Question: Q1. hum jahan rahty hain wahan bhai bahny chacha chachi cousin sub mil k rahty hain wahan hamary ley na mahram ka keya hukam hai?
Answer: Jo aurtain merd k liay mehram hain yani on k saath azdawaaj kerna haram hay.maslan: maan, behen, baiti, phophi, khala,bhatijee, bhaanji or saas,tu agar lazzat k iraday or haram main mubtila honay ka khof k baghair hu tu(siwaay sharamgaah k) tamaam badan per nigah ker saktay hain.or na-mehram aurton per lazzat k iraday or haram main mubtila honay k khof k baghair chehray or hathoo ko kala’e tak daikha jasakta hay,laikin baaqi jagaho per lazzat k iraday k baghair bhi nigah daalna haram hay.((Tauzee hul masail, maslah#2349, Nigah or Libaas Sawaal#23,24).
Question: mara ap se question ha ka insan ko mangni kay bad kaya karna chayia jab ka shadi ma do saal paray hauy hain i mean ka kabi kabi mil lana chayia ya nai
Answer: Aam mamool ka mutabiq baat cheet karney me jis k ander koe shehwat angaix guftugu nah ho, koe haraj nahi lakin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat haasil nah ho aur na hi haram me perhnay ka dar ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
Question: mangni kay bad insan ko kaya karna chayia
Answer: Mangni k bad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho.(ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
Question: Q1. aj kal larkiyan be nohy parrthi hain our in ki video b agayi hain inko sunna or dekhna kaisa hai?
Answer: 1)Ajnabi aurat ki Awaz sunna jaiz he is shart k saath k lazzat or shewat ki niyat se na ho aur fail e haram me mubtila honay ka khof na ho. Al’batta aurat ko apni awaz ko is terha dilkush aur khoobsurat banana jaiz nahi k sunne walay k liay aam taur per hejaan awar ho agarchah sunne wala mehram ho. 2)Aurat na mehram merd k samne apna chahra aur haath ki hathaili zahir kar sakti he. Is shart k saath k is se haram me mubtila honay ka khof nah ho, aur is ka maqsad mardoon ko haram nigah me mubtila karma na ho aur aam taur per fail e haram me mubtila honay ka mojib na bine. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 510 , 501pg # 266 , 265)
Question: assalam o alaikum mera sawal ye hai ke quran pak and hadees pak me larkion ke parda na karne ki saza kea hai
Answer: 1)Aurat per ajnabi mard se mulaqat k mauqae per hijab ko farz qarar dia he. (ref : jaded fiqhi masayl masla # 512, pg # 267) 2)Jo apnay baal mardoon se nahi chupati thein rasool farmatay hein k wo auratain apnay sar k baalon se latki hui thein. (Ref : qasas ul ulma pg # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya shadi se pehle ladki or ladka mil skte hai?
Answer: Agar lazzat k iraade aur haram me mubtela hone k khouf k beghair aur kise buraae ka baais nah bane to shadi ki gharz se mard k namehram aurat se ghuftaghu karna jaiz hai. ( ref: nigha o libaas, jild:1, pg:57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera swal he meri mangne ho gye he aur me apne mangtar se pear krne laga ho wo bi krti he kia hum dono aik dosre ko kiss kr skte he ya gahr akhlaki bte kr skte he agr 2no ke rza mndi ho to kia kia kr skte he plz jldi btye ga.
Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
Question: mera ap say yeh question hai kia kisi larky say dosti rakhna jaiz hai? ager humari koi ghalat neeyat na hoo...bas hum ak dosray say dosti rakhein? plz jawab zaroor dia ga..
Answer: Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. (Ref . Isteftat Aqai Sistan)
Question: salam,keya khushbu laga kar ghair mehram k pas jana jaiz hay?
Answer: Agar ye mardoon ko ghumra karnay ka sabab na ban reha ho aur osi laganay walay ka maqsad mardoon ko haram me mubtila karna bhi na ho to jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 135, pg # 65)
Question: asalam o alkium..meray dosti ak larky say hoi thi 1yr hojayaa ga and hum bohat achay dost hain..tu kia main us say bat karti hon woh thek hai ya nahi...lakin koi ghalat kam nahi.plz jawab zaroor dein
Answer: jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)