Question: As salamualikum Main ye Janna chahta hun k Islam mein Aurat ka naat prhna jaiz hai ya nhi aur agr jaiz hai to kis tareqy se aur agr mna hai to Kia wajjah hai Bahot shurkriya.
Answer: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart k sath keh ye k lazzat aur shehwat ki neyat say nah suni jaey aur haram mai mubtila honay ka bhi khof na ho aurat k leye ye jaiz hai k wo apni awaz na mehram mardo ko sunaey mgar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khoof ho tu is surat mai jaiz nahi hai (Ref: Ayatullah sistani jadid fiqhi masail pg#266, masla#510). [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri Shadi tay hai to kya mai us ladki se uski izzat k sath shadi se pahle jina kar skta hu...?
Answer: Mangetar ko kiss, bosa kerna jaiz nahi hay q k wo aap k liay na-mehram hay kisi bhi na mehram aurat ka merd k badan ko haath lagana jaiz nahi hay or isi tarah kisi bhi merd ka na mehram aurat ko chomna ya choona jaiz nahi hay or mangetar na mehram hay is liay osko kiss kerna bhi jaiz nahi hay. zina gunah e kabeera hay. (Ref a sistani d b jaded fiqhi masail masalah 259, 239) [Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mny yeh poochna Tha k larka larki kiss krlen aur hug bhe aur larka larki k niple ko mun Mai lele Lekn humbistri na kre
Answer: Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss kena haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). Update on dated 31-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya na mehram sy sirf chat sms py bat kar skty hain.. na call na photo just msg...
Answer: Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). Update on dated 17-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya nikah se pehle bivi se baat karna jaiz h
Answer: Na-mehram aurat se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 19-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gair muslim ladki se mohabbat karna haraam hai ya nahi
Answer: jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai ref nigah aur libas sawal 106 pg 69 [Updated on 26-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: lapal ka father mahram ha ya namahram Please answer me on my email number sir I don't know about Majtahid
Answer: Na-mehram hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#90-93) Update on dated 11-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Lapalak ka father mahram ha ya namahram kindly answer me on my email address sir I don't know about Majtahid
Answer: Na-mehram hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#90-93) Update on dated 11-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: If a husband living in separate house from last 20 years wife allow to talk to any man and he is na meh rum
Answer: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 05-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar call pa sex krna s dono afraf free o jyn to kya gussal lazam ha
Answer: na-mehram se phone per is tarah ki guftugu kerna haram hai Q k is surat men gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai, chahe ap apas men shadi ka irada hi Q nah rakhte hon, (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Bk # Nigah or Libaas, Ed # 01,Mafhoom e Sawal # 84, Pg # 60) 1-Do cheezo i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) say insaan (per namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). 2-Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]