Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9665
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslama Alikum .... Hum log agar girlfriend nd boyfriend k risshta k sadqa deina ho tou un dhono k naam paper products likh kar upar sai egg ya paise waar sakethe h?

Answer: Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ). Update on dated 02-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9703
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o elaikum i am Ali mughal, i have recently been married me puchna chahta hu k kia me apni wife ki non nude pictures apne bohat khas dost ko dikha sakta hu?

Answer: Agar tasweer men khatoon hijab k sath ho our lazat ka irada na ho,or haram me perhny ka khoof nah ho,fitna perhne ka andisha bhi nah ho to jaiz hay.(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawallat Part#4 pg#66, sawal #129 ). Update on dated 11-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9706
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam! Mutalliqa se nikkah ki niyyat see baat kerna jis ka aik baccha bhi ho aur shehwat ka masla bi na ho jaiz Hy text msg ya phone per baat ki had tak

Answer: Was Salam. Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/) Update on dated 14-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9715
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum janab mera sawal ye hai k agar koi shadi shuda aurat kisi gair mehram se muhabbat kare to kya wo shirk gunah hota hai kya wo aurat mushrikon me gini jayegi or kya wo tauba kar sakti hai ya nahi

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei, haraam hai . jee haan har gunah ki tauba hosakti hai or tauba is tarah ki jaati hai k apne us gunah par nadim ho or aainda khuda sai waada kar le k dobara wo gunah sarzad nahi hoga.(Ref: kitab nigah aur libas ques # 106 , Mafhoom e pg # 69). Update on dated 11-09-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9720
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia me gr py jeans t shirt tights wear ker skty ho mama ne ijazt de ha sir ger se bhr prda kerty ho.

Answer: Agar ghar mai koi na-mehram balkeh mehram afraad moujood hoon or is tarah ka libaas pehnna shehwat ubhaarney ka sabab ban raha ho to jaiz nahi hay. (Ref:Mujtahid sai pooche gaye sawalaat part 2 question#139)Update on dated 06-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9741
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Islam me jija aur sali ka mazak haram hai ya halal hai Delait me btai

Answer: Saali ka shumaar na mehram mai hota hai or aik (na-mehram) khatoon se aisi baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1). Update on dated 04-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9801
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Na mehram say muhabat krna jaiz h?

Answer: Na-mehram say izhar-e-muhabbat kerna haram hai or is k muqadimaat(starting step) haram hain. (Ref: book nigah aur libaas,pg#69,mafhoom e maslah#106). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9819
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mangni k bad bat kr skty hain

Answer: Mangetar na mehram hai or aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota . ise tarah beghair lazzat k irade k is ki batain bhi sone jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9854
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr lirka r lirki ki shadi ko bht time baqi ha r wo zana k ilawa sb kch kr le to is bare mai Islam mai kya Hukam ha?

Answer: Agar nikah ho chukaa hai lekin rukhsati nahi hoi hai or jimaa hoa hai tu koi masla nahi hai q k nikah k baad larka or larki aik doosray per halal ho jaatey hai lekin agar nikah nahi hoa tu dono aik doosray k liay Na-mehram hain or ye tamaam kaam haram hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2364). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9863
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mama ki wife hoti hai Mumani Mumani ka darja maa k barber hai. Agar maa hayat Na ho to apni Mumani ko khidmat Kar sakte hAi jaise hath pav dabana unko ghar k kam me madad karna. Barahe meherbani Jawab dijiyega. Zazjakaallah.

Answer: Mumaani Na-mehram hain or Na-mehram k tamaam badan ko choona jaiz nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #12,16) , Eidition 1427 hij). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!