Question: meri age 17 hai me ak larky sy bht pyar krti hu lkn wo mujhsy badzan hua hua hai meri kuh ghaltio ki waja sy or muh meri ghaltio ka ehsas ho gaya hadi ab me usy wapas pana chahti hu plz help me
Answer: Jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) apko us se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, (Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106)
Question: sir ma ak larki sa pyar karta ho or shadi karna chahta ho lakin larki razi ha ya nahi mugha pata nahi or ma larki sa bohat pyar karta ho plz mugha wazifa batai plz sir mari help kara
Answer: Lazzat aur Shak ki Niyat se Aurat ko Dekhna Haraam ha (Lazzat se Muraad Shehwat ki Nazar se Dekhna aur Shak se Muraad Haraam me Mubtila Honay ka Khauf ho) (Ref: Jadeed Faqhi Masayl Ayatullah Sistani d.b Masla#458 pg#253)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir , main kisi ko pasand karti hun.. per mujy nai pata k wo karta hy k nai , wo family main hain . main kya karon
Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna (jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai.(Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69). Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA, mujay ek larki pasand hai koi tarika btaen jis se wo mujhay pasand kr lay or un kay ghar walay shadi krwa dain us ki mujh se, larki ko bhe ni pata may us ko pasand krta hn
Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai. (Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69). Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)
Question: kya ladiki ko dekhna islam mey jayed hi
Answer: Na-mehram larki ko shehwat ki nigah say daikhna haram hai.(ref:book nigah aur libaas,ayatollah Sistani d.b.,masla#5,pg#26). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salm main jis sy pyar krti hn wo muj sy baht door ho gea hai muj say baat tk nhe krta plz ap kuch parhny ko bata dyn ky usky dil mare muhbat payda ho jy ar mjy shadi ky ky lay be wazif a bata dyn ky mare es sy ho jy plz
Answer: Na-mehram sy dosti\izhare muhabbat Haram hai.(ref:book nigah aur libaas,masla#106,pg#69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Q.1 Agar 1 larka or larki engage ho chuky Hoon to un ka apas men bolna jazz hy k nahii Q.2 Or kia wo dono nikah sy pehly apas men mulaqat bhi kar sakty hen ya nehii
Answer: 1-Baghair lazzat k iraday aur haram mai mubtila honay k khof k baghair na-mehram say baat cheet krna jaiz hai. 2-Nikah say pehle mangetar apas main na mehram hain donu.lihaza mulaqat k waqat parda zarori hai. (Ref:book nigah aur libaas,masla#76,pg#57). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: If the person commits Phone sex.. 1. is Phone Sex (Sms / Call) comes under the list of zina ?? 2. What are the remedies / Kuffara ?
Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khoaf majood hai.(Ref : Kitab nigah aur libaas ques # 106 , pg # 69). Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.Ot toba or istighfaar is ka kaffara hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65) S/no:69
Question: meri koi behan nahi hy... aik muh boli behan hai bs... kia us sy baat karna jaiz hy? please btaiye mjhy....
Answer: Mou boli bahan namehram hoti hai. lehaza aurat k lye namehram mard se perda karna zaro hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2349,2397 ) Agar lazat aur haram me mubtela hone ka khoof na ho to mard k lye namehram se (sahriyat me rah kar )ghoftagho karna jaiz hai. (ref:nigha o libas pg:59). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mai ek ladki se bahot pyaar krta hu pr abhi meri usse bat nahi ho parhi hai koi tareeka bataye jisse wo mujhe phone kare
Answer: Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)