Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6510
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: woh kon kon sa log ha jin sa urat ka nikha ho sakta ha. kya khalo our popha mahram hota ha

Answer: Khalu aur phupa na mehram hain aur un sai shadi kar saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sallam g mara masla ya hia ke muj sa koie girls dosti nahee karni chahta hia mia kia karoo.

Answer: Ap is pr Allah ka shukr ada kren q jins e mukhalif (girls) se dosti kerna jaiz nahi Q ke gunah me mubtila hone ka khof majood he.(Or Imam ALI as frmate hen gunah ka moqa na milna bhi Allah ki trf se nemat hai) (kitab nigah or libaas ques # 106 , pg # 69 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me ek ladki se pyar karta hu lakin na jane kyu wo mujse bat tak nahi karti.please muje bataiye me kya karu?

Answer: 1)Lazzat aur Shak ki Niyat se Aurat ko Dekhna Haraam ha(Lazzat se Muraad Shehwat ki Nazar se Dekhna aur Shak se Muraad Haraam me Mubtila Honay ka Khof ho(Ref:Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b Masla#458 pg#253) 2)Dua-e-tawassul ko har waqt perh saktay hain, laikin kisi khaas maqsad k lie is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz-e-fajar k baad 2 rakat namaz e hajat ada kernay k baad perh kar dua mangain. Insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41)

Id: 6724
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ladkiyon se mohabbat karn gunah hai ya jayaz hai plz aap bataen.

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Jo shaks shadi nah krne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 2407, eidition31). Hazrat Imam jafar e Sadiq a.s. farmatay hain k surah e taha ko likh kar sabz rashmi libas may lepat kar apnay pas rakhay aur shadi k qasad say kisi k pass jay to osay na kaam nahi lotna paray ga aur wo shadi ho kar rahay gi. inshAllah (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6744
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can we touch our cousin sister body ,if we commited sin by touching her private parts is that zina aur ..iska bina par meri biwi be kisi aur ka sath zina kari hue hogai plz answer

Answer: It is haram for man to look or touch the body of the Non-Mahram women, but it is not Zina.(Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 70, masla # 109)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6767
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.. mene apna pyar kho dia jis ldke se mai pyar krti thi wo.mje achnk chod dia mai use bht pyat krtih hu plz mje koi wajifa batye plzzz jisse wo wapas ajye mere pas

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai (Ref: Nigah aur libas sawal# 106 pg# 69) Kunwari(virgin) lerki us waqt tak nikah(daimi/mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah 2341) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho gay (Ref: Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6815
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-o-Alaikum .mera nam Waqas Rasheed ha ma ak larki sa beintaha mohabat karta hn .magr us ki shadi ho gai ha.or us ki shadi us par kala jadu kr k je gai ha .is ka koi hal ha kya.wo ab b mujh sa pyar karti ha

Answer: Wssalam o alykum,Ab ap ke liye jaiz nahi hai haraam hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2366 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6901
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya kisi ladki se Muhabbat krna galat h.... me kisi ladki se bina uske or apne Ghar walo Ki rajamndi ke nikah kese kr skta hu jabki me bhi raji hu or vo ladki bhi..... kya Muhabbat me bhi nikah se pehle tuch krna galat h.....

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai. (Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69). Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Larki ka apne wali(bap ya dada) ki ijazat k bger nikha sahi nahi hai. Albatta larke k liye apne walden se ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #2341) Jab tak nikah nahi hojata tab tak namehram hi hen or us se pehle chahe use pasand krte hon ya na krte hon touch kran haram hai. (Ref: Ayat_ul_Allah Sistani)-( http://www.sistani.org/urdu/qa/01883/#18773) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) S/no:21

Id: 6903
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sachcha pyar muhabbat kisi gair mehram ladki se,,,, nikah ka bhi irada.... ke bare me Allah ne or Allah ke rasool Muhammad (s.a.w) ne kya farmaya or isse relatid sari baat batao.... plz plz plz....

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai. (Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69). Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Larki ka apne wali(bap ya dada) ki ijazat k bger nikha sahi nahi hai. Albatta larke k liye apne walden se ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #2341) Jab tak nikah nahi hojata tab tak namehram hi hen or us se pehle chahe use pasand krte hon ya na krte hon touch kran haram hai. (Ref: Ayat_ul_Allah Sistani)-( http://www.sistani.org/urdu/qa/01883/#18773) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6904
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum....Meri bhabi aur bhai ne nikah kia he 2 sal pehle dubai men ami abu k baghair . Court men 4 gawahon k sath .... Ami abu abhy nikah krana chahte hen wapas. Tau kia ho sakta he waapas nikah ??

Answer: Agr pehle nikah walden ki ijazat k bger kiya tha to wo sahi nahi tha matlb nikah hi galt hogaya hai, lehaza ab jo nikha walden ki ijazat se yahan Pakistan men horaha hai wohi sahi nikah shumar hoga, lekin agr pehla nikha walden ki ijazat se kiya tha to phir wohi sahi shumar hoga dusra zaruri nahi agr dusra kren bhi koi harj nahi hia lekin us ki koi khas value nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!