Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15861
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ak muslim gair sadi suda ldki ne ak gair muslim sadi suda mard se mohabbat ki or zinah kiya kya ye gunah h

Answer: 1: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna ke mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahin hai Q k ghunah mai mubtila honay ka khof maujod hay. Isi tarah kisi na mehram se doosti karna hi Jaiz nahin hai. 2: Na mehram mard or aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, choona ya bosa dena(kiss karna) chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam haram or gunah e kabira hai. Isi tarah zina karna bhi gunah e kabira hai. aur gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 3: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. (Ref: Nigah aur libas sawal #106, pg #69. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #2397,2399,2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15862
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ak muslim gair sadi suda ldki ne ak gair muslim sadi suda mard se mohabbat ki or zinah kiya kya ye gunah h

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15930
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mjhy aik sawal poochna hai Main aik larky sy muhabbat krti hun Wo b mjhy Pasand krta tha Lakin uski shadi hogyi ha .. Kia main Allah sy phr bhi uski Dua mang skti hun k Allah Meray naseb me kr day usy ????

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jins e mukhalif se is had tak dosti karna ke mohabbat ki had tak puhnch jaye, ye shareat me jaiz hi nahin hai Q ke ghunah me mubtila hone ka khauf maujood hay. Muhabat to buhut door ki baat hai, kisi na mehram se doosti karna hi Jaiz nahin hai. Aur aik larkay ka kisi larki se ya aik larki ka kisi larkay se is aitebar se dosti karna ke shadi to aik dam nahin hoti balke shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nahin hai. Han aap bhi us se shadi kar sakti hain or us ke ghar nikah ka paighaam bhej sakti hain, or dua kar sakti hain. Q ke islam bhi pasand ki shadi se mana nahin karta. or Islam me mard aik waqt me chaar musalman aurton ke sath nikah bhi kar sakta hai, lekin kisi ke liye ye bad-dua nahin kar saktien ke fulan aurat ko talaq ho jaye or un ke darmiyan judayei ho jaye or meri us se shadi ho jaye. (Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66). [Updated on 07-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15965
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bewafai ki saza

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar aap ka sawal kisi larki se piyar o muhabbat ke hawale se hai to is jawab ye hai: ke Jins e mukhalif se is had tak dosti karna ke mohabbat ki had tak puhnch jaye, sharaei taur par to yeh jaiz hi nahin hai Q ke ghunnah mai mubtila honay ka khauf maujood hay. Or muhabbat to door ki baat hai, kisi na mehram se doosti karna hi Jaiz nahin hai. Or is par yeh kaha jaye ke bewafai ki saza kya hai yeh to buhut door ki baat hai. (Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 09-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15991
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mainay pochna tha ka agr ma larki hu or aik larki ko Pasand krti hun usay bhen nae smjhti balkay usay muhabat krti hun jaisay aik larka larki muhabat karty hain tu Kya ye ghunnah ha...plzz answer

Answer: Agar is muhabbat me shehwat angez harakat shaamil nahin hain to jaiz hai. Lekin agar is tarah ki muhabbat ho ke shehwat ki niyat se aik dosre ke jims ko dekhna, gale lagana, bosa dena, chher chhar karna ya muamele ka is se ziyada barh jana, is me shaamil ho to ye jaiz nahin or Haram hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #460,515). [Updated on 19-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16009
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum, Mera nikah Tay hogaya hai or kuch mahine bad nikah hai to kya nikah se pahele ladka ladki ka bat Karna na munasif hai ya Haram hai?

Answer: ( nikah hone se phele larka or larki na mehram hay or )Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon ke saath kiya jana munasib nahin hota. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat say nah suni jaey aur haram mai mubtila honay ka bhi khauf na ho. Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khauf ho tu is soorat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimedare bhi hai ke wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. or agar gunah mai parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 24-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16025
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hy k kiya mungetar sy gift lena jaiz hy?... Or agr wo khud sy dn to kiya uska istemal jaiz hy?

Answer: Jaiz hai, Q ke tuhfe me mehram hona shart nahin hai, balke koi bhi kisi ko bhi tuhfa de sakta hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah sistani(d.b), Part #2, Maslah #1310,1311,1335, edition #1443. + Link: https://www.sistani.org/arabic/book/15/4183/ ). Mangheter namehram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2397 ) Mangetar namehram hai.aur Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota . ise tarah beghair laszat k irade k is ki batain bhi sone jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) [Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16227
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri Nani ki apni choti behn kiya nikah karna jaiz h mai karna chahta hu rishta me wo khala lagti h ap mujhe bataye kiya ye jaiz h

Answer: Wo aap ke liye na-mehram hai, or na-mehram ke tamaam Ahkaam us ke or aap ke dermiyaan jaari honge, aur us se nikah bhi kar sakte hain. (Ref: Minhaj-us-Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part#3, edition 1443 hijri, maslah #90,91). [Updated on 31-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16288
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia pyar main larkaya or larki bat cheet kr saktay hain

Answer: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai), Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #2407). [Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16289
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia larka larki ak dosray sy muhabat kartay hain or nikah ka irada rakhtayn hain a/ ak dosray sy normally bat kr saktay hain ??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na mehram se muhabat karna jaiz nahin hai) chahe bad me us se shadi hi Q na karni ho. Q ke gunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. magar ye hai ke islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai lihaaza is aitebar se aap ziyada se ziyada us ke ghar nikah ka paigham bhej sakti hain aur dua kar sakti hain. 2: Na-mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon ya mard ke saath kiya jana munasib nahin hota. 3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila honay ka bhi khauf na ho. Isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke Haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. or agar gunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho, baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58,69, Ques #79,106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66). [Updated on 25-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!