Question: Is it allow for a girl to show her pic thats without maqna to one whom she is going to marry with in few days
Answer: Mard aik aise aurat ki photo ya films jis se shadi ka irada ho is waja se k is k jisam ki khad o khal aur khubsurati se aagha ho sake , agar lazat k irade k beghair ho to dhakh sakta hai. (ref: nigha o libaas ,pg:41,1st eidition) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: i love someone .he goes in my bus but he doesnot know me .plz koe aisa wazifa btae k wo mujh se muhabbat karne lage aur hmara jald nikah ho jae jald az jald
Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtilla honay ka khof maujood hai (Ref: Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Darkhwas hai muje jawab dijiyega jaldi hum ap ke jawab ke muntazir hai, or ye b btaiega ki kya hme inhe kuch kehna chahiye ki ni
Answer: Jins e mukhaalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai (Ref: Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Aurat or us k wali(baap/dada) ke liay behter hai k on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay aurat ko chahiay kay wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho (Ref: Jadeed Fiqhi Masayl Ayatullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232) Agar kunwari larki in sifaat ko ehmiyat deta hai to pasand ki shadi me koi harj nahi albatta apkay baap/dada ka razi hona zaroori hai jub tak ap nikah nahi kar sakti (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah # 2341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya rishty sy pehly larka larki ek dusry ko dekh kr faisla kr sakty hain ? Kya ye jyez hai ?
Answer: je ye jaiz hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 386 , 387 pg # 390 )
Question: asalamoalekum mere sawal ye hay k may jb b apne mangetar se bat karti hon to mamoli si bat par geli ho jati hon kia es k lia ghusul wajib hay
Answer: Mangeter na-mehram he aur Aik (na-mehram) khatoon se aise baatain ki ja sakti hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota. Ise tarah baghair lazzat k irade k is ki batain bhi soni jasakti hai jab k haram me bhi na perhne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne waali ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57). (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) Jis se ghuna hoya ho wo Suche dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba) Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Hadd tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat waajib ki bina agar hizaan shewat ki inteha tak nab hi pouche maqar paani itna ziyaada ho jitna pure razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir mera ye bore adat hai ke me har kese larke ko ghalat nazar se dekta o muje is ghalat nazar se kese chutkara asel karo
Answer: Mard k lie lazzat k iraadat se na-mehram aurat ka jism dekhna aur isi terah in k baloo ko dekhna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya Islam me kisi ghair mehrem ko munh bola bhai aur bahen banana jayez hair?plz answer me.its urgent plz
Answer: Jaiz hai kehne men koi harj nahi lekin bolne ke bawajood wo na-mehram rehain ge.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 90 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Mein ek larkey se bht pyar karti hn and vo bhi and hum paas bhi ae hein par haraam wala paas ni ae or hum chuhp kar nikkah karna chahtey hein to kesey hoga ye sub . . And hum itna paas ni ae to Ye zina to ni hua na?
Answer: Jins-e-Mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khauf mojood hay. kunwari(virgin) larki us waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah de day. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul Masail, Maslah #2341)(Ref: Nigaah aur libaas, ques #106)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia behn , khala , ya cousin k sath sex krna jayeiz hai
Answer: behn or khala se to kisi bhi surat men jaiz nahi hai q k wo mehram rishtedar hote hen, albatta cousin q k na-mehram hoti hai lehaza usk sath shadi krna jaiz to sex bhi jaiz hoga mgr nikah k bad.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430) , (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2349 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: ASSALAM ALAIKUM kia aik larki na mehram se bat kar sakti hai bina usko dakhy, jese facebook pe?
Answer: Wssalam o alykum, ager is baat cheet ka natija buraai o fasaad o guhnaah main nikle to jaiz nahi hai.(Ref : nigaah o lebaas , baab # 7 , sawaal no # 79 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).