Question: kya hum Nikah say pehlay ladki say ph par baat kar sakhtay hai ya mil sakhtay hai..give ans with refrence
Answer: Mangetar na mehram he aur Mangetar se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, karnay mai koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: TALAQ KE BAAD CHILDRENS KE LIYE WIFE AND HUSBAND DONO EK SATH RAH SAKTHE HAI
Answer: Ager buraae ka zara bhi imkaan ho to in ka ik chath ke neche rehna jaiz nahi hai is liye k talaq k bad ab wo ek dusre k liye miyan biwi nahi rahe or dono ek dusre k liye na-mehram hen. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 7 , pg # 103 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salam. Meri phupo ki baiti jo ab meri maami ban chuki hai yani uski shadi meray mamoo k sath ho chuki hai. Kia mein us k liye mehram houn. Kindly reply. Regrds. Imran jaffri
Answer: Phupho ki beti aur mami donoo na mehram hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asalamualikum kya mamu apni sali ya sali ki beti ki shadi apne bhanje se kara sakte hai kya.
Answer: Mamo ki Sali ya mamo ki Sali ki beti bhanjay k lie na mehram hai aur nikah ho sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir i want to know ki jb hm kisi ladki ko kiss krte he to ek ya do drop (clear fluid) pani jesa chipchipa fluid nikalta he kya usse na paki ho jati he ..??
Answer: 1)Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna bagair intercourse k zina nahi hai magar haram hai. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) 2)Jo ratubat shewat anghese tasaworat k waqt insan apni sharamgha me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahe hota hai aur na wazu batil hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam sir ! Kya apne girl friend ko kis karna jayez hai agr uske k sath be panah muhabbat b karte hu aur us k sath shadi karne ka ba irada hu ?
Answer: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k bagair aur chahae bad mai shadi hi q na karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kiya larka larke se larke se honton se kiss le sakta hai? ya zaban choos sakta hai ? or money b kharij na ho or na he kcuh or plz reply zaror den mene pehle bhi sawal kiya hai ka ee bar.thanks
Answer: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mehram aur gher-mehram kia frq hai ?
Answer: Insaan k liay apne mehram aurato se nikah karna haram hai, aur aurato k liay apne mehram mardo se perda karna wajib nahi hai (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2349 ,2401). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya aurat kisi male doctor se elaj karwae jis me uski sharam gahen nazar askhti hun ye jaiz hai? jaab k female doctor bhi available ho?
Answer: Agae aurat na-mehram mard se apne kisi aisi bemari ka ilaj karane per majboor ho jis ka ilaj wo bheter tour per karsakta ho to wo aurat is na-mehram mard se apna ilaj karasakti hai.chunache wo mard ilaj k silsele me is ko dhekhene ya is k badan ko hath laghane per majboor ho to mard k liay aisa kerna jaiz hai.Laikin agar wo sirif dehke kar ilaj kar sakta ho to zarore hai k is aurat k badan ko hath na laghaay aur agar sirf hath laghane se ilaj kar sakta ho to phir zarori hai k is aurat per nigah nah dale . Agar insaan kisi shaks ka ilaj karne k silsile me is ki sharamgha per nigah dalne per majboor ho to ehtiyaat e wajib ki bina per osay chahiay k aeina saamne rakhay aur is me dhekhay .Laikin agar sharamgha per nigha dalne k ilawa koe chaarah nah ho to phir koe haraj nahi .agar sharamgha per nigah dalne ki muddat aeine me dhekne ki muddat se kam ho nazar karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2405,2406 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: r0zy mai na mehram se baat kar sakty hain kia..??
Answer: Na mehram sai baat karnay sai roza batil nahi hota hai laikin na-mehram sai aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) & (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).