Question: Na meharam ka ek dosray ko hath lagana ya bosa dena is ka kafara kya hai astagfaar k sath?
Answer: Na-mehram ko hath lagana ya os ka boosa laina haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), nigah or libas,Mafhoom e Maslah #109). Update on dated 27-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: jnb Adb mujhy ik ladki s pyar ho gya mgr vo mujsy km pyar krti koi dua btao jo usk dil m sirf pyar paida ho jy
Answer: • Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas aqa sistani ,sawal # 106 pg # 69) • Rasool allah ne farmaya: surah yaaseen ki tilawat kiya kare is me 10 barkate hai (us me se aik ye hai k ) jin ki shadi nahe hoi hai wo shadi shuda ho jaay ghe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mara sawal ya hai k ma apni Bhabi ko pyare sa haat (hand) ma ya face (cheeks) ma kiss kr sahkta ho ya nai? Magar ma unhe maa k barabar samjta ho. Ma unhe apni maa ki nazar sa dakhta ho. Kia un ko bhosa Dana sahi hai ya nai?
Answer: Bhabhi na-mehram hain or on ko choona ya onka boosa laina haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 30-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Ek ladka aur ladki ek dusre se pyaar karte hai aur unki shaadi bhi hone wali ho tho wo dono bat kar sakte hai kya
Answer: Is terah sai bhai bananay sai wo larka mehram nahi banay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2397-2406). Update on dated 26-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai ek ladke se be imteha mohobat karta hu uske dil me mere leye kya hai pata nahi lekin mai jab use dekhta hu to wah be mughe dekhate hai aaisa karib 6 saal se chal raha hai mera dil uske liye seese ke trah saaf hai kya ayesa karna gunah hai
Answer: Jo shakhs shadi nah kernay ki wajah sai feil e haram mai mubtila hota ho os par shadi kerna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2407) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Larki sy bat karnay kay dorana light pani ky 1 2 qatray nikalny sy ghusal wajib hojata hy kia ?
Answer: Nahmehram se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haraam me pernay ka khof ho. Warna haram hai. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, wo pak hai. Agar kise shaks k badan se kohe ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho k mani hai ya phishab ya kohe aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan soos ho ghaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai aur namaaz k lie ghusal karna zarori hai.laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ghe.aur ghusal wajib nahe hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #,,70,1553,344,345 ). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager larka larki aik dosre se nikah ka irada rakhte hon to nikah se pehly kis had tak wo batain kar sakte hen ?kiya unka messages ke zariye kiss karna jaiz he kiya Wo aik dosre se mohabbat Qaim rakhne k liye (i love you )leh sakte hen ?
Answer: Agar darmeyaan me esi baten na ki jaen jo aik musalman ke shayan e shan nhy hen to koi haraj nahi hay.(Ref: Mujtahid se poshy gae sawalat , part# 4 , sawal#124). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia na mahram larki ki tasveer ko dekhna(jab k lazt ka irada na ho) jaiz hai jb ko shrae tor pr mukamil hijab mn ho
Answer: Agar tasweer men khatoon hijab k sath ho our lazat ka irada na ho,or haram me perhny ka khoof nah ho,fitna peda hony ka andisha bhi nah ho to jaiz hay.(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawallat Part#4 pg#66, sawal #129 ). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya ghair mehram larki say kiss karnay k baad gusal wajib ho jata hai. aur agar is doran koi qatray a jain to Gusal wajib hai ya nahe?
Answer: 1)Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss kena haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). 2) Mazi k qatre paak hote hain, or in k nikalne se wuzu bhi nahi tootta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 16-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar koi mard mar gaya ho gusl ke baad deedar karwate h toh us waqt jo aurte rishtedaar nahi hai kiya woh aurto ko deedar karna jayaz h yaa nahi
Answer: Namehram aurat merd k jism k on hisso maslan sar, dono hatho or dono pindliyo per jinhain umoman merd nahi chupatay, lazzat k irade k baghair daikh sakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2397). Update on dated 08-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).