Question: Mera swal ye hai ki jb mai apni gf k sath baitha hota hu ya fir sirf hath pakad leta hu ya fir kiss krta hu to itne se hi mere penis se thoda liquid secret ho jata h..kya is se mai napak ho jata hu
Answer: Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose mazi kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise mazi kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise wadi kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai.Ref(touzeeh ul masail masala no 70) Note: Na-mehram se guftgu aam tor per dosti or mohabbat ka sabab banti hai is liye is ko sharai sawalat tak mehdud rakhna lazmi hai, Na-mehram(chahe wo apke mazhab ka ho ya nahi)se baat karne se burai or guna men mubtala hone ka khof ho to jaiz nahi (Ref : Sawalat or jawabat, 1st ,masala # 76,79,pg # 57,58) [Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASSALAM U ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUHU.kiya kisi ghair mehram say call par baat karna jaiz hay?
Answer: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aik aurat jo nikah ma hai wo dosry maard sy mobile per baat karsakty hai na mehram sy lakin wo murad pehly aurat ka boy friend ta
Answer: Na_mehram se guftgu aam tor per dosti or mohabbat ka sabab banti hai is liye is ko sharai sawalat tak mehdood rakhna lazmi hai, Na_mehram(chahe wo apke mazhab ka ho ya nahi)se baat karne se burai or gunah men mubtala hone ka khof ho to jaiz nahi (Ref : Sawalat or jawabat, 1st ,masala # 76,79,pg # 57,58) [Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ma ra sawal y hy jis larke sy mara mangne howe hy kya my os sy mobile py bat kar sakta ho or agar kissing karna chaho karsakta ho ya nahe
Answer: 1) Mangetar na-mehram hay, nikah k baghair ye aap ki biwi shumaar nahi hoon gi. Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341) ager bat karna fasaad o buraae ka bais ho ya guhnaah main mubtala hone ka koof ho to jaiz nahi hai.(Ref : nigaah o libaas , question # 79 , pg # 58 , 2) Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss kena haram hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair aur chahay baad mai shadi hi Q nah karni ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). [Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Larki ka larki see mohabbat karna kesa hai
Answer: Aik larki ka doosri larki ko shehwat ki niyat se gale lagana, os ka boosa lena or se cherh charh karna haram hay. (Ref: Jadeed fiqhi masael, pg#429) [Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere fiance australia mein hai woh ek din thk hotey hai agley din baat b nhi krna chahtey mujhe plx masoomeen k sadqey mein koi wazeefa btaye k woh meri traf hojaye meri har baat manney mera ehsaas hojaye os se mai bht takleef mein hn plx maddad kijiye
Answer: Mangaiter apas main na mehram hain. Mangni k baad Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho, koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran or hadees ki roshni m ek aurat ko mard sy baat kesy krni chahiye
Answer: Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shehwat angaiz baat nah ho tu koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur nah hi haraam me pernay ka khoof ho. Warna haram hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Girl frnd banana jayaz h ya nahe
Answer: Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ) [Updated on 05-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASSLAMUALIKUM! SWAL yeah hai k ksi university main prhany wali larki ka ksi ladky sy bat krna sai hai k nhi as a class fellow?
Answer: Na-mehram se aam mamool ki baat cheet karney me jis k under koi shehwat angaiz baat nah ho tu koi haraj nahi hai lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil nah ho aur nah hi haraam me pernay ka khoof ho. Warna haram hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) [Updated on 22-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Na Mehram Mard ( Larka) Na Mehram Aurat (Larki) ko Quran parha sakta hai ya Hifz Karwa Sakta hai ?? ya Kia Na Mehram Aurat (Larki) Na Mehram Mard (Larka) ko Quran Parha Sakti hai Ya Hifz krwa Sakti hai ???
Answer: Agar buraye me bubtila hone ka imkan ho to haram hai, aur agar buraye me bubtila hone ka imkan na ho to jaiz hai. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 4, sawaal no # 103, pg # 68) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]