Question: Mainay aik knwari larki sy muttah ki tha jo job krti thi. Lakin usnay apnay baap sy ijazat nahi li thi. Kya yeh muttah jaeiz tha?
Answer: Jee nahi ye mutaa durust nahi hoga Q keh gair mustaqil kunwari larki k liay wali (baap ya dada) ki ijaazat lena laazmi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia video cal par mutta jaiz hy ?
Answer: Phone par nikah (mutta) ho sakta hai Q k nikah mai sigah parhna zarori hai chahae phone par parhain ya saamnay parhain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335). [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai baat karne ka mutha karna chahta hun.. Is bare mai batye.
Answer: Jee, Is sorat main bhi muta jaiz hay. Lekin Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar na ho wo us waqt tak nikah (daimi/mutah) nahin kar sakti jab tak larki ka Baap ya Dada larki ko nikah (daimi/mutah) ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho us ke liye bhi Ehtiyat e wajib ki bina par yahi hukum hai ke wo apny walid ya dada say ijazat lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2385,2341) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia mudat khatam hony ka waqt guzer jany k baad mutta jaiz hai aur kia bar bar ek e aurat se mutta kerna jaiz hai
Answer: Nikah e muta ki muddat khatam hone per ya phir bakhsh dainay k baad osi aurat se daimi nikah kia jasakta hai ya phir dobara muta kia jasakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2385,2396,2473) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum, mera sawal ye hy k muta me aurat ko wirasat me hissa milta hy?
Answer: Jee nahin, Jis aurat se muta kiya gaya ho wo shohar se meeras nahin paati aur shohar bhi us se meeras nahin paata. isi tarah wo aurat hamkhuwabi(rat gazarne) ka haq bhi nahin rakhti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2389). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum Mera sawal hai kya Kisi Isaai khatoon ke sath mutah Kar skte Hain Jo ki umr me 15 saal badi ho sirf baat karne ki niyat se...kya badi umr ki aurat se mutah krna makrooh hai? Aur kya isse Zindagi Kam Hoti hai?
Answer: Musalman mard Ehl e kitab(Esae or yahodi) aurat se muta kar sakta hay. Agar musalman mard ki biwi ho to musalman mard ehle kitab aurat se muta nahin kar sakta Hatta k agar musalman biwi ijazat bhi dede tab bhi ehtiyat e wajib ki bina per ehl e kitab aurat se muta nahin kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(de.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2362). 2) Muta ki mazeed malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya kisi bazaari aurat sai muta Kiya ja sakta hai... Agarcha yai bhi ehtimal ho k wo khtm hony k bad uski iddat pori karegi bhi ya nahi??
Answer: Jo aurat zina kaar mashoor ho to ehteyat e wajib ki bina per os aurat k toba karne se phele is k saath nikah e daaimi ya muta karna jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2364). [Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ap nikkah mutta k seegha yahan bata sakhty han plzzz
Answer: 1: larka or larki khud apne nikah-e-mutta k seghay parh sakte hen, Ehtiyaat e wajib ye he k nikah ka seegha (alfaz) sahi arabi me parha jae, or agar seegha arabi main na perh saktay hon tu arabi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko wakil banana lazimi nahin hay, dono ka baligh hona bhi zurari hai, dono seegha parhte waqt qasd-e-insha (yani nikah ka irada) rakhte hoon. 2: Iska tareeka ye hai k nikah se pehle nikah ki muddat aur meher tay karney k baad pehlay aurat kahe k (زَوَّجْتُكَ نَفْسِى فِى الْمُدَّةِ الْمَعْلُوْمَةِ عَلَى الْمَهْرِ الْمَعْلَوْم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad foran mard kahay (قَبِلْتُ)(qabiltu) to nikah e mutta ho jaey ga. 3: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2328,2334,2335). [Updated on 28-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aise larki sa muta hosaqta ha jo talaq shuda to ha lakin uska bahi ka sat nabalegeh ka waqt zena kia ho 8 saal ke umar ma
Answer: Talaq yafta aurat ke sath muta karna sahi hai Agarche un donon ne zina kar ke aik haram kam aur gunah e kabeera ka irtekab kiya hai. Aur wo aurat jo talaq yaafta ho or us ke shohar ne us se hambistari bhi ki ho, to us ke sath nikah-e- daimi ya muta karne k liye kisi se ijazart lena zaroori nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2342)+(Ref: Minhaj us Saleheen, Part #1, Masalah #30). [Updated on 28-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: muttah ka time period hatam honay sy pehly agar murd os aurat sy 1 saal rabta na karain aur bd me osy azad kr dhy lekin muttah ka time period na hatam hua ho tu kiya os aurat py idad wajib ha ?
Answer: Agar nikah e muttah ki muddat poori ho jaye ya bakhsh di jaye or shart ye hai je muttah k doran hambistari bhi huei ho to 2 mukammal haiz iddat rakhna zarori hogi, or agar hambistari nahin hoi thi to phir iddat rakhna zarori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396,2473,2479). [Updated on 30-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]