Question: salam, kia magni ke baad apne manghter se phone pe baad karna or milne ke lia jana sai hai? kia ye kaam haraam me ae ga? plz jaldi jawab den.
Answer: Mangheter namehram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2397 ) Mangetar namehram hai.aur Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota . ise tarah beghair laszat k irade k is ki batain bhi sone jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya mangeter se bat kerna jiaz he
Answer: Ager esi aam mamool ki baat cheet ho jis main koi shehwat ubhaarne wali guftago na ho or is aam mamool guftago se khud ba kud jinsi lazzat bhi hasil na ho to jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 115 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam alaikum....kya wife apne chachere bhai se baad karsakti hai..kya wo na mehram hai...kya usse koi kawaesh kasrsakti hai.
Answer: Wssalam o alykum, jee, na-mehram hai, or tamaam na-mehram ke ehkaam us ke or ap ke dermiyaan bhi aaege. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #2349 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hia).
Question: Assalmu Ali kum meri mangni ho gai hai kya me apni hone wali biwi se kisi bhi tarha ki ( humbustri) kibaat kar sakte hai ? Aur he hath se apni sharmgah ko hilata hu iska Islam me kya gunah hai ? Plz sir reply
Answer: Wssalam o alykum, dono chezain haraam hain, is liye k wo abhi apki faqt mangetar hai jab tak nikah nahi hojata tb tk won a-mehram hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: isalm may shadi ken ristay dar say jayiz hai
Answer: On aurto k sath jo insan ki mehram hoon nikah kerna haram hay. Maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2349) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalmu ali kum meri mangni ho gai hai kya me apni hone wali biwi se humbistri ki bat kar sakta hu aur sharmgah ko hilane par kya gunah hai plzz replay
Answer: 1-ager baat cheet aam mamool ke mutabiq ho or is main koi shehwat anggeez guftugoo bhi na ho or na hi is se koi jinsi lazzat hasil ho or na hi haraam main pharne ka der ho to in ke baat karne main koi harj nahi hai.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 3 , masala # 115) 2-Istemna kerna (hand practice) haram hai chahay kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mera sawal ye hy k mari cazan hy jis mara rishta paka kia h0wa hy bachpan s . Hum l0g baten kerty hen ur 0ral sex bhe r0mantic baten bhe ye jaiz hy . Ur hum d0n0 ek d0sry k0 husband wife manty hen plez ans me
Answer: Baat pakki/Rishta pakka hona Nikah nahi hota hai is liye aap dono aik dusray ke liye na mehram hain aur aap k liye jaiz nahi hai k aap usay mehramana nazar say dekhay jab tak nikah na hojaye. Na mehram k sath koi aisi baat na ki ja rahi ho jis ka Na Mehram k sath kiya jana munasib na ho aur isi tarah beghair lazzat k Iraday say Na Mehram ki baatain bhi suni ja sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah# 2328)(Ref: Mujtahid say puchay gaye Sawalaat part #04, pg#66)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam alikum. mera sawal. me 1 larki se sch me bht pyar krta hn or wo b krti ha or hamare parents ko ni pta or hmm shadi b krna chahtey hen to kya hm 1 2sre se bt ke skte hen kya jaiz ha? or kya ksi gair larki se pyar krna jaiz ha?
Answer: Jins-e-mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jaye, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khauf moujood hai (Ref: Nigaah aur libaas,ques# 106,pg# 69)(Khuda aap ki tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: Salaam main ek larky se shadj krna chahti hun woh b chahta h lyk us k khandan main kasi ny out of family shadi nhi ki us k ghr waly nhi maan rahy plz kuch btaen sab khushi khushi raazi hojyen...Jazak Allah
Answer: Jins-e-Mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jaye, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai (Ref: Nigaah aur libaas,ques# 106,pg# 69) Surah-e-ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb-e-manshah rishta distiab ho ga (Ref: Naway-e-saaleheen, pg# 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mujhe mera pyar wapas dila do main uske bina ji nhi sakti wo kisi or se shadi karne ja rahe h 1 nov. Ko main unke liye musalman b ban gayi par fir b wo mujhse shadi nhi kar rahe h plz mujhe mera pyar wapas dila do
Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)