho jane ki surat main mard ki khahish to poori ho jati hay lekin aurat ki khahish poori nahin ho paati jis ki wajah se aurat apne mard se nafrat karne lagti hay shayad isi liye deen e fitrat mazhab e islam ne orgasm yani masaas, bosah baazi(kissing), chairh chaarh, hansi mazaaq, piyaar o muhabbat ki batain karne ko mustahab qaraar diya, takeh aurat mazkorah amal se jima ke liye poori tarah aamadah ho jaaye or jab is se jima kiya jaaye to wo bhi mard ki tarah se poori tarah jinsi tasalli hasil kar sakay shayad isi liye Rasool khuda(s.a.w.w) ne irshad fermaya ke jo shakhs apni aurat se jima karay wo murgh (cock) ki tarah us ke paas nah jaaye balkeh pehlay masaas, orgasm or dast baazi badan pe haath phairna or khush tabee karay is ke baad jima karay. {ref: tehzibul islam, pg #109}. or shayad yehi wajah hay ke jis waqt imam jaffer sadiq(a.s) se kisi ne daryaaft kiya ke agar koi shakhs haath ya ungli se apni zauja ya kaneez ki sharamghaah ke saath baazi karay (playing) to kaisa hay Aap (a.s) ne farmaya khuch muzaiqa nahin (no problem) lekin ajzaay badan (parts of body) ke alawa aur koi cheez is maqam main dakhil nah karay, {ref: tehzibul islam, pg #231}. yani aurat ko jima ke liye poori tarah aamada karne yani garam karne ke liye mard, aurat ki sharamghaah main ungli ya jism ke kisi bhi uzu (part) se chairh chaarh kar sakta hay takeh aurat or mard dono ko mukammal jinsi kaif o lazzat hasil ho saken. 2: Jima se pehlay masaas (orgasm) ke baad jab jima shuru kiya jaye to jab jima ke dauran aurat ke munzil hone (discharge) ke bilkul qareeb ho yani wo baitabana harakaat karay, mard se chumtay, liptay, apne hatho ya taango se mard ko kas kar dabaay tab mard bhi jaldi jaldi dukhool (inserting of penis) or ikhraaj (emiting of penis) kar ke farigh ho jaaye agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho aur wo apne haathon ya taangon se mard ko kas ke daba rahi ho taake mard alag nah ho to mard ko chahiye ke is waqt tak apne aala e tanasul (penis) ko aurat ki sahramghaah se bahir nah nikalay jab tak ke aurat munzil nah ho jaaye phir khuch dair baad (penis) ko nikaal kar mard aahistagi se aurat se alag ho jaaye. (Ref: islam or jinsiyaat, muallif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg #145,146,151,152). [Updated on 26-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16627
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Kya Kafi Dafa Aadatan aur Adat ke mutabiq biwi ko beta keh chuka hun aur pukar chuka hun aur anjanay mai hi keh chuka hun. Tou kya nikah batil hojata hai? Aur kya is ka koi kaffarrah bhi hai?

Answer: Is tarah kehna jaiz hai aur koi ghunah nahin hai, aur nikah baatil bhi nahin hota, aur nah hi koi kaffara hoga. (Ref: Minhaj us saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1443 hijri, maslah #634 to 640). [Updated on 26-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16630
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya biwi ko apni sharamgah chuswa sakty h

Answer: 1: Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai. 2: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye ke sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaaye. Q ke agar halaq me chali jaye to halaq najis ho jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #4, Maslah #259,261. + sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1). [Updated on 27-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!