Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9412
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr ik esa insan jis sy maa bapp ny mangni ki ho or larki larka apny ap ko dil sy ik dosry sy suchy ho or ik dosry sy mill ly uska kitna guna ha or us guna sy kesa bacha ja skta h

Answer: Mangeter mard k liay namehram hoti hai aur mard apni mageter se jinsi lazzat k irade k beghair aur haram me mubtila hone k khouf k baghair saaf sutri phone per ya aam halat me baat cheet kar sakta hai or aap ka os se hath milana ya os ko chuna jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2429). Update on dated 17-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9424
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agr koi larka kisi larki ky sth drma kr rha h pyar ka or wo usko use karta rhy phr wo shadi ky sary waday tor kar apni family ki marzi sy shadi kr ly to kia is my gunnah or saza dono ko mily ge

Answer: Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain. (Ref: book nigah aur libaas,pg#69,mafhoom e maslah#106). Update on dated 27-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9465
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam wale kum ji mai shia hu or mai jis s mutah nikah krna chahate hu chup k mre age 20 h or mai bad m nikah kru gi kya aisa ho skta h??

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 28-02-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9498
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia susar bahu k leay na muharam hai

Answer: Susar mehram hota hay. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, masla#156). Update on dated 05-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9575
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aurat Ka 10 moharram ke jalose mn Jana sahi h q ke wahan WO parody Ka khyal nhn rakhti

Answer: Agar aurat mukamal sharai hijab k saath shirkat karey tou koi haraj nahi hai. (ref: http://qoitrat.org/video_clip.php?id=56) . Update on dated 16-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kci na mehram sy rohaniyat ki taleem lyna ucse haq ka jana.. Na mehram sy mlna ya bt krna maqsad haq ki taleem py hu kia ye jaiz... Hum kci na mehram sy bt kr skty ya ml skty ic maqsad k lye rohaniyat ki taleem

Answer: Agar haram mai mubtila honey ka khouf na ho or is ka nateeja Akhlaqi fasad ki surat main nah nikal raha ho tu jaiz hai.(Ref: Mujtahid sai poochey gaey sawalaat, part#3, sawaal# 127). Update on dated 16-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9597
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u alikum warahmatullahi wabarakatah hoo jinab mera rishtah fix howa engagement ya nikkah nahi howa kya mai us ladki sai baat kar sakhtah houn?

Answer: Aap ka nikah nahi hoa lehaza wo aap k liye na mehram hai oraik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agar che aista aista parhne ka hi khof q na ho baat karna jaiz nahi hai isi tarah ger ikhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. . (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) and http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ) Update on dated 26-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9609
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum.plx mera msg show mat karie ga.mera question yeh hai k ghalti se kisi couple ko intercourse karte howe daikh len to gunah kis ko hoga???reply email kar die ga

Answer: Orat k liay jaiz nahi hay k dosri orat ki sharmghah dekhy or mard kay un aazaa ko dekhy jo aam halat say ziyad khulen hoon lekin agar galti say nazar parh jaey to foran nazar pherni chahiay warna daikhne wale shaks ko ghunah mily ga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #369 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9628
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaikum ji maine apni gf ke saath kapre ke upr se srf mera parts touch pr hmlog kapre pe the toh kya yeh zina hua

Answer: Na mehram k sath jinsi lazzat hasil karna baghair intercourse k zina nahi hai magar haram hay. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9635
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma apni passnd se shadi krna chati ho larky ki family razi ha. Mager meri family razi ni ha kiu k humrai familes ki cast differnet ha please ap mujhe koi asa wazifa batai jis ki waja se neri perents waha ristha kr dy bina kisi muskil k .

Answer: 1)Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106, Mafhoom e pg # 69) 2)Rishtay k lie chand ki 11 sai 20 tak k darmiani jumay ko bad namaz e asr surah e taha surah no20 ki ayat no 131,132 ko likh kar pas rakhain or doh kar pie to shadi ho jae gi. (Ref : Naway e Salaheen, Mafhoom e pg # 352). Update on dated 07-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!