Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 19187
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aagar shoher wife say kahay ki doosra shoher aapni biwi say kysay kehta hoga ki mai aap ko talaq daita hou tou kya uss say uss ki apni biwi pay talaq paday giii

Answer: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Is tarah talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19190
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager shoar nao kaha k tum aysy hi jana chahti ho ya talaq b don ta k apni maan k ghr chali jao? or bv agy say kahy mery bachy mery sth rahain gay to kiya talaq ho jati hai is trhn?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Is tarah talaq nahin hati. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472) [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 19221
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar biwi ko mazaq ma yah kaha jaye ke molvi se kaho k nikah wapas la ly to is sa nikah tooth jata ha ya nahi.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Is tarah nikah nahin tootata. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hambistri kar ky usi tohar mai talaq di to ho jaye gi?

Answer: Jis tuhur (paaki) me hambistri ki gayei ho agar usi tuhur me talaq di jaye to talaq sahi nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2463). [Updated on 20-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19295
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohar ne rukhsati se phele gusse ki halat mein dou baar talaq di hai tou kia isse talaq hojati hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, aise talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19371
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: divorce ky baad Idat m ghar bethna lazmi farz hy yaa phar bss next nikkah jaiz nai ghar sy bhar jaa sakty hyn?

Answer: Agar shadi ke baad hambistari huei thi to phir talaq ke baad aur iddat ke dauran sirf nikah karna haram hai, lekin ghar bethna laazim nahin hai balke ghar se baaher nikal sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475). [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19424
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum agar shadi ky bd bhi hand practice ki aadat nh chut rhi or mardana kamzori bhi hojaye to biwi alag hony ka mutalba karsakti h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).. Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Talaq dene ka haq sirf shohar ke paas hai, aurat ke pas nahin hota, Haan aurat shohar se talaq ka mutalba kar sakti aur shohar ko haq hai ke wo talaq day ya nah day, aur talaq dene ki soorat main talaq ke seegahy shohar ya shohar ne jis ko seegahy jaari karne ka kaha hoga wo jaari karay ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19563
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum agar biwi 1 Saal sy sohar sy na mili ho or biwi KY pait ma koi bacha paida huny ka andasha na ho or 6 month sy stamp paper py alaidgi hogye ho or 6 month bad talaq dydy shohar to iddat farz hogi? Jldi bataye ga bht pareshan hun ma

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti. Han agar shohar mukammal sharaait ke saath talaq day day to is soorat me shadi ke baad se talaq hone tak agar hambistari huei thi to phir talaq ke baad iddat guzarna zaroori hai aur is dauran nikah karna haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19615
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Shower ny ghussay mein bol dia k Tera Mera talluq khatam To kia talaq ho Gai

Answer:

Id: 19725
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mae sister ko husban na teen taalaq kha tu ye aik bar talaaq hoe ka wo roojoo karna sa pahle naya nikhaoor taalaq ka haq apna pas rakh saqte ha

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!