Question: Asalam u Alikum maulana sab Nadani mae Talaq kae baad dubara us aurat sae nikah karsakte hain? Kia koi dura rasta ya tariqa hoga?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab shohar khud mukammal sharait ke sath aik martaba apni biwi ko talaq day day to agar iddat bhi tamam ho jaye to iddat ke baad wohi saabiqa shohar usi aurat se nikah kar sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2375,2462 to 2472). [Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere bhai ne apni biwi aur apni behan ko kaha ke agar app dono apnay husbands se khush nhi ho to talaq lo aur dafa ho kehnay se talaq hojaati he ke nhi
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, aise kehne se talaq nahin hati. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Merey sohar gulf meh rehtey hai 2 saal hogaya hai....woh wapas aaney key baad talaq chayeh aur dusra nikah kitne din baad karsaktey
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab shohar khud mukammal sharaait ke sath aik martaba apni biwi ko talaq day day to agar shohar aur biwi ke darmiyan hambistri huei thi to Talaq ke bad iddat guzarna zaroori hai, aur jo iddat rakhi jati hai is iddat ka matlab ye hai ke is dauraniye (time period) me aurat nikah na kare Q ke talaq ki iddat ke dauraan aurat ke liye nikah karna Haram hai. 2: Jis larki ki umr poore 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaesa na ho, us ka shohar us se jima kare to agar wo use talaaq de to zaroori hai ke wo (larki ya aurat) talaaq ke baad Iddat rake. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka darmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab us ka shohar use paaki ki haalat me talaaq de to wo itni muddat sabar kare ke use do baar haiz aaye aur paak ho jaaye aur junhi use teesri dafa haiz aaye to us ki Iddat khatam ho jaye gi aur woh dusra nikah kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #,2462 to 2472,2475). [Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam.. mere shohr ne mujhe 1st divorce dedi hai ik month se upr hogya hai dusri baar date b a chuki hai lkn dusri divorce ka notice nhi aya kia meri iddat hi rahegi ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا لڑکی نے بول دیا میں آپ سے طالق لیتی ہوں اسیا بولنا سے طالق ہو جاۓ گی
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, aise kehne se talaq nahin hati. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera app se sawal Hai ky Mery shohr ny AK Sal phly talaq di thi wo bhul gye abb phir ghr walo se jhgra howa Un ka Gusa Tha or mujh ko talaq dy Kia ye talaq hoi Hai jb Gussa otra tu bhot roye
Answer: 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti. 2: Fiqh e jafferiya ke mutabiq, talaq ke sahi hone ki chand sharaait hain ke agar talaq ke waqt un tamam sharaait ki pabandi ki jaye tab talaq sahi hogi lakin agar is tamam sharaait me se kisi aik shart ki pabanadi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti, aur jab talaq sahi nah ho, dono miyan, biwi hi rahen gay. 3: Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas se paak ho or is paaki ke dauraan mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabaani di jaye, lihaza likh kar talaq dena baatil hai aur talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e taaliq (طالق) ke sath parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hon aur wajib kamon par amal karte hon aur haram kamon se bachte hon) gawahon ki maujoodgi main di jaaye. 5-Zaroori hai ke mard talaq apne ikhteyaar se day aur agar use apni biwi ko talaq daine par majaboor kiya jaaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaaq sahi nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 15-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr shohar aur biwi k darmiyan muhabat na ho aur understanding na develop ho sky aur family pressure ki wja se shohar divorce b na kr sky tou koi aisa wazeefa dain k biwi khud se peechy hat jae?
Answer: Talaq agarche ek jaiz kaam hai lekin intehai Na Pasandeda kaam hai or riwayaat k mutabiq jb Farsh pe Kisi momin momina ki Talaq hoti hai to Arshe Ilahi laraz jata hai.. 1. Muhabbat k hosool aur undertanding develop krne k liay 11 mertaba dorood k baad 213 mertaba yaa lateefo yaa wadoodo.( لطیف یا ودود یا) perhain. (Ref: Naemul amaal, Mafhoom e pg#311). 2. Kisi bhi sherbat par Bismillaah hir rahmaaner raheem or sorah room(sorah#30) ki ayat #21 or sorah maidah(sorah#5) ki ayat#100 ko awwal o aakhir salawaat k saath 41 mertabah perh ker pilain tu wo bad kariyoo se kina kash rahay ga or shohar or bivi k dermiyaan muhabbat main izafa hoga.(Ref:Nawaay Saliheen, Mafhoom e pg#351) [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr shohar or bv 10 month sy zyada dair sy alaihda reh rahay hain or isi duran shohar talaq bhej dy to aurat pr iddat wajib hai?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti. lekin jab shohar mukammal sharaait ke saath talaaq day to talaaq sahi kehlaye gi aur nikah ke baad se talaq hone tak agar shohar aur biwi ke darmiyan hambistri huei thi to iddat rakhna zaroori hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 13-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Please is ka answer jldi de de Agar rukhsati se pehle khula li ho or shohar ne bi talaq ka kahhaz bheja ho. mgr ab wo decision wapis lena ho or mian biwi sulah krna chahte ho to kya ye ho skta ha. Abi tak Union council me kagzat jama nae krae.
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: khula bi li ha or shohar ne 1 document bi bheja ha kya sulah kr skte h
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]