Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 17619
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri shaDi huye larki ne khula lay liya phir wo wapas aye mafi talafi kar k phir dosre baar wapas nikah hua 12 saal k baad phir khula mang rahi hai 2 byte bhi hai ek 9 saal ka dosra 14 kya hoga

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Talaq dene ka haq sirf mard ke paas hai, aurat ke pas nahin hota, Haan aurat shohar se talaq ka mutalba kar sakti aur shohar ko haq hai ke wo talaq day ya nah day, aur talaq dene ki soorat main talaq ke seegahy shohar ya shohar ne jis ko seegahy jaari karne ka kaha hoga wo jaari karay ga. Note: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq court se talaq nahin li ja sakti. aisi talaq durust nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2492,2493). [Updated on 29-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17622
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Mera sawal hai ke Agar talak mein miyan biwi ki marzi shamil no ho balke 2no ke ghar wale adalat ki traf se zabrdastishohor or biwi se talak pr sing krwaye to kya talak ho jaye gi ? Or kisi ko zabrdasti talak pr majhboor krne ka kya hukoom hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena ya zabrdasti talaq baatil hai aur is tarah talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17628
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi apni bivi ko bole k agar to falah k gar gae to to meri taraf sa azad ha pir agar shohar is ko jane ki ijazat da de to is ka hukam kia ha?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur is tarah kehne se talaq nahin hoti, aur wo dono miyan, biwi hi rahen gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17631
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shohor ki Waldin biwi ko zabrdasti talak dilwaien to kya talak hoti hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath apne iraday aur ikhtiyar se talaaq nah day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq zabrdasti talaq dilwana baatil hai aur is tarah talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 31-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17646
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr ek larki apne husband se talaak lele or iddat 15 din ki ho or dosra nikah kr le kia wo nikah jaiz hoga

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Jab shohar khud mukammal sharaait ke sath aik martaba apni biwi ko talaq day day to agar shohar aur biwi ke darmiyan hambistri huei thi to Talaq ke bad iddat guzarna zaroori hai, aur jo iddat rakhi jati hai is iddat ka matlab ye hai ke is dauraniye (time period) me aurat nikah nahin kar sakti Q ke iddat ke dauraan aurat ke liye nikah karna Haram hai. 2: Jis larki ki umr poore 9 saal ho chuki ho aur jo aurat yaesa na ho, us ka shohar us se jima kare to agar wo use talaaq de to zaroori hai ke wo (larki ya aurat) talaaq ke baad Iddat rake. Aur aisi aurat ki Iddat jis ke do haiz ka darmiyaani faasla teen maah se kam ho yeh hai keh jab us ka shohar use paaki ki haalat me talaaq de to wo itni muddat sabar kare ke use do baar haiz aaye aur paak ho jaaye aur junhi use teesri dafa haiz aaye to us ki Iddat khatam ho jaye gi aur woh dusra nikah kar sakti hai. Note : uppar bayaan ki ghai maloomat ko daikhte hoe talaq ke sahe hone ya galat hone ke bare me fasila kia jaskta hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #,2462 to 2472,2475). [Updated on 02-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17696
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma ny ak bar phliy khola li thi pher osi shoher k sth nikha kia tha pher khola li hy shor ny han kr di kia talaq ho gi

Answer: NULL

Id: 17700
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia 3 bar kathy talaq deny sy waqy talaq ho jati h please Quran wa sunnat k mutabiq rhanmai karen

Answer: NULL

Id: 17725
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya zabardasti talaq dilwa kar usi aurat se nikah karna jaiz hai ya nahin

Answer: NULL

Id: 19064
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر خاوند اپنی بیوی کو (ط ل ا ق) بولے اس سے آگے کچھ مت بولے تو کیا اس سورت میں طلاق ہو جاتی ہے جبکہ خاوند کی طلاق کی کوئ نیت نہ ہو

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, aise talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aurat mard ko 3 bar boly k mai tum par talak hojaon tou talaq hojati hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, aise talaq nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!