Question: mara ap say sawal ha kay kaya insan ko mangni kay bad apni mangatir kay sat bat karni chayia ya nai i mean kay phone pe
Answer: Mangiter bhi na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart hai kay is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho warna haram he. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: shaadi se pehle mangetar se milna kaisa hai?
Answer: Mangetar namehram hai.aur Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib na hota ho. ise tarah beghair lazzat k irade k is ki baten bhi suni jasakte hen jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)
Question: kia larki se fone per sex karna jaiz hai or kya larki ki gaand marna jaiz hai
Answer: Na mehram se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay.(Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalm-o-laikum!mai ne apk answer parhe ap ne kaha k mangater se aam mamol ki guftagu jaiz hai.lkn mangater tu nameham hota hai aur namehram mard ko awaz sunayi de tu ye tu gunah hai.
Answer: ager ye awaaz lazat or haraam main mubtala hone ke koof ke bager suni jaye to koi harj nahi, or ager lazat ki niyat se ho ya haaram main mubtala hone ka khoaf ho to is ka sunna jaiz nahi. (Ref : Nigah or Libaas, Masla # 84)(ALLAH apki tofeeqat men izafa farmaye).
Question: hum ek ladki se pyar karte hai mera dil chata hai ki hum uskai saat waqt guzarna chate hai to kya islam mai iski ijazat hai us waqt mai usko hum bus dekhana chate hai aur usse baate karna chate hai
Answer: 1)Fuqaha e karaam is baat ki tasreeh kartein hein k shak aur lazzat ki niyat se auratoon ko dekhna haram he aur lazzat ki nigah ka matlab ye he k un ki taraf shehwat se dekha jaay aur shak ki nigah ka matlab ye he k fail e haram me mubtila hone ka khof ho. (ref : jaded faqhi masayl masla # , 458 pg # 253) 2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam Kia me apni mangetar sy bat ker sakta hun.
Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kaya hum apni mungater say shadi say pahlay mobile per baat kar saktay hai.. Jab kay wo cusion ho..
Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat nah ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shert he k is se koe jinsi lazzat hasil nahi ho aur nah hi haram me perhnay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Is "sali" sister of wife a mehrum
Answer: Jee nahi Sali na-mehram hay .(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90) 2) Agar koe shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan(yani sali) se shadi nahi kar sakta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr larka larki kbi milein na hon r relation ho r koi galat kam na hua ho tou gunnah hay? r agr woh larka jhuti batain phela de k larki k bare mein tou larke ko gunnah mile ga?
Answer: 1)kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ) 2) jooth Kabira ghunahoo me shumar hota he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 29) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia kisi larki k jism ko sirf choona bhi zina kehlata hai?
Answer: Nahi, zina nahi samjha jata laikin haram hay gunah e azeem hay . (Ref : nigah or libaas, part# 1, ques # 109, pg # 70, (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)